Monday 14 January 2013

Judai dainey waaley tum sey umeed-e-wafa kaisi



Judai dainey waaley tum sey umeed-e-wafa kaisi

ta’aluq toot jaaye jab


muhabbat rooth jaaye jab


to phir rasm-e-dua kaisi


milan ki ilteja kaisi


bhanwar men dolti kashtii pey saahil ki tamanna kaya


ukharrtay saans hon to zindagi ki aarzoo bhi kaya


jo manzil kho chuki ho uss ki phir sey justuju bhi kyun


magar dil ney tumhein kis waastay sey yaad rakha hai


tumhein kyun shayari men aaj takk aabaad rakha hai


abhi tak main ney kyun khud ko bohat barbaad rakha hai


hawa k dosh per kyun naghma-e-faryaad rakha hai


judaii dainey waaley aashnaii ki qasam tum ko


tumhari bewafai, kaj-adaai ki qasam tum ko


mujhey itna bata dena


wafa ki chaahaton ki mash’alein kaisey bhujatey hain


nishaan kaisey mitaatey hain


bhulana ho jinhein unn ko bhala kaisey bhulatay hain

No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets