Friday 20 April 2012

Wo hijar ki raat ka sitara

گئے دنوں کا سراغ لے کر-nasirkazmi.gif051.jpg



Gaye Dinon Ka Suraagh Lay Ker Kidhar Sey Aaya Kidhar Gaya Woh
Ajeeb Maanoos Ajnabi Tha Mujhay To Hairan Ker Gaya Woh

Wo Maikaday Ko Jaganay Wala, Wo Raaton Ki Neendain Uranay Wala
Yeh Aaj Kaya Uss Kay Jee Men Aayee Keh Shaam Hotay He Ghar Gaya Woh

Khushi Ki Rut Ho Keh Gham Ka Mousam Nazar Dhoondhti Hai Usey Her Dum
Woh Boo-E-Gul Tha Keh Naghma-E- Jaan Mairay To Dil Men Uttar Gaya Woh

Bas Ek Moti Si Chhab Dikha Ker Bas Ek Meethi Si Dhun Suna Ker
Sitara-E-Shaam Ban Ker Aaya Barang-E-Khawab-E- Sehar Gaya Woh

Na Ab Who Yaadon Ka Charhta Darya Na Fursaton Ki Udaas Barkha
Younhi Zara Si Kasak Hai Dil Men Jo Zakham Gehra Tha Bhar Gaya Woh

Wo Jiss Kay Shaaney Pay Haath Rakh Kar Safar Kiya Tu Nay Manzilon Ka
Teri Galli Say Naa Janay Kyun, Aaj Sar Jukaaye Guzar Gaya Woh

Kuch Ab Sambhalnay Lagi Hai Jaan Bhi Badal Chala Rang-E-Assman Bhi
Jo Raat Bhaari Thi Thal Gayee Jo Din Karraa Tha Guzar Gaya Woh

Woh Raat Ka Be-Nawa Musafir, Who Tera Shayar, Woh Tera Nasir
Teri Galli Tak To Hum Nay Dekha, Phir Naa Janay Kidhar Gaya Woh

Wo hijar ki raat ka sitara wo ham nafas ham sukhan hmara..
Sadaa rahay naam us ka pyara suna hai kal rat mar gaya woh...



No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets