Thursday 11 April 2013

Tumharey bin nahi hota guzara lout aao na


Nigahain Rasta dekhain"TUMHARA" Lout aao na

Tumharey bin nahi hota guzara lout aao na



Bichar k yar "TUJH" sey zindagi pal pal tarapti hai

Keh tm bin ab nahi "JEENA" gawara lout aao na



Mujhey dar hai keh in tanhaiyon men toot jaaun na

Hai bus teri Mohabbat ka sahara lout aao na



Tum he to zindagi ho Pyar ho Duniya hamari ho

Siwa terey nahi koi hamara lout aao na



Meri taqdeer to hai bus tumharey sath wabasta

Kahin bujh jaaye na Qismat ka taara lout aao na..

No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets