Wednesday 21 March 2012

ehal-e-dil aur bhii hain ehal-e-vafaa aur bhii hain



ehal-e-dil aur bhii hain ehal-e-vafaa aur bhii hain
ek ham hii nahiin duniyaa sey Khafaa aur bhii hain

[ehal-e-dil = dil vaaley; Khafaa = angry (with)]

kayaa huaa gar merey yaaron kii zabaanen chup hain
merey shaahid merey yaaron k sivaa aur bhii hain

[shaahid = one who bears witness]

ham pey hii Khatm nahiin maslak-e-shoriidaa_sarii
chaak-e-dil aur bhii hai chaak-e-qabaa aur bhii hain

[maslak-e-shoriidaa_sarii = rebellious ways; qabaa = long gown]

sar salaamat hai to kayaa sang-e-malaamat kii kamii
jaan baaqii hai to paikaan-e-qazaa aur bhii hain

[sang-e-malaamat = stones of accusations/reproach]
[paikaan = arrow; qazaa = death]

munsif-e-shehar kii vahadat pey na harf aa jaaye
log kehtey hain keh arabaab-e-jafaa aur bhii hain

[munsif = judge; vahadat = oneness, unity]



No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets