Wednesday 28 November 2012

mujhay is haal tak pohncha dee’ya teri muhabbat nay



kitab-e-dil kaa koi bhi waraq saa’daa nahiN hota
niga’h uss ko bhi parh lay’ti hay jo likha nahiN hota
usay maiN dhekti rehti hoon yaa’don k chana’roN say
nigahoN ki tapish say wo kabhi shola nahiN hota
hawa ko choona chahti hooN keh yeh uss ko bhi chooti hai
magar mera junoo’N mujh say kabhi poora nahin hota
sunaana chahti hoon haal-e-dil jis aik jumlay meN
bikhar jata hai wo jumla kabhi yak’jaa nahiN hota
tapish is dil ki aa pohnchi meri nam-naak aankhoN tak
kaash jo jal gaya kandha wohi tera nahin hota
mujhay is haal tak pohncha dee’ya teri muhabbat nay
sitam kaisa bhi ho tujh say koi shikwaa nahin hota

No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets