Wednesday 28 November 2012

Is say pehlay keh muhabbat men mera dil tootay


itnay gehray thay meri jaan rawabat tum say torrney chahay jo hum nay to ba-mushkil tootay

jo zamaney ki nigaahon say chupa rakhay thay waqt e aakhir wo ta’aluq sar e mehfil tootay
sar kiye ma’arka e zeest barri himmat say daagh daaman pay kisi baat pey aaney na diya
tujh say izhaar e muhabbat bhi magar kar na sakay hoslay meray faqt teray muqaabil tootay
husn phoolon ka hii banta hai tabaahii ka sabab dosto khaar e mugheelan nahin nochay jatay
aap tareekh e gulistan utha kar dekhien is men bus shaakh say gull deed kay qabil tootay
meray paikar men nazakat hai gulon kii aakhir main qaid hon aahanii zanjeer mein ik muddat say
azm e parwaaz men phir bhi hai hararat itnii arsh chhuu loonga agar band e salasil tootay
koh e gham teri muhabbat ka gira hai mujh par sang-raizon men badal jana mera wajib hai
mit gaye hotay jo yaklakht to acha hota yeh qayamat hai keh hum tootay paa til-til tootay
dast basta yeh husainii kii dua hai ya raab umr bhr ashk bahaney ko na zinda rakhna
bhaij daina too meray naam pey paigham e ajal is say pehlay keh muhabbat men mera dil tootay

No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets