Monday 14 January 2013

Khasaara dil ka



Meri aankhon men ummad aaya hai darya dil ka

Phir kahin toot gaya ho na kinara dil ka


Bas muhabat sey rewaayat hai kahani dil ki

Chaar herfon sey ibaarat hai fasana dil ka


Us ney daali he nahin bheek nazar ki or main

Liye aankon men reh gaya kaasa dil ka


Saans rukti hai to phir jaan ka khayal aata hai

Dil dharakta hai to lag jata hai dharka dil ka


Issi koshish men bohat umar ganwa di main ney

Phir bhi poora na huva mujh sey khasaara dil ka


Meri payaab tamanaayen bataati hain mujhey

Sookh jaaye ga koi roz men darya dil ka


Badli badli si sada deti hai dharkan dil ki

Hijr men or he ho jata hai lehja dil ka


Kyun na dost abhi tark-e-mohabat ker lain

Iss sey pehley keh badal jaaye irada dil ka


Fikr-e-duniya men merey dil ko bhulaney waley

Teri duniya sey ziada hai asaasa dil ka


Uss ki aankhon ney chupkey sey kaha khul ja sim sim

Khul gaya aain usi waqt dareecha dil ka


Ishq kaatey ga abhi or chataanain saagar

Aqal dekhey gi abhi or tamasha dil ka


No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets