Agar main patthar ki larki hoti 
To apnay paikar ki sabz rut per bohat si kaaii ugaya kerti 
Bohat say taareek khawab bunti 
Ujalay ko thokron men rakhti 
Khamoshi kay babool chunti 
Dehakti kirnon ka jharna hoti 
Sama’aton kay tamaam afsoon paash kerti 
Main kuch na sunti 
Main apnay pallu men sog baandhay 
Kisi ko un ka pata na deti 
Safar kay her aik merhalay per 
Main rahzanon ki tarah mukarti
 Agar main patthar ki larki hoti 
To main aziyyat ki malgaji un-ginat udasi kay rung chunti 
Weham ugaati, gumaan rakhti
 
Tumhari saari wajahaton ko 
Main sau tarah say para para kerti 
Na tum ko yun aaina banati 
Agar main patthar ki larki hoti