Sunday 15 May 2016

Aisay Bichhar Kay Us nay To Mar Jana Tha


Marti Hui Zameen Ko Bachana Para Mujhay, 
Baadal Ki Tarah Dasht Men Aana Para Mujhay,

Wo Kar Nahi Raha Tha Meri Baat Ka Yaqeen, 
Phir Yun Hua Keh Mar Kay Dikhana Para Mujhay,

Bhoolay Say Meri Simt Koi Dekhta Na Tha, 
Chehray Pay Ek Zakhm Lagana Para Mujhay,

Us Ajnabi Say Haath Milanay Kay Waastay, 
Mehfil Men Sab say Haath Milana Para Mujhay,

Yaaden Thiin Dafan Aisi Keh Baad Az Farokht Bhi, 
Us Ghar Ki Dekh'bhaal Ko Jana Para Mujhay,

Us Bewafa Ki Yaad Dilata Tha Baar Baar, 
Kal Aainay Pay Haath Uthana Para Mujhay,

Aisay Bichhar Kay Us nay To Mar Jana Tha, 
Uski Nazar Men Khud ko Girana Para Mujhay...
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets