Friday 11 January 2013

Dil peet ki aag men jalta hai, haan jalta hai isey jalney do


Dil peet ki aag men jalta hai, haan jalta rahay isey jalney do
is aag sey logo door raho, thandi na karo pankha na jhalo
hum raat din yoon hi ghultey rahein, koi puuchey keh hum ko na puuchey
koi saajan ho ya dushman ho, tum zikr kisi ka mat chherro
sab jaan k sapney dekhtey hain, sab jaan k dhokey khaatey hain
yeh deewaney saada hi sahi, per itney bhi saada hain yaaro?
kis meethi tapish k maalik hain thitharti hui aag k angiyaare
tum nay tu kabhi sainka hi nahi, tum kaya samjho, tum kya jano

dil peet ki aag men jalta hai, haan jalta hai isey jalney do
is aag sey tum to door raho, thandi na karo pankha na jhalo
har mehfil men hum dono ki kaya kaya nahi baatein hoti hain
in baatoon ka mafhoom hai kaya, tum kaya samjho, tum kaya jaano
dil chal k labon tak aa na saka, lab khul na sakey gham ja na saka
apna to bas itna qissa tha, wo waqt kahan wo baat kahan
jab martey they marney na diya, ab jeetey hain ab jeeney do

dil peet ki aag men jalta hai, haan jalta rahay isey jalney do
is aag sey Insha door raho, thandi na karo pankha na jhalo
logon ki to baatein sachi hain....aur dil ka bhi kehna karna hua
par baat hamaari maano to...yaa un k bano ya apney raho
raahi bhi nahi, rehzan bhi nahi, bijli bhi nahi, khirman bhi nahi
aisa bhi bhala hota hai kahin, tum bhi tu ajab deewaney ho
is khail men har baat apni kahan, jeet apni kahan maat apni kahan
yaa khail sey yak-sar uth jaao, ya jaati baazi jaaney do



No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets