Thursday 20 December 2012

Usool par wo muhabbat ko waar baithha tha


sitam mai kaun karey ga muqabla uska
keh zakhm bharta nahee'n hai dia huwa uska

usool par wo muhabbat ko waar baithha tha
alag tha saarey jaha'n sey muamla uska

mujhey hai moj e toofa'n ka darr usey kyu'n ho
safina uska, bhanwar uska, Na Khuda uska

andheri shab jisey sotey mai chhorh aaya ta
maindinn charrhey karoo'n kiss tarha saamna uska

wo rubaroo merey anjaan ban gaya kaisa
mai dekh dekh k haira'n hoo'n, hausla uska

jo tujh pey apni wafaayen luta gaya chup chap
kabhi khayal bhi aaya, ay be wafa uska

"yeh raah chhorr chuka hoo'n" wo jhoot kehta tha
abhi bhi raah pey taaza hai naqsh e paa uska


No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets