Monday 2 July 2012

Mareez e Muhabbat





Mareez-e-mohabbat unhi ka fasana sunaata raha dum nikaltey nikaltey
magar zikr-e-shaam-e-alum jab keh aaya, chiragh-e-sehar bujh gaya jaltey jaltey


(mareez-e-mohabbat = patient of love;
zikr = reminder, alum = sadness)


irada tha tark-e-mohabbat ka laikin, fariab-e-tabassum meN phir aa gaey hum
abhi kha k Thokar sanbhalney na paaey, keh phir khaaii Thokar sanbhaltey sanbhaltey


unhain Khat meN likha keh dil muztarib hai, jawaab un ka aaya mohabbat na kartey
tumhain dil lagaaney ko kis nay kaha tha, behal jaaey ga dil beheltey beheltey


(muztarib - disquiet)


aray koi vadaa Khilafi ki hud hai, hisab apney dil meN laga kar to dekho
qayamat ka din aa agaya rafta rafta, mulaqaat ka din badaltey badaltey


humaiN apney dil ki to parwa nahi hai, magar dar raha hoon yeh kam_sin ki zid hai
kaheeN paa-e-nazuk maiN moch aa na jaaey, dil-e-sakht jaaN ko masaltey masaltey


(paa-e-nazuk = tender feets;
moch = sprain)

No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets