Monday 26 November 2012

Terey sath bhi khasara, terey baad bhi khasara



Kaii kaam radd kiye hain teri yaad ki wajah sey

Terey sath bhi khasara, terey baad bhi khasara



 Tu To Aasooda-E-Rahat Hai..Tujhey Kaya Maloom 

 Dukh To Insaan Ki Buniyaad Hilaa Detey Hain



Ilm o hikmat ka jinhen shauq ho aeyen na idhar,

Koocha e ishq men kuch bhi nahin hairat kay siwa



Jaahil Na Bik Saka, Na Kabhi Muflisi Biki 

Aalim Bika , Shaoor Bika , Aagahi Biki



Husn Ki Takmil Ishq , Ishq Ki Takmil Husn

Ik Kami Terey Baghair , Ik Kami Marey Baghair



Is Qadar Keemti To Na Tha Mera Chain -o-Sakoon

Loot Kar Ley Gaye Woh, Kissi Anmol Khazanay Ki Tarah



KHushk tinkon sey ghar bana rahay ho" Mohsin"

Yeh jantay bhi ho mizaaj-e-Yaar AAG jesa hai


No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets