Saturday 30 June 2012

ishq khud ro poda hai



ishq khud ro poda hai

aur poda bhi kuch aisa

jahan lag jaaye

jis dil ki zameen men beej parr jaaye

wahan fasal dard ki 

barrh'ti he rehti hai

ramak zindagi ki

ghat'ti he rehti hai.


Thursday 14 June 2012

muhabbaton ki saza be'misaal di us nay



muhabbaton ki saza be'misaal di us nay
udaas rehnay ki aadat si daal di us nay

Saturday 9 June 2012

bisat-e-ishq men mujhey maat ho jaye gi



bisat-e-ishq men mujhey maat ho jaye gi
kisey khabar thi keh banjar yeh zaat ho jaye gi

shayad wo ana men pehchaan-nay sey inkar ker day
kabhi jo raah-e-ishq pey mulaqaat ho jaye gi

judai bakhshay gi umr bhar ka adhura pan
ya hijr men mukammal meri zaat ho jaye gi

us ka naam tak leney ki ijazat nhi ab to
khayaal to yeh tha keh kabhi kabhi baat ho jaye gi

gumaan tak na tha is qadar zawal ka aakaash
socha tha keh subha hotey hi raat ho jaye gi


Tuesday 5 June 2012

Yeh Bazam e Muhabbat hai

Wafa Ka Dasht Kesa Tha Bataao Tum Pay Kaya Beeti

مرے بعد گزری ہے اُس پہ کیا، مجھے اُس کی کوئی خبر نہیں



نہ خیالِ سود و زیاں رہا، نہ کسی خوشی کی طلب رہی
ترے بعد کوئی سکوں رہا ، نہ ہوائے شہرِ طرب رہی

مری دھڑکنوں میں بسی ہوئی، مرے خُون میں ہے گُھلی ہوئی
وہ ترے جمال کی تازگی جو مرے جنوں کے سبب رہی

مرے بعد گزری ہے اُس پہ کیا، مجھے اُس کی کوئی خبر نہیں
وہ اُجالتی رہی زندگی کہ اسیرِ حلقۂ شب رہی

وہ نہیں ہے تو نہیں خود سے بھی کوئی رابطہ کوئی سلسلہ
وہی روز و شب مرے بس میں تھے، مری دسترس میں وہ جب رہی

تُو رہا کسی کی تلاش میں، میں تری تلاش میں گُم رہا
تری جستجو بھی عجیب تھی، مری جستجو بھی عجب رہی


Monday 4 June 2012

Khail Yeh Kesa Khail Rahi Hai Dil Say Teri Muhabbat

koii jab mil k huaa thaa ruKhsat




yeh bhii kaya shaam-e-mulaqaat aaii
lab pey mushkil sey terii baat aaii 

subha sey chup hain terey hijr nasiib 
haaye kaya hogaa agar raat aaii 

bastiyaaN chhorr k barsey baadal 
kis qayaamat kii yeh barsaat aaii 

koii jab mil k huaa thaa ruKhsat 
dil-e-betaab vahii raat aaii 

saayaa-e-zulf-e-butaaN men 'Nasir' 
ek sey ek naii raat aaii


Main uski qaid men hoon qaid sey rihaai men bhi



Wafa ki khair manaata hoon bewafaai men bhi
Main uski qaid men hoon qaid sey rihaai men bhi


Lahu ki aag men jal bujh gaye badan tau khula
Rasaai men bhi khasaara hai naa rasaai men bhi


Badaltay rehtay hain mausam guzarta rehta hai waqt
Magar yeh dil k waheen ka waheen judaai men bhi


Lehaaz hurmat-e-paimaan na pass-e-hum khawabi
Ajab tarah k tasaadum thay aashnaai men bhi


Main das baras sey kissi khawab k azaab men hoon
Wohi azaab dar aaya hai is dahaai men bhi


Tasaadum dil-o-duniya men dil ki haar k baad
Hijaab aanay laga hai ghazal saraai men bhi


Main ja raha hoon ab uski taraf usee ki taraf
Jo merey saath tha meri shikasta paai men bhi


haath diya us nay meray haath men









haath diya us nay meray haath men
mein to wali ban gaya ik raat men

Saturday 2 June 2012

Chaand Bhi Khoya Khoya Sa Hai

Milti Hai Zindagi Men Yeh Raahat Kabhi Kabhi





Hoti Hai Terey Naam Sey Wehshat Kabhi Kabhi
Barham Hui Hai YuN Bhi Tabiyat Kabhi Kabhi

Ay Dil Kisey Nasiib Yeh Taufiq-E-Iztirab
Milti Hai Zindagi Men Yeh Raahat Kabhi Kabhi

Terey Karam Sey Ay Aalam-E-Husn-E-Aafrin
Dil Ban Gaya Hai Dost Ki Khilwat Kabhi Kabhi

Josh-E-Junun MeN Dard Ki TuGhyaniyoN K Sath
AshkoN MeN Dhal Gayi Teri Surat Kabhi Kabhi

Terey Qarib Reh K Bhi Dil Mutma’in Na Tha
Guzri Hai Mujh Pey  Yeh
 Bhi Qayamat Kabhi Kabhi

Kuch Apna Hosh Tha Na Tumhara Khayal Tha
Yun Bhi Guzar Gayi Shab-E-Furqat Kabhi Kabhi

Ay Dost Ham Ney Tark-E-Muhabbat K Baa'wajud
Mehsoos Ki Hai Teri Zarurat Kabhi Kabhi

gum apni muhabbat men donon,nayaab ho tum nayaab hain hum












gum apni muhabbat men donon,nayaab ho tum nayaab hain hum
kaya hum ko khuli aankhen dekhain,ik khawab ho tum ik khawab hain hum
ik hans purani yaadon ka baitha hua kankar chunta hai
tapti hui hijr ki gharriyon men sookha hua ik talaab hain hum

Hijr ki shab ka kisi ism say katna mushkil




Hijr ki shab ka kisi ism say katna mushkil
Chaand poora hai to phir dard ka ghatna mushkil

Mouja-e-khwaab hai wo, us kay thikaaney maloom
Ab gaya hai to yeh samjho keh palatna mushkil

Jin darakhton ki jarrain dil men utar jaati hain
Un ka aandhi ki daranti sey bhi katna mushkil

quwwat-e-gham hai jo is tarah sambhaaley hai mujhey
warna bikhroon kisi lamhey to simatna mushkil 

us sey miltey huwey chehrey bhi bohut honey lagey
shehar k shehar sey ik saath nimatna mushkil

ab k bhi khoshon pey kuch naam they pehley sey likhey
ab k bhi fasal ka dehqaanon men batna mushkil 


Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets