Thursday 20 December 2012

Bheegi January


Usay kehna kitabooN men rakhay sookhay huay kuch phool
Us kay loat aanay ka yaqeen ab talak dilatay haiN
Usay kehna keh us ki jheel si aankhaiN kisi manzer pay chaa jaayeN
To sab manzer yuun hi phir bheeg jaatay haiN
Usay kehna thandi baraf per koi kisi kay sath chalta hai
To qadmoN kay nishan phir say usi kay loat aanay kay nishaN dil per banatay haiN
Usay kehna keh us ki bheegti aankhooN ka wo aansoo
Sitaray ki tarha ab bhi humaiN shab bhar jagata hai
Usay kehna keh barish khirkiyoN pay us k aansoo paint kerti hai
Usi ka naam likhti hai
Usay hi gungunati hai
Usay kehna keh khushboo, chandni, taaray, saba, rastay, ghata, kajal
Mohobbat, chandni, shabnam, hawa'aiN, raat, din, baadal
Sabhi naraaz haiN hum say
Usay kehna judai kay darakhtoN per jo sookhi tehniyaaN haiN
Baraf ki chader
Ki zad meN haiN
Or un shaakhoN pay yaadoN kay
Jo patay thay sunehri ho gaye haiN
Usay kehna december soo gaya hai
Or yakh'basta wo bheegi january phir loat aai hai
Usay kehna keh loat aaye


No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets