kOii Bey Rabt Sa Unwaan hOta Ja Raha hOOn
miaN Sab Kuch Jaan Kar Anjaan hOta Ja Raha hOOn

wO Apni Soch kO Kitna Badalta Ja Raha hAi
maiN Us Ki Soch Par Hairaan hOta Ja Raha hOOn

Merii Tehnii Pey Khush Aawaaz PanChtii Baith-tey They
pUraana paiRr hOn Sunsaan hOta Ja Raha hOn

mUjhey Andar Sey dUkh Mera mUsalsal Khha Raha hAi
bOhet Shadaab Tha Veeraan hOta Ja Raha hOn

yahaN Key Aam lOgoN Ki Soch Sey Maavra Tha
Magar Kuch Soch Kar Aasaan hOta Ja Raha hOOn

kahieN khUd Khho Gaya hooN Pas e Manzar meN Shayed
Aur Us Key Naam Ki PehChaan hOta Ja Raha hOOn