Us ki aankhain thiin samunder, yuun tha
Main tha, pani men mera ghar, yuun tha

Mujh pay akser hi meharbaan rehta
Adh khulay honton ka saaghar yuun tha

Who jo hansti to garha hans parrta
Us kay rukhsaar kay ooper yuun tha

Aur kuch kaisay sujhaai deta
Who meri zaat ka mehver yuun tha

Khaak urnay say bhi aankhain num thiin
Kuch shab e hijr ka manzer, yuun tha

Main nay akser usay kehtay paya
Yun nahin tha, mera Azhar, yuun tha