Wednesday 21 September 2016

aaj bohat din baad suni hai BARISH ki aawaaz

‪girl seeing rain images‬‏ کیلئے تصویری نتیجہ


aaj bohat din baad suni hai BARISH ki aawaaz
aaj bohat din baad kisi manzar nay rasta roka hai
rim jhim ka malboos pehan kar yaad kisi ki aayee hai
aaj bohat din baad achanak aankh yuun'hi bhar aayee hai
Aankh aur manzir ki wus'at men chaaron jaanib barish hai
Aur barish men, duur kahin ik ghar hai jis ki
Ek ek eent pay teray meray khwab likhey hain
Aur us ghar ko jaanay wali kuch galiyan hain
Jin men hum dono kay saaye tanha tanha bheeg rahay hain
Darwazay par qufl para hai aur dareechay soonay hain
Deewaron par jami hui kaaii men chup kar
Mausam hum ko dekh rahay hain
Kitnay baadal, hum dono ki aankh say ojhal
Baras baras kar guzar chukay hain...
Ek kami si,
Ek nami si,
Chaaron jaanib phail rahi hai,
Kaii zamanay ek hi pal men
Baham mil kar bheeg rahay hain
Andar yaaden sookh rahi hain
Baahir manzar bheeg rahay hain!!!

ﺳﺐ ﺍﺩﺍﺱ ﻟﻮﮔﻮﮞ ﮐﯽ ﺍﯾﮏ ﺳﯽ ﮐﮩﺎﻧﯽ ﮨﮯ












ﺳﺐ ﺍﺩﺍﺱ ﻟﻮﮔﻮﮞ ﮐﯽ
ﺍﯾﮏ ﺳﯽ ﮐﮩﺎﻧﯽ ﮨﮯ
ﺍﯾﮏ ﺟﯿﺴﮯ ﻟﮩﺠﮯ ﮨﯿﮟ
ﺍﯾﮏ ﺟﯿﺴﯽ ﺗﺎﻧﯿﮟ ﮨﯿﮟ
ﺷﮩﺮ ﯾﺎﺭ ﭘﺮ ﺳﺐ ﮐﯽ
ﺍﯾﮏ ﺳﯽ ﺍﮌﺍﻧﯿﮟ ﮨﯿﮟ
ﺳﺐ ﺍﺩﺍﺱ ﻟﻮﮔﻮﮞ ﮐﮯ
ﺑﮯ ﻣﺮﺍﺩ ﮨﺎﺗﮭﻮﮞ ﭘﺮ
ﺍﯾﮏ ﺳﯽ ﻟﮑﯿﺮﯾﮟ ﮨﯿﮟ
ﺳﺐ ﮐﮯ ﺯﺭﺩ ﮨﻮﻧﭩﻮﮞ ﭘﺮ
ﻗﺮﺏ ﮐﯽ ﻣﻨﺎﺟﺎﺗﯿﮟ
ﻭﺻﻞ ﮐﯽ ﺩﻋﺎﺋﯿﮟ ﮨﯿﮟ
ﺑﮯ ﭼﺮﺍﻍ ﺭﺍﺗﻮﮞ ﻣﯿﮟ
ﺑﮯ ﺷﻤﺎﺭ ﺷﮑﻨﻮﮞ ﮐﮯ
ﺍﯾﮏ ﺳﮯ ﻓﺴﺎﻧﮯ ﮨﯿﮟ
ﮐﮭﻠﮑﮭﻼﺗﮯ ﻟﻤﺤﻮﮞ ﻣﯿﮟ
ﺑﮯ ﻭﺟﮧ ﺍﺩﺍﺳﯽ ﮐﮯ
ﺍﯾﮏ ﺳﮯ ﺑﮩﺎﻧﮯ ﮨﯿﮟ
ﺍﺷﮏ ﺁﻧﮑﮫ ﻣﯿﮟ ﺭﮐﮫ
، ﮐﮭﻞ ﮐﮯ ﻣﺴﮑﺮﺍﻧﮯ ﮐﯽ
ﺍﯾﮏ ﺟﯿﺴﯽ ﺗﺸﺮﯾﺤﯿﮟ
ﺍﯾﮏ ﺳﯽ ﻭﺿﺎﺣﺖ ﮨﮯ
ﺍﯾﮏ ﺟﯿﺴﮯ ﺷﻌﻠﻮﮞ ﻣﯿﮟ
ﺳﺐ ﮐﮯ ﺧﻮﺍﺏ ﺟﻠﺘﮯ ﮨﯿﮟ
ﺍﯾﮏ ﺟﯿﺴﯽ ﺑﺎﺗﻮﮞ ﭘﺮ
ﺳﺐ ﮐﮯ ﺩﻝ ﺩﮬﮍﮐﺘﮯ ﮨﯿﮟ
ﺳﺐ ﺍﺩﺍﺱ ﻟﻮﮔﻮﮞ ﮐﯽ
ﺍﯾﮏ ﺳﯽ ﮐﮩﺎﻧﯽ ﮨﮯ

"Mujhay Us Say Muhabbat Hai"

















Woh Mujh Say Yeh Nahin Kehti
Usay Mujh Say Muhabbat Hai
Magar woh Aaj Kal Aik Janoon ki Zad Men Rehti Hai
Ajab Aik Be'khudi Hai
jo Usay Be'chain Rakhti Hai
Woh Mujh Say Baat Karti Hai....
Bohat Hi Aam Si, Mausom Ki, Logon Ki
Mehaz Duniya Ki Rasmo’n Ki
Woh Mujh Say Baat Karnay Kay Bahanay Dhoondti Hai In Hawalon Say
Samajhti Hai Mein Us Ki Aam Si Baaton Ko
Bass "Yuun hi" Samjhta Hoon
Woh Milti Hai Mujhay Aksar Bahanon Say
Keh Mein Guzri Yahaan Say, Socha Baat Hi Kar Loon
Samajhti Hai Mein Us Kay In Bahanon Ko Na Janoon Ga
Kabhi Jo Phone Karti Hai
To Uski Mohabbat Us Kay Lehjay Say Jhalakti Hai
Mujhay Be'chain Karti Hai
Woh Mera Dhayaan Rakhti Hai
Meri Her Baat Ko Bin_Kahay Hi Woh Jaan Leti Hai
Samajhti Hai Woh Yeh Phir Bhi....!!!
Us Nay Khud Ko Chupa Rakha Hai Khud Hi Say
Magar Aksar...!!!
Woh Khud An'janay Men Apna Yeh Parda Chaak Karti Hai
Keh Jab Meri Bohat Pehlay Kahi Huii
Her Baat Ko Woh Yaad Rakhti Hai
Aur Unhi Lafzon Ko Meray Saamnay Duhra Bhi Deti Hai
Yuun Lagta Hai Keh...!!!
Us Nay Meri Kahi Her Baat Ko Yaad Rakha Hai
Woh Mujh Say Yeh Nahin Kehti
Keh Us Ki Khawahish Usko Bohat Be'chain Rakhti Hai
Ya Shayad In Dinon Woh Khud Say Bhi Chupati Hai
Magar...!!!
Uski Nigahain Aksar Usay Nakaam Kartin Hain
Keh Saaray Jaam Ulfat Kay Woh Bhar Bhar Kar Lutati Hain
Woh Darti Hai Keh Kahin Kho Na Day Mujh Ko
Keh Koi Baat Uski Mujh Ko Us Say Door Na Kar Day
Woh Mujh Ko Sochti Hai
Jaagti Hai Raat Bhar Woh Bhi
Magar Shayad Abhi Usko Muhabbat Men
Khamoshi Say Hi Jalna Hai
Keh Woh Jab Tak Parh Nahin Leti
Yeh Aankhin Jis Men Keh Uska Naam Likha Hai
Keh Meray Lahoo Ki Gardishon Men Raqs Karti Chaahatain Uski
Woh Jab Tak Paa Nahin Leti
Samajh Nahin Leti, Jab Tak...!!!
Keh Mein Bhi Gaam'zan Hoon
Khamoshi Say Us Kay Rastay Par
Mein Bhi Jaagta Hoon...Sochta Hoon Raat Bhar Us Ko
Magar Us say Nahin Kehta...!!!
"Mujhay Us Say Muhabbat Hai"

Samjhay thay dosron say bohat mukhtalif tujhay















Kesay kahen keh jaan say pyaara nahin raha 
Yeh aur baat ab woh hamara nahin raha

Aansoo teray bhi khushk huway aur meray bhi
Namm ab kisi nadi ka kinara nahin raha

Kuch din tumharay laut kay aanay ki aas thi 
Phir is umeed ka bhi sahara nahin raha

Rastay meh-o-najoom kay tabdeel ho gaye 
In khirkiyon men aik bhi taara nahin raha

Samjhay thay dosron say bohat mukhtalif tujhay
Kaya maan lain keh tu bhi hamara nahin raha

Haathon pay bujh gayee hai muqaddar ki kehkashaan 
Ya raakh ho gaya woh sitara nahin raha

Tum Aamir is kay liyee udaas kyun ho 
Aik shakhs jo khabhi bhi tumhara nahin raha

آج پھر یاد محبت کی کہانی آئی​












ٹھہری ٹھہری ہوئی طبیعت میں روانی آئی​
آج پھر یاد محبت کی کہانی آئی​

آج پھر نیند کو آنکھوں سے بچھڑتے دیکھا​
آج پھر یاد کوئی چوٹ پرانی آئی​

مدّتوں بعد چلا اُن پہ ہمارا جادو​
مدّتوں بعد ہمیں بات بنانی آئی​

مدّتوں بعد پشیماں ہوا دریا ہم سے​
مدّتوں بعد ہمیں پیاس چُھپانی آئی​

مدّتوں بعد کھُلی وسعتِ صحرا ہم پر​
مدّتوں بعد ہمیں خاک اُڑانی آئی​

مدّتوں بعد میسر ہوا ماں کا آنچل​
مدّتوں بعد ہمیں نیند سُہانی آئی​

اتنی آسانی سے ملتی نہیں فن کی دولت​
ڈھل گئی عمر تو غزلوں پہ جوانی آئی​

اقبال اشعر​

Aaj Phir Yaad Muhabbat Ki Kahaani Aaii














Thehri Thehri Si Tabiyat Men Rawaani Aaii, 
Aaj Phir Yaad Muhabbat Ki Kahaani Aaii.

Aaj Phir Neend Ko Aankho'n Say Bichartay Dekha, 
Aaj Phir Yaad Koi Choat Puraani Aaii.

Muddato'n Baad Un Pay ChaLa Hamaara Jaadu, 
Muddato'n Baad Humain Baat Banaa'ni Aaii.

Muddato'n Baad Pashemaan Huwa Darya Hum Par,
Muddato'n Baad Humain Pyaas Chupaani Aaii.

Muddato'n Baad KhuLi Wus'at-e-Sehraa Hum Par, 
Muddato'n Baad Humain Khaak Urraani Aaii.

Itni Aasani Say Nahi MiLti Fun Ki DoLat, 
DhaL Gai Umr Tau GhazLo'n Pay Jawaani Aai.
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets