Monday 30 April 2012

Muhabbat Is Tarha Bhejo

Muhabbat is tarha-poetry-2.jpg


Muhabbat is tarah bhejo
Keh jaisey phool pey titli utarti hai
Hawa men dolti, par tolti titli
Larazti, kapkapati, pankhriyon ko pyar karti hai
To har patti nikharti hai

Muhabbat is tarah bhejo
Keh jaisey chaar soo khushboo bikharti hai

Muhabbat is tarah bhejo
Keh jaisey khawab aata hai
Jo aata hai to darwazey pey dastak tak nahi hoti
Bohat sarshaar lamhey ki, madhur chup men
Kisi hilkorey leti aankh ki khatir
Kisi be-taab sey milney, koi be-taab aata hai

Muhabbat is tarah bhejo
Keh jaisey jheel men mehtaab aata hai

بہار رُت میں اُجاڑ رستے تکا کرو گے تو رو پڑو گے



بہار رُت میں اُجاڑ رستے تکا کرو گے تو رو پڑو گے
کسی سے ملنے کو جب بھی سجا کرو گے تو رو پڑو گے


تمہارے وعدوں نے یار مجھ کو تباہ کیا ہے کچھ اس طرح سے
کہ زندگی میں جو پھر کسی سے دغا کرو گے تو رو پڑو گے


میں جانتا ہوں میری محبت اُجاڑ دے گی تمہیں بھی ایسے
کہ چاند راتوں میں اب کسی سے ملا کرو گے تو رو پڑو گے

Merey chara-gar, merey dard ki tujhay kaya khabar !



میرے چارہ گر
میرے درد کی تجھے کیا خبر
تو میرے سفر کا شریک ہے
نہیں ہم سفر؟

میرے چارہ گر،میری چارہ گر
میرے ہاتھ سے تیرے ہاتھ تک
وہ جو ہاتھ بھر کا تھا فاصلہ
....کئی موسموں میں بدل گیا

اسے ناپتے اسے کاٹتے
...میرا سارا وقت نکل گیا
نہیں جس پہ کوئی بھی نقشِ پا
میرے سامنے ہے
!!!....وہ رہ گز

میرے چارہ گر،میرے چارہ گر
!میرے درد کی تجھے کیا خبر

یہ جو ریگ دشت فراق ہے
میرے راستے میں بچھی ہوئی
...کسی موڑ پہ یہ رُکے کہیں

یہ جو رات ہے میرے چار سو
...مگر اس کی کوئی سحر نہیں
...نہ چھاوںہے نہ ثمر کوئی
میں نے چھان دیکھا شجر شجر
میرے چارہ گر،میرے چارہ گر

!!!میرے درد کی تجھے کیا خبر



Merey chara-gar, merey dard ki tujhay kaya khabar !




Meray dard ki tujhay kaya khabar.
Tu merey safar ka shareek hay
Nahi humsafar. . .?
Merey chara-gar, merey chara-gar
Terey haath say merey haath tak. . .
Woh jo haath bhar ka tha faasla,
Kaii mosamon men badal gaya
Usay naaptay, usey kaat'tay,
Mera saara waqt nikal gaya !
Nahi jis pay koi nishan-e-paa
Merey saamnay hay who raah guzar
Merey chara-gar...
Merey dard ki tujhay kya khabar !


Yeh jo raig-e-dasht- e-firaq hay

Merey raaston men bichhi hui,
Kisi morr par rukay kahin,
Yeh jo raat hay merey chaar suu
Magar is ki koi sehar nahi.
Na hi chhaaon hay, na samar koi !
Main nay chhaan dekha shajar shajar,
Merey chara-gar
Merey dard ki tujhay kya khabar !!!

تیرے حرف و لب کا طلسم تھا، میری آب و تاب میں رہ گیا



تیرے حرف و لب کا طلسم تھا، میری آب و تاب میں رہ گیا
وہ کسی گلاب کا جسم تھا، جو میری کتاب میں رہ گیا

میری بات بات میں روشنی، میرے حرف حرف میں دلکشی
تو میرا شریکِ وصال ِجاں، میری ہر کتاب میں رہ گیا

کوئی پھول کھل کے بکھر گیا، کوئی بات بن کے بگڑ گئی
نہ سوال کوئی لبوں پہ ہے، نہ گلہ جواب میں رہ گیا

دل ِخوش گماں تیری خیر ہو، تو ہے پھر یقیں کی صلیب پر
تجھے پھر کسی سے شکایتیں، تو اسی عذاب میں رہ گیا

تجھے کیا ملا دل ِمبتلا، نہ کوئی دعا نہ کہیں وفا
مگر ایک عرصۂِ رائیگاں، جو تیرے حساب میں رہ گیا

وہ جو میرا عہدِ جمال تھا، وہ جو میرا شہر ِخیال تھا
کہ اب اس کا ذکر ِکمال بھی، کہیں حرف و خواب میں رہ گیا


Agar main patthar ki larki hoti



Agar main patthar ki larki hoti 
To apnay paikar ki sabz rut per bohat si kaaii ugaya kerti 
Bohat say taareek khawab bunti 
Ujalay ko thokron men rakhti 
Khamoshi kay babool chunti 
Dehakti kirnon ka jharna hoti 
Sama’aton kay tamaam afsoon paash kerti 
Main kuch na sunti 
Main apnay pallu men sog baandhay 
Kisi ko un ka pata na deti 
Safar kay her aik merhalay per 
Main rahzanon ki tarah mukarti
 Agar main patthar ki larki hoti 
To main aziyyat ki malgaji un-ginat udasi kay rung chunti 
Weham ugaati, gumaan rakhti
 
Tumhari saari wajahaton ko 
Main sau tarah say para para kerti 
Na tum ko yun aaina banati 
Agar main patthar ki larki hoti

 اگر میں پتھر کی لڑکی ہوتی
تو اپنےپیکر کی سبز رت پر ،بہت سی کائی اگایا کرتی
بہت سےتاریک خواب بنتی
تو میں اذیت کی ملگجی انگنت اداسی کےرنگ چنتی
اگر میں پتھر کی لڑکی ہوتی
میں اپنےپلو میں سوگ باندھے، کسی کو ان کا پتہ نہ دیتی
اجالےکو ٹھوکروں میں رکھتی، خموشیوں کےببول چنتی
سماعتوں کےتمام افسون، پاش کرتی، میں کچھ نہ سنتی
دہکتی کرنوں کا جھرناہوتی
سفر کےہر ایک مرحلے پر، میں رہزنوں کی طرح مکرتی
وہم اگاتی،گمان رکھتی
تمہاری ساری وجاہتوں کو میں سو طرح، پارہ پارہ کرتی
نہ تم کو یوں آئینہ بناتی
اگر میں پتھر کی لڑکی ہو تی

Sunday 29 April 2012

Jo aana chaaho,hazaar rastay,na aana chaaho,to uzar laakhon

~ Hazaar Rastay ~-fc.jpg


Jo aana chaaho,hazaar rastay,na aana chaaho,to uzar laakhon
Mizaaj barham,taweel rasta,barasti barish,kharaab mausom

تارے مِرے وکیل تھے، خوشبو تِری گواہ



قاصد جو تھا بہار کا نا معتبر ہُوا
گلشن میں بندوبست برنگِ دِگر ہُوا

خواہش جو شاخِ حرف پہ چٹکی، بِکھر گئی
آنسو جو دِل میں بند رہا، وہ گُہر ہُوا

اِک منحرف گواہ کی صُورت، چراغِ شام
اُس کی گلی میں رات مراہم سفر ہوا

آواز کیا کہ شکل بھی پہچانتا نہیں
غافل ہمارے حال سے وہ اِس قدر ہوا

عُمرِ رواں کے رخت میں ایسا نہیں کوئی
جو پَل تُمہاری یاد سے باہر، بسر ہُوا

خوشبو تھی جو خیال میں، رزقِ اَلم ہُوئی
جو رنگِ اعتبار تھا، گردِ سفر ہُوا

دل کی گلی میں حدّنظر تک تھی روشنی
کرنیں سفیر، چاند ترا نامہ بر ہُوا

تارے مِرے وکیل تھے، خوشبو تِری گواہ
کل شب عجب معاملہ، پیشِ نظر ہُوا

امجد اگر وہ دورِ جنوں جاچُکا، تو پھر
لہجے میں کیوں یہ فرق کسی نام پر ہُوا


QAASID

~!~ QASID ~!~ By Amjad Islam Amjad-qasid-urdupoetry.jpg

khushboo ki poshak pehan ker 
kon gali men aaya hai!
kaisa yeh pegham rasaan hai 
kaya kaya khabrein laya hai 
khirki khol k bahir dekho
mosam merey dil ki baatein 
tum sey kheney aaya hai

Friday 27 April 2012

Pehley Toh Teri Justaju Phir Tera Malaal Kerna



Pehley Toh Teri Justaju Phir Tera Malaal Kerna
Uss Nay Toh Addat He Bana Lee Her Roz Yeh Haal Kerna

Mausom e Gul, Her Taraf Chalti Hai Sard Hawa
Kahin Chhuu Na Jaey Teri Lau Ko Ay Shamma Zara Khayaal Kerna

Mera Tujh sey Her Dafa Yeh Kehna Kaho Kitni Hai Mujh sey Muhabbat
Aur Tera Yeh Kehna Band Karo Apney Yeh Ajeeb Sawaal Kerna

Keh Diya Tum Ney, Kuch Nahi Hai Kehney Ko Ab
Ab Sirf Ta'aluk Hai Humara Hijr Sey Na Koi Baat e Visaal Kerna

Woh Shakhs Meri Ragon Mey Khoon Ban K Hai Daurr Raha
Tanveer Uss Sey Kehna Na Mujh sey Juda Honay Ka Khayaal Kerna



Tare Justgo Tera Malal1 600x524 Tare Justgo Tera Malal

Arz E Gham Kabhi US K Rubaru Ho Jaaye

120ahmedfaraz Ahmed Faraz

Tujhay Jazb Kar Loon Lahu Men

meraysher 600x529 Meray sher

Uski Muthi Men Bohat Roz Raha Mera Wajood

parveenshakirstannhai2 600x635 Apni Tanhaiie Mere

Jab Raat Ki Tanhaai Dil Ban K Dharakti Hai

Jab Raat Ki Tanhai 600x463 Jab Raat Ki Tanhai


Jab raat ki tanhai dil ban k dharakti hai
yaadon k dareechon men chilman si sirakti hai


lauban men chingari jaisay koi rakh jaaey
yun yaad teri shab bhar seenay men sulagti hai


yun payar nahin chhupta, palkon k jhukanay sey
aankhon k lifafon men tehreer chamakti hai


khush rang parindon k laut aanay k din aaye
bichray huway miltay hain jab baraf pighalti hai


shohrat ki bulandi bhi, pal bhar ka tamasha hai
jis daal pey baithay ho, wo toot bhi sakti hai

Kuch Tukrray Tumhari Yaadon Kay

Meri Rooh Da Pehla Geet Vi Toon

Is Muhabbat Men Jalna Acha Laga

Aacha Laga 600x450 Aacha Laga

Soq e Manzil To Mera Aabla Pa Ho Betha

maseeha maseeha

Saans Tak Bhi Nhi Letay Hain Tujhay Sochtay Waqt

dil ki chokat pe dil ki chokat pe

Teray Khushbu Men Basay Khat Mein Jalata Kesay

Kaht Kaht



jin ko duniya ki nigaahon sey chupaye rakha
jin ko ek umr kalejay sey lagaye rakha
deen jin ko, jinhen imaan banaye rakha

jin ka har lafz mujhey yaad tha paani ki tarah
yaad thay mujh ko jo paigam-e-zubani ki tarah
mujh ko pyare thay jo anmol nishani ki tarah

tu ney duniya ki nigaahon sey jo bacha ker likhey
saal-haa-saal merey naam baraabar likhey
kabi din mein to kabi raat mein uth ker likhey

teri khushbu mein basay khatt main jalata kaisey
pyar men doobey huey khatt main jalata kaisey
terey haathon k likhey khatt main jalata kaisey

terey khatt aaj main ganga men baha aaya huun
aag behtay huey paani mein laga aaya huun..

Jab Hum Pehli Baar Milay Thay

Mousam Ais din Q Roya tha Mousam Ais din Q Roya tha

Baykaraan Tanhaaiyon Ka Silsila Reh Jaaye Ga

Name Mera Name Mera

Bakht Dhalnay Men Dair Kitni Lagti Hai

Aag ho to Aag ho to

Abhi Woh Dard Baqi Hai

abhi wo dard hai baqi abhi wo dard hai baqi

Muhabbat Udaas Rehti Hai

mohabbat mohabbat

chashm e nam sey hee saHee raaz khula hai tau sahi



Lab haiN khamosh magar dil meN gila hai tau sahi
chashm e nam sey hee saHee raaz khula hai tau sahi



zindagi khojney nikla hooN tau paooN ga tujhey
aik uljha hua haathoN meN sira hai tau sahi



apnay sajan say mulaqat ko janay k liay
hai to khasta sa magar aik ghaRRa hai tau sahi


raat kaali hai magar aas abhi zinda hai
roshani deta hua aik diya hai tau sahi



meri umeed men ya rab abhi dum baqi hai
dil shikasta hai tau kaya lab peh dua hai tau sahi



gham ka toofan jo barpa hai kayee barsooN sey
teray aanay say zara dair thama hai tau sahi



ab k barsay gi yahan rehmat e baaraan shayad
neelay ambar peh siyah aik ghaTa hai tau sahi



zindagi zehr hai , amrit ya koyee aur hee shai
jo bhee hai jaam yeh hem nay hans hans k piya hai tau sahi



TooT jaatey haiN magar jhuktey naheeN Aakif G
in meN thoRi see khudi aur anaa hai tau sahi


لب ہیں خاموش مگر دل میں گلہ ہے تو سہی
ایک آنسو میری آنکھوں سے بہاہے تو سہی


زندگی کھوجنے نکلا ہوں تو پاؤں گا تجھے
''ایک الجھا ہوا ہاتھوں میں سرا ہے تو سہی''


اپنے ساجن سے ملاقات کو جانے کے لئے
ہے تو خستہ سا مگرا ایک گھڑا ہے تو سہی


رات کالی ہے ابھی آس مگر زندہ ہے
روشنی دیتا ہوا ایک دیا ہے تو سہی


میری امید میں یا رب ابھی دم باقی ہے
دل شکستہ ہے تو کیا لب پہ دعا ہے تو سہی


غم کا طوفان جو برپا ہے کئی برسوں سے
تیرے آنے سے ذرا دیر تھما ہے تو سہی


اب کے برسے گی یہاں رحمتِ باراں شائد
نیلے امبر پہ سیاہ ایک گھٹا ہے تو سہی


زندگی زہر ہے امرت یا کوئی اور ہی شے
جو بھی ہے جام یہ ہنس ہنس کے پیا ہے تو سہی


ٹوٹ جاتے ہیں مگر جھکتے نہیں عاکف جی
ان میں تھوڑی سی خوِدی اور انا ہے تو سہی


Dil men tera khayal hai ab bhi




Dil men tera khayal hai ab bhi
Jaisey koi malaal hai ab bhi


Rim Jhim Ka Malboos Pehan Kar Yaad Kissi Ki Aayee Hai


aaj bohat dinon baad suni hai barish ki awaaz
aaj bohat dinon baad kissi manzar nay rasta roka hai
rim jhim ka malboos pehan kar yaad kissi ki aayee hai
aaj bohat dinon baad achanak aankh yun hi bhar aayee hai
aankh or manzar ki wus'at men chaaron janib barish hai
aur barish men door kahin ek ghar hai jis ki
aik aik eent par teray meray "khawab" likhay hain
or is ghar ko janay wali kuch galiyan hain
jis men hum donon kay saaye tanha tanha bheeg rahay hain
darwazay par qufl para hai or dareechay soonay hain
deewaron pay jammi hui kaaii men chup kar
mousam hum ko dekh rahay hain
kitnay badal hum donon ki aankh say ojhal
baras baras kar guzar chukay hain
aik kammi si aik nammi si
chaaron janib phail rahi hai
kai zamanay aik hi pal men
baaham mil kar bheeg rahay hain
andar yaadain sookh rahi hain
bahir manzar bheeg rahay hain...


Kissi roz shaam k waqat



 
Kash kisi roz shaam k waqat
sooraj k araam k waqat
mil jaye saath tera
haath men ley kar haath tera
door kahin tanhaaii men
duniya sey judaai men
apnay sang bithaaoon tujhay
dil ka haal sunaoon tujhay
teri izzat ehtraam karoon
teri haath ki lakeeroon men
talaash apna naam karoon
ussi waqat iraada karain
phir milnay ka waada karain

Kissi roz shaam k waqat
sooraj k aaraam k waqat

pattharaayaa hai dil yuuN keh koii ism paRhaa jaaye



mushkil hai ab shehar men nikley koii ghar sey
dastaar pey baat aa gaii hai hotii huii sar sey

barsaa bhii to kis dasht k be-faiz badan par
ik umr merey khait they jis abr ko tarsey

is baar jo iindhan k liye kaTT k giraa hai
chiRRiyon ko baRRaa pyaar thaa us buuRRhey shajar sey

mehnat merii aaNdhii sey to manasuub nahiin thii
rehnaa thaa koii rabt shajar kaa bhii samar sey

Khud apney sey milney kaa to yaaraa na thaa mujh men
main bhiiRR men gum ho gaii tanhaaii k Dar sey

be'naam musaafat hii muqaddar hai to kayaa Gham
manzil kaa ta'ayyun kabhii hotaa hai safar sey

pattharaayaa hai dil yuuN keh koii ism paRhaa jaaye
yeh shehar nikaltaa nahiin jaaduu k asar sey

nikley hain to rastey men kahiin shaam bhii ho gii
suuraj bhii magar aaye gaa is raah-guzar sey


Thursday 26 April 2012

shola-e-ishq bujhaanaa bhii nahiiN chaahta hai


shola-e-ishq bujhaanaa bhii nahiiN chaahta hai
voh magar Khud ko jalaana bhii nahiiN chaahta hai

us ko manzuur nahiiN hai merii gumraahii bhii,
aur mujhey raah pey laana bhii nahiiN chaahta hai

sair bhii jism k sehraa kii Khush aatii hai magar,
dair tak Khaak uRaana bhii nahiiN chaahta hai

kaisey us shaKhs sey tabiir pey israar kareN
jo koii Khawaab dikhaana bhii nahiiN chaahta hai

apney kis kaam meN laaye ga bataata bhii nahiiN
ham ko auroN pey ganvaanaa bhii nahiiN chaahta hai

merey lafzoN meN bhii chhuptaa nahiiN paikar us ka,
dil magar naam bataana bhii nahiiN chaahta hai

عشق بھی جلتے چناروں کی طرح لگتا ہے





جھلملاتے ہوئے تاروں کی طرح لگتا ہے
تو مجھے اجلے نظاروں کی طرح لگتا ہے

ڈال دیتے ہیں کئی درد کٹاؤ اس میں
دل بھی دریا کے کناروں کی طرح لگتا ہے

بے یقینی ہے کہ رہتے ہیں سراب آنکھوں میں
فائدہ مجھ کو خساروں کی طرح لگتا ہے

زندگی جس نے گزاری ہو خوشی میں ساری
اسکو اک غم بھی ہزاروں کی طرح لگتا ہے

بعض اوقات محبت کی تپش میں مجھ کو
عشق بھی جلتے چناروں کی طرح لگتا ہے

مل گئی قرب مسلسل میں طبیعت اس سے
اب مجھے ہجر بھی یاروں کی طرح لگتا ہے


faasley aisey bhii hon gey yeh kabhii sochaa na thaa

socha na tha socha na tha



faasley aisey bhii hon gey yeh kabhii sochaa na thaa
saamaney baithaa thaa merey aur vo meraa na thaa

vo keh Khushbuu kii tarah phailaa thaa merey chaar suu
main usey mehasuus kar sakataa thaa chhuu sakataa na thaa

raat bhar pichhli hii aahat kaan men aatii rahii
jhaank kar dekhaa galii men koii bhii aayaa na thaa

aks to maujuud th par aks tanahaaii k they
aaiinaa to thaa magar us men teraa cheharaa na thaa

aaj us ney dard bhii apney alehadaa kar liye
aaj main royaa to merey saath vo royaa na thaa

yeh sabhii viiraaniyaan us k judaa honey sey thiin
aankh dhundhalaaii huii thii shehar dhundhalaayaa na thaa

yaad kar k aur bhii takaliif hotii thii adeem
bhuul jaaney k sivaa ab koii bhii chaaraa na thaa 

Ay Ishq

Aya Ishaq Aya Ishaq

Tuesday 24 April 2012

Khawab Nagar Hai Aankhen Kholey Dekh Raha Huun

dekh rha huun dekh rha huun

Khawab Nagar Hai Aankhen Kholey Dekh Raha Huun
Us Ko Apni Janib Aata Dekh Raha Huun

Kisi Ki Aahat Qariya Qariya Phail Rahi Hai
Deewaaron K Rang Badaltey Dekh Raha Huun

Kon Merey Jaadu Sey Bach Kar Ja Sakta Hai!
Aaina Huun, Sab K Chehrey Dekh Raha Huun

Darwaazey Par Tez Hawaaon Ka Pehra Hai
Ghar K Andar Chhup K Saaye Dekh Raha Huun

Manzar Manzar Weeraani Ney Jaal Taaney Hain
Gulshan Gulshan Bikhrey Pattey Dekh Raha Huun


Manzil Manzil Haul Mai Doobi Aawazein Hain
Rasta Rasta Khauf K Pehrey Dekh Raha Huun

Shehr-E-Sangdil Mai AMJAD Har Raastey Par
Aawazon K Pathar Chaltey Dekh Raha Huun

Pal men doori ho jati hai

Doori Urdu Ghazal Doori Urdu Ghazal



Pal men doori ho jati hai,
Zaat adhoori ho jati hai,
Aankhon men neend aati nahi,
Raat poori ho jati hai,
Pehley to hoti hai chahat,
Phir majboori ho jati hai,
Kuch logo'n ki lamha bhar men,
Khawahish poori ho jati hai,
Aur
Hadd say pyar guzar jaye to,
Aksar doori ho jati hai...!!

Muasam-e-zard men ek dil ko bachaoon kaisey

Aib yeh socho to Aib yeh socho to

Ab yeh sochoon tau bhanwar zehan men parr jaatay hain
Kaisey chehray hain jo miltay hi bicharr jaatay hain

Kyun terey dard ko dain tohmat-e-weeraani-e-dil
Zal'zallon men tau bharrray shehar bhi ujjar jaatay hain

Muasam-e-zard men ek dil ko bachaoon kaisey
Aisi rutt men tau ghannay pairr bhi jharr jaatay hain

Ab kaya koi merey kadmon k nishaan dhoondhey ga
Taiz aandhi men tau khaimay bhi ukharr jaatay hain

Shiddat-e-ghum men bhi zinda hoon tau hairat kaisi
Kuch diye tau tund hawaoon sey bhi larr jaatay hain

Woh bhi kaya log hain Mohsin jo wafa ki khaatir
Khud tarasheeda asooloon pey bhi arr jaatay hain...!!!


Merey Andar Koi Toot Gaya Hai


 Tum se meri baat hui thi1 Tum se meri baat hui thi


TuM sey Meri Baat Hui Thi, 
TuM ney Mujhko SaMjhaya Tha, 
Apni Zaat Sey Bahir Niklo 
Ghar Ko Lauto, 
Ghar Ko Dekho, 
Aur Bhi Log TuMharey DaM Sey Zinda Hain, 
TuM Men Apni Saari Khushiyan Dekh Rahey Hain ,
Soch Liya Hai 
Dekh Liya Hai, 
Laut Aaya Hoon, 
Lekin Merey Andar Koi Toot Gaya Hai...


Monday 23 April 2012

Jaltay Honton Pay Tabassum Jo Machalta Hai Kabhi






















Jaltey honton pey tabassum jo machalta hai kabhi,
Zakhm dhul jatey hain saawan jo barasta hai kabhi,
Mein nay sochon men tarashey hain khad o khaal terey,
Merey baarey men bata tu ney bhi socha hai kabhi,
Charhtey suraj sey kabhi tu ney milai hai nazar,
Tu ney kirnon ki taraf ghor sey dekha hai kabhi,
Log pathar men khilaatey hain umiidon k gulaab,
Youn bhi mumkin hai bata aisa bhi hota hai kabhi,
Tu ney samjha tha keh main lot k aa jaaun ga,
Aankh sey bichra hua ashk bhi lota hai kabhi.

Sunday 22 April 2012

Raat Bhar Koii Tanha Sisakta Raha




raat katti rahi raat katti rahi































Raat Kat'ti Rahi Chaand Dhalta Raha
Aatish -e- Hijar Men Koii Jalta Raha
Ghar Ki Tanhaiyan Dil Ko Dasti Rahin
Koii Be Chain Karwaten Badalta Raha
Aas -o- Umeed Ki Shama Roshan Rahi
Ghar Ki Dehleez Ko Koii Takta Raha
Raat Bhar Chaandni Gungunati Rahi
Raat Bhar Koii Tanha Sisakta Raha
Ashk Palkon Pay Aa Kay Bikhartay Rahay
Naam Lab Pay Kisi Ka Larazta Raha
Aaj Phir Raat Basar Ho Hi Gaii
Aaj Phir Koii Khud Say Ulajhta Raha

jo maangta tha, woh dena meri bisat na thi

Ajab Shaks Tha Her Aik Say Piyaar Mangta Tha Ajab Shaks Tha Her Aik Say Piyaar Mangta Tha

Ajeeb shaks tha har ek sey pyar maangta tha
jahan na dard ho aisa dayaar maangta tha

jo maangta tha, woh dena meri bisat na thi
woh meri rooh ka mujh sey qaraar maangta tha

usay gharz thi na gulon sey na bulbulon sey
wo fasl-e-ranj mai fasl-e-bahaar maangta tha

usay talab thi koi toot kar usay chaahay
wo haath jorr k ulfat ka izhaar maangta tha

merey khuloos pey shayad tha shak usay
wafa ki raah men woh aitbaar maangta tha…


Aahat Si Koi Aaye To Lagta Hai Keh Tum Ho

Tum Ho Urdu Poetry Tum Ho Urdu Poetry

Subak Raftaar Lamhay

Pehlo Sa Sark Jata ha Tujha Sochon To Pehlo Sa Sark Jata ha Dil Mera

Agar Woh Meharbaan Hoti

Agar Woh Mehrban Hote 600x450 Agar Woh Mehrban Hote

Aik Khawahish


december ki
sard lambi raaten
aur dil ko garmaati tumhari yaaden
aati hain
to jana bhool jati hain
meray dil ki aik khawahish hai...
bilkul aisay he
tum bhi
meray pass aao
aur jana bhool jaao

Aakhri Sawaal

Aakhari Sawal 600x603 Aakhari Sawal

uska rona to banta tha
jab mein nay us say poocha tha
mujh ko rukhsat kartay waqt
tum baal bhi saaray kholo gi
ya sab logon ki maanind tum bhi
konay men chup chaap si bethi
holay holay bain karo gi !!

Kasak

Kasak Kasak


mujh say woh aksar kehti thi
meri bas itni khawahish hai
kuch aisay pehchaani jaauun
aap kay naam say jani jaauun

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets