kahan kahan sey sametoon shikasta khawabon ko
keh zabt e gham ka saleeqa nahin hai aankhon ko

ajab bahaar e khizaan hai chaman men ab ki bahaar
hawa urraati phiri merey khushk pat'ton ko

safer abhi to zara sa kia hai terey baghair
abhi to rona buhat hai udaas aankhon ko

abhi to umer ka ye dasht paar kerna hai
chiraagh kerna hai kuch be'chiraagh raaton ko

wo raasta bhi ajab tha wo humsafer bhi kamaal
jo mujh ko sonp gaya sarphiri hawaaon ko

keh jin ko kaat dain khud mouja e bahaar k haath
sajaye kon phir aisi bureedah shaakhon ko

chamakti jati hain or bheegti bhi jaati hain
huner yeh kis ney sikhaya hai meri palkon ko

main bhool jati hoon her subah tera naam mager
main yaad kerti hoon her raat teri baaton ko