Monday 27 May 2013

Mujhay tum yaad aati ho



Tumhen kis nay kaha pagli

mujhay tum yaad aati ho

bohat khush faham ho tum bhi

tumharai khush gumani hai

meri aankhon ki surkhi men

tumhari yaad ka matlab???????

meray shab bhar kay jaagnay men

tumharay khwaab ka matlab???

yeh aankhen to hameesha say he

meri surkh rehti hain

tumhin maaloom hi ho ga

is shehar ki fiza kitni aaluda hai

to yeh sozish,,ussi fizza kay baayes hai

tumhen kis nay kaha pagli

keh main shab bhar nhin sota

mujhay is nokri kay sab jhameelon say

kabhi fursat milay to tab hai na

meri baaton men larzish hai???

main aksar kho sa jaata hoon??

tumhen kis nay kaha pagli

muhabbat kay ilawa aur bhi to dard hotay hain

fikar-e-muaash,sukh ki tlaash,

aisay aur bhi gham hain

aur tum

un sab ghamon kay baad aati ho

tumhen kis nay kaha pagali

mujhay tum yaad aati ho

yah duniya walay pagal hain

zara si baat ko yeh to afsaana samajhtay hain

mujhay ab bhi yeh pagal tera dewana samjhaty hain

tumhen kis nay kaha pagli!!!

magar shayed!!!!!!!

magar shayed main jhhoota hoon

main reza reza ,toota hoon

No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets