DECEMBER POETRY








thitharti hui shab e siyah aur woh bhi taveel tar


mohsin hijr kay maaron par qayamat hai december




**********************************

SUNO!!!!!

DECEMBER KI THITHARTI HUI SHaAMEIN..

KOHR MEIN LIPTI DHUNDHLAYI SI SUBHEIN..

DARAKHTON K GIRTAY HUAY...

KHUSHK ZARD PATTAY

WO GAAON K TAMAM RASTAY

MOHABBATON K TAMAM RISHTAY

KHAYAAL ABAD KARTAY HAIN..

TUMHAIN!!!!

SUB YAAD KARTAY HAIN.





**********************************

Humarey Haal Per Roya December

Woh Dekho Toot Ker Barsa December


Guzar Jata Hai Sara Saal Yun Toh

Nahi Kat'ta Magar Tanha December


Bhala Barish Sey Kaya Sairaab Ho Ga?

Tumharey Wisaal Ka Pyasa December


Woh Kab Bichra? Nahi Ab Yaad Lekin

Bas Itna Ilm Hai Keh Tha December


Yun Palkein Bheegati Rehti Hain

Meri Aankhon Main Jaisey Aa Thehra December


Jama Poanji Yehi Hai Umer Bhar Ki

Meri Tanhai Aur Mera December


Sabab Na Pooch Meray Aansuon Ka

Hai Pehley Hijr Ka Pehla December


Main Inn Yaadon Sey Bach K Jaaun Kaisey

Keh Meelon Door Hai Phela December


Meri Aankhon Sey Gar Deko To Jaano

Keh Hai Barsaat Main Jalta December


Abhi Tak Kohr Main Dooba Hai Aangan

Abhi Tak Yaad Hai Pechla December



**********************************

Suno december...!


Suno december...!
Ussay pukaro,
ussay bula do Ussay mila do!
Ab is sey pehley keh saans niklay
Ab is sey pehley keh saal guzray
Wohi lakeerain, wohi sitaaray
Meri lakiron main qaid kar do
Ya aakhri shab kay aakhri pal
Koi barra ikhtitam kar do
Yeh zindagi bhi tamam kar do



**********************************


Usay kehna December loat aaya hay,
Hawaayen sard hain,
Aur Wadiyan bhi dhund men gum hain,
Pahaaron nay baraf ki shawl phir oarh rakhi hay,
Sabhi rastay tumhari yaad men pur nam saylagtay hain,
Jinhen sharf-e-musafat tha, Wo saaray lamhay jo hum nay sath men guzaray hain,
Tumhari yaad dilatay hain ,
Tumhen wapis bulatay hain,
Usay kehna keh dekho yun satao na,
DEcembar loat aaya hay,
Suno! Tum loat aao na.




**********************************



December ki sard hawaao
Us sey milo to kehna
Keh aaj bhi
Us ki yaad
Kisi k dil main
Mustaqil
Khaima zan hay
Koi aaj bhi usay
Uth'tay,beth'tay,sotay ,jaagtay,
Hanstay,rotay
Yaad karta hay


December ki sard hawaao
Us sey milo to kehna

Keh aaj bhi
Kisi ki palkain
Sar e shaam he
Us k intizar main
Bichh jati hain,
Aaj bhi koi
Us kay liye
Udas rehta hay

December ki sard hawaao
Us sey milo to kehna
Keh aaj bhi
Kisi k din raat
Us kay bin
Sogwaar guzertay hain,
Aaj bhi
Kisi ki aankhain
Us kay liye
Nam rehti hain

December ki sard hawaao
December ki sard hawaao
December ki sard hawaao



**********************************


Abhi hijr ka qayaam hai aur December aan pohancha hai
Yeh khabar shehar mein aam hai December aan pohncha hai

Aangan mein utar aayi hai maa,noos si khushboo
Yaadon ka azdahaam hai December aan pohancha hai

Khamoshiyon ka raaj hai khizaan taak mein hai
Udasi bhi bahot aam hai December aan pohancha hai

Teray  aanay ki ummid bhi ho chuki maadoom
Naye saal ka ehtamaam hai December aan pohancha hai

Khunak rut mein udasi bhi chaukhat pey kharri hai
jaaray ki udaas shaam hai December aan pohancha hai

Tum aao to meray mausmon ki bhi takmeel ho jaaye
Nayi rut to sar e baam hai December aan pohancha hai



**********************************


December jab bhi lot'ta hai,
Meray Khamosh Kamrey Mein
Meray bister pey bikhri Hui Kitaabian Bheeg jati hain . . .



**********************************


December ab k aao to
Tum us shehar e tamanna ki khabar lanaa
Keh jis mein jugnuon ki kehkashaan jhilmilaati hay
Jahan titlee k rangon say fizaayen muskarati hain
Wahan chaaron taraf khushboo wafa ki hay
Aur us ko jo bhi poron say
Nazar say choo gaya pal bhar
Mehak utha!

December ab ka aao to
Tum us shehar e tamanna ki khabar lanaa
Jahan per rait k zarray sitaray hain
Gul o bulbul,Mah o anjum wafa k ista’aray hain
Jahan dil woh samandar hay jis k kaii kinaray hain!

December hum say na poocho hamaray shehar ki baabat
Yahan aankhon mein guzray kaarwan ki gard thehri hay
Muhabbat barf jaisi hay yahan
Yahan dil k lahoo mein
Apni palkon ko dabo ker hum
Sunehray khawb buntay hain
Phir unhi khawbon mein jeetay hain
Unhi khawbon pey mertay hain
Dareeda rooh ko lafzon say seena go nahee mumkin
Magar phir bhi!
December ab k aao to
Tum us shehar e tamanna ki khabar lanaa!!!



**********************************


December Ki Udaas rutt
lout aayi hay nami aankhon mein liye
aur keh rahi hai mujhey
keh teray waastey ab ki baar bhi
meray daaman mein sirf tanhaai hai!!!



**********************************



Guzar Jaata Hai Saara Saal Yun Toh,
Nahi Kat'ta Magar Tanha December !



**********************************


Teri Yaad, Tanhai, Khamoshi, Aur Behtay Aansu
Pehli Subha December ki kaya kaya Tohfay Laai hai!



**********************************


Kisi ko dekhoon to maathay pey mah o saal milain
kahin bikharti hui dhoop men sawaal milain 
aao khuch dair December ki dhoop men bethein
yeh fursatein hamein shayad naa aglay saal milein



**********************************

December laut aaya hai
tumhaaray laut aanay ki.
na'ee ummeed jaagi hai

abhi pichhlay baras tum nay
meray seenay pay sar rakh kar..
haya say munh chhupaaya tha..

Magar aprail aanay tak..
Tumhaari jheel aankhoon main..
Naya sapna samaaya tha..

Meray chhotay say aangan main...
Tumhain veh'shat si hoti thi..
Mujhay tum nay bataaya tha..

"Kisi ki qaid main rehna...
Mujhay acha naheen lagta..
Main ik aazaad panchhi hoon"

Suna hai phir say tanha ho..
Setambar k maheenay say..
Bohat khaamosh rehti ho..

Keh jis ko tum nay chaaha tha..
Wafa k naam sey us ko..
Bohat veh'shat si hoti thi..

"Woh ik aazaad panchhi tha..
Kisi ki qaid main rehna..
Usay acha na lagta tha..."

Suna hai mairay aangan ki..
Tumhain ab yaad aati hai...
Suna hai tum pa'shaymaan ho...

Chalo phir aisa kartay hain..
December ka maheena hai...
Naya aaghaaz kartay hain...

December laut aaya hai...
Suno ab laut aao tum....



**********************************


woh pagli phir sey
beetay mosam ko,
yaad krti hai

puraaNey cards parhti hai,
keh jis maiN us Ney likha tha,
MAiN LOTOON GA DECEMBER MEiN

Naye kaprey baNati hai,

woh saara ghar sajati hai,
DECEMBER k har aik diN ko,
woh giN giN ker bitati hai.

jooN hi 15 guzarti hai,

woh kuch kuch toot jati hai,

magar phir bhi,
puraNi albums ko khol ker,
maazi ko bulati hai.

Nahi maloom yeh us ko,
Keh beetey waqt ki khushiyaaN,
bohat takleef deti haiN!
mehz dil ko jalati haiN.

yooN hi diN beet jaatey haiN!
DECEMBER lot jata hai.

magar woh khush feham larki,
dobara sey caleNdar maiN,
DECEMBER k mahiNey k safhey ko
morr ker

phir sey
DECEMBER k sehar maiN doob jati hai!

keh akhir us Ney likha tha,

“MAiN LOTOON GA DECEMBER MAiN”



**********************************


DECEMBER




Sunehri Shaamein,
Thitharti Raatein,
Mehakti Coffee,
Woh Bheeni Khushboo,

Khamosh Kamra,
Aatish Daan Sulagta,
Mein Aur,
Teri Yaadon Ki Khushboo,

Haan Yehi DECEMBER Hai.



**********************************


Maanoos ajnabi


Maanoos Ajnabi
Ab k December men
Main nay bhi kuch khawab sajaaye hain
apni sard aankho'n men
par darr lagta hai
kahin yeh meray khawab
pighel na jaayen
Dhoop parnay per....!!



**********************************


Dekh December !
Ab mat aana
Dekh December !
Merey andar kitnay sehra phail chukay hain
Tanhai ki rait ney merey
Saaray darya paat diye hain
Ab main hoon
Aur merey banjar pan ki bojhal'ta hai
Dekh December !
Teri baraf shabo'n main
Teri bekhawab shabo'n main
Khuwab sweater kon bunay ga
Rooh k andar girti barfain kon chunay ga
Dekh december !
Apnay dukh ki baraf pehan kar
Dhoop Diyaro'n tak mat jana
Merey piyaro'n tak mat jana
Dekh december
Ab mat aana
Ab mat aana ...!



**********************************
Guzarta Hua Saal Jaisey Bhi Guzraa
Magar Saal Kay Aakhri Din Nihaayat Kathhin Hain
Suno...!!!
Naye Saal Ki Muskuraati Hui Subha
Yeh Bujhhta Hua Dil Dharakta To Hai
Muskuraata Nahi
December Mujhey Raas Aata Nahi..!!


**********************************


AB KAY DECEMBER MEN.........
MAIN NEY BHI KUCH KHAWAB
SAJAAEY HIAN
APPNI SARD AANKHON MAIN
PAR DAR LAGTA HAI
KAHIN YEH MERAY KHAWAB
PIGHAL NA JAAYEN
DHOOP PARRNAY PAR




**********************************

کچھ لمحے نومبر کے
ہم نے یوں گزارے ہیں
موسم اسکی یادوں کے
تصویر میں اتارے ہیں

کپکپاتے ہونٹوں سے
ڈگمگاتی دھڑکن سے
ہم نے اپنے خالق سے
بس دعا یہ مانگی ہے

اب کی بار دسمبر میں
جب بھی بادل اتریں تو
بس یہی تمنا ہے

نفرتوں کی بارش میں
دشمنوں کی سازش میں
بس اسی گزارش میں

زندگی کو جینے کا
اختیار مل جائے
اے مرے خدا سب کو
اپنا پیار مل جائے!!! 


**********************************

دسمبر آگیا ہے یارو۔۔۔!

اداسی میں کوئی پنچھی 
تمہیں لوری سنائے گا

کوئی پتہ شجر سے ٹوٹ کے
خود کو مٹائے گا

ہر اک بارش کا قطرہ
داستاں اپنی سنائے گا

تو ان لمحات میں
وہ درد پھر سے جاگ جائے گا

کوئی بچھڑا ہوا ساتھی
پھر سے یاد آئے گا

تو اک گمنام سی منزل 
تو اک گمنام سا رستہ 
تمہیں پھر سے رلائے گا

تو ان کمزور لمحوں میں
کوئی بے چین سا آنسو
تیری پلکوں کے سائے پر 
آکے رک سا جائے گا

تو پھر سر کو جھکا کر تم
اس آنسو کو بہا دینا

دسمبر لوٹ جائے گا۔۔۔۔

**********************************


اُسے کہنا
دسمبر لوٹ آیا ہے
ہوائیں سرد ہیں
اور وادیاں بھی دھند میں
گم ہیں
پہاڑوں نے برف کی
شال پھر سے اوڑھ رکھی ہے
سبھی رستے تمہاری
یاد میں پُرنم سے لگتے ہیں
جنہیں شرفِ مسافت تھا
وہ سارے کارڈ وہ پرفیوم وہ چھوٹی سی ڈائری
وہ ٹیرس 
وہ چائے
جو ہم نے ساتھ میں پی تھی 
تمہاری یاد دلاتے ہیں
تمہیں واپس بلاتے ہیں
اسے کہنا کہ دیکھو
یوں ستائوں نہ
دسمبر لوٹ آیا ہے
سنو
تم لوٹ آئو نا!


**********************************


دسمبر کی اُداس رت لوٹ آئی ہے
نمی آنکھوں میں لئے
اور کہہ رہی ہے مجھ سے
کہ
تیرے واسطے اب کی بار بھی
میرے دامن میں
صرف تنہائی ہے!!!


**********************************


تیری یادیں دسمبر کی شبوں جیسی
جو آتی ہیں تو جانا بھول جاتی ہیں


**********************************

ابھی ہجر کا قیام ہے اور دسمبر آن پہنچا ہے
یہ خبر شہر میں عام ہے دسمبر آن پہنچا ہے


آنگن میں اُتر آئی ہے مانوس سی خوشبو
یادوں کا اژدہام ہے ، دسمبر آن پہنچا ہے

خاموشیوں کا راج ہے ،خزاں تاک میں ہے
اداسی بھی بہت عام ہے ،دسمبر آن پہنچا ہے

تیرے آنے کی امید بھی ہو چکی معدوم
نئے برس کا اہتمام ہے ،دسمبر آن پہنچا ہے

خُنک رت میں تنہائی بھی چوکھٹ پہ کھڑی ہے
جاڑے کی اداس شام ہے ،دسمبر آن پہنچا ہے

تم آؤ تو مرے موسموں کی بھی تکمیل ہو جائے
نئے رُت تو سرِ بام ہے ، دسمبر آن پہنچا ہے


**********************************




دسمبر جب بھی آتا ہے
وہ پاگل پھر سے
بیتے موسموں کو یا د کرتی ہے

پرانے کارڈ پڑھتی ہے
کہ جس میں اس نے لکھا تھا
"میں لو ٹوں گا دسمبر میں"

نئےکپڑے پہنتی ہے
وہ سارا گھر سجاتی ہے
دسمبر کے ہر دن کو
وہ گن گن کر ِبتاتی ہے
جونہی 15گذرتی ہے 
وہ کچھ کچھ ٹوٹ جاتی ہے

مگر پھربھی
پرانے البم کھول کر 
ماضی کو بلاتی ہے

نہیں معلوم یہ اس کو
کہ بیتے وقت کی خوشیاں
بہت تکلیف دیتی ہیں
محض دل کو جلاتی ہیں

یونہی دن بیت جا تے ہیں
دسمبر لوٹ جا تا ہے
مگر وہ خوش فہم لڑکی 
دوبارہ سے کیلنڈر میں
دسمبر کے صفحے کو موڑ کر
پھر سے دسمبر کے سحرمیں ڈوب جاتی ہے

کہ آخر اس نے لکھا تھا
" میں لو ٹوں گا دسمبر میں"

**********************************




سنو دسمبر 
اسے پکارو
سنو دسمبر 
اسے ملادو
اسے بلادو

اب اس سے پہلے کہ
سال گذرے
اب اس سے پہلے کہ
جان نکلے

وہی ستارہ میری لکیروں میں
قید کردو
اس آخری شب کے
آخری پل 
کوئی بڑا اختتام کر دو
یہ زندگی ہی تمام کردو

سنودسمبر 
سنو دسمبر
اسے بلادو
اسے ملادو

**********************************



مجھے اک شخص اچھا لگتا ہے
اور اسے دسمبر
کاش میں دسمبر ہوتا


*********************************













قبل اس کے۔ ۔ ۔
دسمبر کی ہواؤں سے رگوں میں خون کی گردش ٹھہر جائے
جسم بے جان ہو جائے
تمہاری منتظر پلکیں جھپک جائیں
بسا جو خواب آنکھوں میں ہے وہ ارمان ہوجائے
برسوں کی ریاضت سے
جو دل کا گھر بنا ہے پھر سے وہ مکان ہو جائے
تمہارے نام کی تسبیح بھلادیں دھڑکنیں میری
یہ دل نادان ہو جائے
تیری چاہت کی خوشبو سے بسا آنگن جو دل کا ہے
وہ پھر ویران ہوجائے
قریب المرگ ہونے کا کوئی سامان ہوجائے
قبل اس کے۔ ۔ ۔
دسمبر کی یہ ننھی دھوپ کی کرنیں
شراروں کی طرح بن کر، میرا دامن جلا ڈالیں
بہت ممکن ہے
پھر دل بھی برف کی مانند پگھل جائے
ممکن پھر بھی یہ ہے جاناں۔ ۔ ۔
کہ تیری یاد بھی کہیں آہ بن کر نکل جائے
موسمِ دل بدل جائے ۔ ۔ ۔
یا پہلے کی طرح اب پھر دسمبر ہی نہ ڈھل جائے
!قبل اس کے۔ ۔ ۔
دسمبر اور ہم تیری راہوں میں بیٹھے تم کو یہ آواز دیتے ہیں
کہ تم ملنے چلے آؤ
دسمبر میں چلے آؤ


**********************************

Bay Qaraar Mausam Men
Yaad K Jharokon Sey
Phir Tumhi Sey Milnay Ki
Dil Men Kitni Khawahish Hai
Jo Udaas Rakhti hai
Aj Kal December Ki
Phir Udaas Shaamein Hain
In Ujaarr Aankhon Men
Zard Zard Raatein Hain
Barishon K Mausam Men
Toot Phoot Jati Hoon
Jab Bhi Yaad Aatay Ho
Khud Ko Bhool Jati Hoon



**********************************

دسمبر کی اُداس رُت لوٹ آئی ہے

نمی آنکھوں میں لئے

اور کہہ رہی ہے مجھ سے

کہ

تیرے واسطے اب کی بار بھی

میرے دامن میں

صرف تنہائی ہے ۔۔۔۔



**********************************




مجھ سے پوچھتے ہیں لوگ

کس لئیے دسمبر میں

یوں اداس رہتا ہوں

کوئی دکھ چھپاتا ہوں

یا کسی کے جانے کا

سوگ میں مناتا ہوں



آپ میرے البم کا

صفحہ صفحہ دیکھیں گے

آئیے دکھاتا ہوں

ضبط آزماتا ہوں


سردیوں کے موسم میں

گرم گرم کافی کے

چھوٹے چھوٹے سپ لے کر

کوئی مجھ سے کہتا تھا

ہائے اس دسمبر میں

کس بلا کی سردی ہے

کتنا ٹھنڈا موسم ہے

کتنی یخ ہوائیں ہیں


آپ بھی عجب شے ہیں

اتنی سخت سردی میں

ہو کے اتنے بے پروا

جینز اور ٹی شرٹ میں

کس مزے سے پھرتے ہیں


شال بھی مجھے دے دی

کوٹ بھی اڑھا ڈالا


پھر بھی کانپتی ہوں میں


چلئیے اب شرافت سے

پہن لیجئے سویٹر

آپ کے لئیے میں نے

بن لیا تھا دو دن میں


کتنا مان تھا اس کو

میری اپنی چاہت پر


اب بھی ہر دسمبر میں

اسکی یاد آتی ہے


گرم گرم کافی کے

چھوٹے چھوٹے سپ لے کر

ہاتھ گال پر رکھے

حیرت و تعجب سے

مجھ کو دیکھتی رہتی

اور مسکرا دیتی


شوخ و سرد لہجے میں

مجھ سے پھر وہ کہتی تھی

اتنے سرد موسم میں

آدھی سلیوز کی ٹی شرٹ!ٓ

اس قدر نہ اترائیں

سیدھے سیدھے گھر جائیں

اب کی بار جب آئیں

براؤن ٹراؤزر کے ساتھ

بلیک ہائی نیک پہنیں

کوٹ کوئی ڈھنگ سا لے لیں

ورنہ میں قسم سے پھر ایسے روٹھ جاؤں گی

سامنے نہ آؤں گی

ڈھونٹتے ہی رہئیے گا

پاس بیٹھے ابّو کے

پالٹیکس پر کیجئے گرم گرم ڈسکشن

کافی لے کے کمرے مِیں مَیں تو پھر نہ آؤں گی

خالی خالی نظروں سے آپ ان خلاؤں میں

یوں ہی تکتے رہئیے گا

اور بے خیالی پر ڈانٹ کھاتے رہئیے گا


کتنی مختلف تھی وہ

سب سے منفرد تھی وہ

اپنی ایک لغزش سے

میں نے کھو دیا اسکو


اب بھی ہر دسمبر میں

اسکی یاد آتی ہے



**********************************


Yeh jaatay baras k aakhri lamhay
Guzarti saa'aton k dhundelkay
Aur
Palkon pey yaadon ke sitaaray
Pal bhar ko yun laga jaisay
Unhi yaadon unhi kahaaniyon k beech
Wakt tham sa gaya ho jaisay
Woh jo chiraagh jala thaa roshni k liye
Madham ho gaya ho jaisay
Aur jo dariya muhabbaton ka tha
Ab utar gaya ho jaisay
Aakhri shaam ka doobta suraj
Kuch keh raha ho jaisay
Un chaahaton ka suraj bhi
Doob raha ho jaisay

Magar ab dil men yaadon k siwa
Aur aankh men aansu'on k siwa
Aur bacha hi kaya hai
Jo ab aakhri saa'aton k naam karoon
Woh sab chaahatain aur sab muhabbatain
Aur un muhabbaton ki saari shiddattain
Sab kuch tu ussi k naam kar diya thaa

Haan, magar ab tak yaad hai
Us wakt bhi suraj yunhi doob raha thaa
Aur... woh bhi
December ki aakhri sard shaam thee
Jab us ney dheeray sey kaha thaa
"Naya Saal Mubarak"... !!!



**********************************

December laut aaya hay 


Gaey Din ..........
gaey pal lautay nahi 
magar mosam laut aatay hain 
wohi mosam!
jo apni rafaqaton k ameen rahay
saaray lamhay jo dil ko azbar thay 
suno!
wo mosam laut aaey hain
december laut aaya hay 
meri khirhki mai thandhi yakh-basta hawa-ian
tumhari hidat chura k laaee hain
khunak mosam mujh say baaten karta hay 
tumharay lehjay mai!
bolta hay 
wohi miithi si sargoshi 
wohi jadu bhara lehja
sochoon to pass ho kitnay 
daikhoon jo tum kahin b nahi 
december laut aaya hay magar ab k 
tumharay ehsaas k siwa  
kuch b nahi 
kuch b nahi



**********************************


aah december laut aaya hai
yakh basta thhithharti hui taweel raatein
yaado'N ka aanchal aurh keR
meray dil kay taaqchon meN
aashaao'n kay deep jalaati hein
meray mann men bajti ghantiyoun ney
barff ki chaadar aurhi hai
roo'pehlay sey khawabon per
koher ka perda chhaya hai
hijar ki lambi raato'n may
chhat per tanha teheltey huay
shaal ka kona dhalak gaya hai
balcony kay hairaan chaand per
meray aansu''n ka saaya hai
aah december laut aaya hai



**********************************


Kisi sar sabz vaadi may
Kisi khush rang jugnoo ko
Kabhi urtay huay dekhoon
"Mujhay tum yaad aaty ho"
Khyaalon may, swaalon may
Mohabbat k hawaalon may
Tumhain aawaz deti hoon
Tumhain waapis bulati hoon
Yun khud ko aazmati hoon
Koi jab nazm likhti hoon
Usay unwaan deti hoon
"Mujhay tum yaad aaty ho"
Kabhi baahir nikalti hoon
Kisi rastay pay chalti hoon
Kahin 2 doston ko khilkhilaty,
Muskuraty dekh leti hoon
kisi ko gungunaty dekh leti hoon
To phir......................
Meri rarafaqat k awwal-o-aakhir
"Mujhay tum yaad aatay ho"
December may jo mosam ka maza lenay ko g chahay
Koi pyaari saheli phone par bolay
barra hi mast mosam hay
chalo baahir nikltay hain
Chalo boondon sy khelain gay
Chalo barish may bheegain gay
To us lamhay
Tumhari yaad holay say
Koi sargoshi karti hay
Yeh palkain bheeg jaati hain
2 aansoo toot girtay hain
Main aankhon ko jhukaati hoon
Bzaahir muskurati hoon
Faqaot itna hi kehti hoon
Mujhay kitna sataaty ho
"Mujhay tum yaad aatay ho"???



**********************************


Gul-e-zabaan pay wahee sardiyon ka mosam hay
tumhari 'haan' pay wahee sardiyon ka mosam hay

darkhat par khabhi jo chhuriyon say daala tha
us aik nishaan pay wahee sardiyon ka mosam hay

yeh aik hum keh nayee boliyan sada bolein
teri zabaan pay wahee sardiyon ka mosam hay

sulag rahi hain dahan mayn qabayein lafzon ki
magar zabaan pay wahee sardiyon ka mosam hay

tumharay aanay pay suraj kay haath chamkain gay
meray makaa'n pay wahee sardion ka mosam hay

her aik simt pighlnay lagay hayn sannatay
teray bayaan pay wahee sardiyon ka mosam hay

jahaan jahaan teri khusbo kay rang bikhray hayn
wahan wahan pay wahee sardiyon ka mosam hay

teri judaee kay pal say houaa hai ishq kanoot
keh is jahaan pay wahee sardiyon ka mosam hay

wo 'haan' karay gee baharoon men, uska wadaa tha
us aik 'haan' pay wahee sardiyon ka mosam hay

woh mujh ko sonp gaya furkatein december mayn
darkhat-e-jaan pay wahee sardiyon ka mosam hay

hamaray lab to duaain jalayay rakhtay hain
per asman pay wahee sardion ka mosam hay



**********************************


سنو،

دسمبر کی دھندلائی

اس شام کو دیکھو،

جاڑے کے اس موسم میں

درختوں سے گرتے پتوں

...کی طرح،

اپنے دل سے ان بیتے ماہ و سال

کی یادیں نہ بکھرنے دینا۔۔۔

تم چاہے وفا نہ نبھانا مگر

حسین یادوں کا بھرم رکھنا،

سرخ گلاب کی طرح

ان یادوں کو بھی سجائےرکھنا۔

میں ھمیشہ دسمبر کی آخری شام کو

گزارتے ہوئے، سرخ گلاب کو

ھاتھوں میں لیے،

تم سے وابستہ یادوں کو

دل میں دھراتے ہوئے

آنے والے سال کو

پھر سرخ گلاب کے نام کر دیا کروں گا۔۔۔۔



**********************************
Suna he diary Likhtey ho tum ?

kesa bhi mausam ho
tumharey haath mai

Qalam rehta hai

apney dil ka saara bojh haLka kertey ho

kaaghaz0n sey baatain kertey ho

Lafz0n ki duniyaa banaatey ho

suna hey diary Likhtey ho tum ?

tumhari zindagi ka her Lamha tumhari diariy0n mai chhupa hai

w0h sab tum ney likha hai,
jo tum ney jiya hai

diariy0n ko sajaya hai,
unhain banaya hai

Suna hai boht chaah sey rakhtey h0 ?

Suna hai diary Likhtey ho tum ?

mujhey bus aik baat puuchni hai

kabhi Lafz December bhi Likha hai tum ney !

December ki sard taweel raat0n mai

kabhi to likha hoga December ko. . . .!!!

kabhi nikLa hoga tumharey QaLam sey bhi

December Dard ?

aur Lafz0n mai dhaLa hoga

w0h Dard sard. . . . !

itni diariyaan likh chukey ho tum

mujhey bus yeh batao

December jab bhi likha hey tum ney. . . . .

Tumharey aansu bhi behtey hain ?

tumhari zard aankh0n sey bhi

sard December behta he ?

mujhey yeh batao

w0h aansu kesey r0kte hain ?

suna hai…..!!
Diary Likhte ho tum …. ?




**********************************



‫قبل اس کے۔ ۔ ۔
دسمبر کی ہواؤں سے رگوں میں خون کی گردش ٹھہر جائے
جسم بے جان ہو جائے
تمہاری منتظر پلکیں جھپک جائیں
بسا جو خواب آنکھوں میں ہے وہ ارمان ہوجائے
...برسوں کی ریاضت سے
جو دل کا گھر بنا ہے پھر سے وہ مکان ہو جائے
تمہارے نام کی تسبیح بھلادیں دھڑکنیں میری
یہ دل نادان ہو جائے
تیری چاہت کی خوشبو سے بسا آنگن جو دل کا ہے
وہ پھر ویران ہوجائے
قریب المرگ ہونے کا کوئی سامان ہوجائے
قبل اس کے۔ ۔ ۔
دسمبر کی یہ ننھی دھوپ کی کرنیں
شراروں کی طرح بن کر، میرا دامن جلا ڈالیں
بہت ممکن ہے
پھر دل بھی برف کی مانند پگھل جائے
ممکن پھر بھی یہ ہے جاناں۔ ۔ ۔
کہ تیری یاد بھی کہیں آہ بن کر نکل جائے
موسمِ دل بدل جائے ۔ ۔ ۔
یا پہلے کی طرح اب پھر دسمبر ہی نہ ڈھل جائے
!قبل اس کے۔ ۔ ۔
دسمبر اور ہم تیری راہوں میں بیٹھے تم کو یہ آواز دیتے ہیں
کہ تم ملنے چلے آؤ
دسمبر میں چلے آؤ‬


**********************************




Usay kehna kitabon men rakhey sookhey huwey kuch phool,
Uskay laut aanay ka yaqin ab tak dilatay hain,
Usay kehna keh uski jheel si aankhein kisi manzar pey cha jayen,
To sab manzar yunhi phir bheeg jatay hain,
Usay kehna keh thandi baraf par koi kisi k sath chalta hai,
To qadmon k nishaan Phir sey usi k laut anay Ka yaqin dilatay hain,
Usay kehna keh uski aankho ka wo aansu,
Sitarey ki tarah ab bhi humein shab bhar jagata hai,
Usay kehna keh barish khirkiyon pey uskay aansu rangti hai,
Usi ka nam likhti hai,
Usay hi gungunati hai,
Usay kehna keh khushboo,chaandni,taarey,saba,rastey,ghata,kaajal,
Mohabbat,chaandni,shabnam,hawayen,raat,din,baadal.. Sabhi naraaz hain humsey!
Usay kehna judai k darakhton par jo sookhi tehniyan hain,
Wo saari baraf ki chaadar men kab ki dhakh chuki hain,
Aur un shaakhon pey yaadon k,
Jo pattey thay sunehrey hogaye hain,
Usay kehna december sogaya hai,
Aur wo bheega january phir laut aaya hai,
Usay kehna keh laut aao,
Ab december sogaya hai...

**********************************
Dekh December !
Ab mat aana
Dekh December !
Merey andar kitnay sehra phail chukay hain
Tanhai ki rait ney merey
Saaray darya paat diye hain
Ab main hoon
Aur merey banjhar pan ki bojhal tanhai
Dekh December !
Teri baraf shabo'n men
Teri be'khawab shabo'n men
Khawab sweater kon bunay ga
Rooh k andar girti barfain kon chunay ga
Dekh december !
Apnay dukh ki baraf pehen kar
Dhoop Diyaaro'n tak mat jana
Merey piyaro'n tak mat jana
Dekh december
Ab mat aana
Ab mat aana ...!

**********************************

Haan mujhay yaad haiii
Bachpan ka vo december
Thithertii dhaltii shaamoN men
Angan ki devaar sey sarktii dhoop
Jaltay huye koyaloN ki mehak
Or meray phatay huye gaalOn par
Lakeerain banatay,vo jamay huye aansoo...
Aasman pr jamtii,vo baadloN ki dhund dekh kar
Ammi ka darvazay par kharay ho kar pukarana
Or ham sabka matti bharay khanchay shambaal kar
Apnay apnay gharon ko bhaagna............
Raat bar chhup chhup kar aasmaan ko dekh kar Bbarf girnay ki duayen karna
Or phir subha phut.tay hi sehan men girtii baraf k gaalon k saath
Khud ko bhi gaaloN k sath urtay mehsoos karna


Phir tum aa gyeen
Or bachpan ka december beet gaya
Tab pehron ki saraktii thandii dhoop talay
Main tumharii aik jhalak dekhnay k liye
Aasmaan sey girtii baraf ki chandnii
Apnay vajood par sajata raha
Zameen par bichii iiss chadar par merey qadmon ka har nishhaN
Tumharay ghar ki dehleez tak hi jata raha 


Phir vo december bhi beet gaya
Or dekhoo.....
Main ab bhi galii ki usi nukarr par kharra hoon
Thithartii dhaltii shaam bhi haii par sunehrii dhoop nahii saraktii
Waqt jaisey tham sa gya hai
Waqt k sitaray merey baalon men chaandni bikhair to rahay hain
Per,inhain bhigo nahi paatay
Yeh kaisi berfeeli shaam hai
Jis ki sardi merey aansoo jama nahii patii
Jaltay koelay ka dhuaaN aankh to jalata hai
Per iss men vo mehak nahii haii or dehko merey ghar ka darwaza....
Patt kholay khara to hai laikin
Ammi ki daantt na janay kahan khoo gayee???
Tumharay ghar ki taraf jatay sab hi rastay
Iss qadar sunsaan kyun parray hain
Iss barfeeli shaam men
Orr
Meray bachpan k december men
Kitna farq haii........????




**********************************



Abhi Lamhey Nahin Bikhrey
Abhi Mosam Nahi Bichrey

Merey Kamray Ki Thandak Men
Abhi Kuch Dhoop Baqi Hay

Meri Diary K Kuch Safhay
Abhi Kuch Keh Nahin Paye

Merey Aangan K Sab Poday
Abhi Bhi Gungunatey Hain

Merey Be-Jaan Honton Per
Abhi Muskaan Waisi Hay

Kisi K Laot Aanay Ka
Abhi Imkaan Baqi Hay

December Baat Botoon Main,
Agar Tum Maan Jao

December
Thehar Jao….!!!
Thehar Jao…



**********************************
کسی سر سبز وادی میں
کسی خوش رنگ جگنو کو
کبھی اُڑتے ہوئے دیکھوں 
“مجھے تم یاد آتے ہو“
خوابوں میں، سوالوں میں
محبّت کے حوالوں میں
تمہیں آواز دیتی ہوں
تمہیں واپس بلاتی ہوں 
یوں خود کو آزماتی ہوں
کوئی جب نظم لکھتی ہوں
اُسے عنوان دیتی ہوں
“مجھے تم یاد آتے ہو“
کبھی باہر نکلتی ہوں
کسی رستے پہ چلتی ہوں
کہیں دو دوستوں کو کھلکھلاتے،
مسکراتے دیکھہ لیتی ہوں 
کسی کو گنگناتے دیکھہ لیتی ہوں
تو پھر۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔
میری رفاقت کے اوّل و آخر 
“مجھے تم یاد آتے ہو“
دسمبر میں جو موسم کا مزہ لینے کو جی چاہے
کوئی پیاری سہیلی فون پر بولے
بڑا ہی مست موسم ہے
چلو باہر نکلتے ہیں
چلو بوندوں سے کھیلیں گے
چلو بارش میں بھیگیں گے
تو اُس لمحے
تمہاری یاد ہولے سے 
کوئی سرگوشی کرتی ہے
یہ پلکیں بھیگ جاتی ہیں
دو آنسو ٹوٹ گرتے ہیں
میں آنکھوں کو جھکاتی ہوں
بظاہر مسکراتی ہوں
فقط اتنا ہی کہتی ہوں
مجھے کتنا ستاتے ہو
“مجھے تم یاد آتے ہو



**********************************
سنو دسمبر۔۔۔۔
سنو دسنبر اُسے پکارو
سنو دسمبر اُسے بلا دو
اب اس سے پہلے کہ سال گزرے 
اب اس سے پہلے کہ جان نکلے
وہی ستارہ میری لکیروں میں قید کر دو
اس آخری شب کے آخری پل کوئی بڑا اختتام کر دو
یا زندگی بھی تمام کر دو
!سنو دسمبر اُسے بلا دو۔۔۔۔۔۔



**********************************


Ussay To Mitt He Jaana Tha...
December K Hasee'n Din Thaay
Murree Ki Yukh-Basta Fizaao'n Men
Hamaray Chaar Haatho'n Nay
Mujasma Ek Banaya Tha
Kaha Tha Aik Doojay Ko
Nishaani Piyaar Ki Apni
Barri Khoobsoorat Hai
Mujhey Ab Yaad Aata Hai
Mujasma Beraf Ka Tha Wo
Ussay Aakhir Pighalna Tha
Ussay To Mitt He Jaana Tha



**********************************


Suno December
Usay Pukaro
Usay Bula Do
Usay Mila Do
Ab Is Sey Pehlay Keh Saal Guzray
Wohi Lakeerein, Wohi Sitaray
Meri Hatheli Men Qaid Kar Do
Yeh Aakhiri Shab K Aakhiri Pal
Koi Barra Ikhtataam Kar Do
Yeh Zindagi Bhi Tamaam Kar Do
Suno December
Usay Puakaro
Usay Mila Do.



**********************************



Be-Qaraar Mosam Men Yaad K Jharokon Sey,
Phir Tumhi Sey Milney Ki,
Dil Men Kitni Khwahish Hai,
Aaj Kal December Ki Phir Udas Shaamen Hain,
In Ujaarr Aankhon Men
Zard Zard Raatain Hain,
Is Tarah K Mosam Men
Toot Phoot Jata Hoon,
Jab B Yad Aatay Ho
Khud Ko Bhool Jata Hoon.

**********************************

December Mujh Sey Bola Tha
Ab K Jab Main Aaoon Ga
Tujhey Phir Sey Pukaaroon Ga
Usay Main Saath Laaoon Ga
Jo Tujh Ko Bhool Betha Hai
Keh” Jis K Hijr Ka Laawa
Tera Tann Mann Jalata Hai
Keh” Jis Ki Yaad Ki Jheelon Men
Aksar Doob Jatay Ho
Keh” Jis K Wastay Baithay
Yahan Tum Geet Gaatay Ho !

December Mujh Sey Bola Tha
Suno Tum Bhool Na Jana
Jo Yadain Us Ney Sonpi Hain
Jo Lamhay Us Ney Bakhshay Hain
Chahay Yeh Zakhm Saaray
Rooh Ka Naasoor Ban Jayein
Inhain Bharnay Nahi Dena
Inhain Marnay Nahi Dena
Keh” In Zakhmon Pe yMarham
Aik Din Us Ney He Rakhna Hai !

December AA Geya Lekin
December Woh Nahi Aaya
Keh” Jis Ney Mujh Sey Bola Tha
Usay Woh Saath Laaye Ga
Mujhey Phir Sey Pukaray Ga !

December ! Ghor Sey Sun Lo
Usay Bhi Tum Bata Dena
Yeh Saansain Machli Bethi Hain
Ab Rukhsat Pey Janay Ko
Yeh Aankhain Bhi Barasti Hain
Usay Wapis Bulanay Ko
Magar Yeh Jaantay Hain Hum
Hamain Wo Bhool Betha Hai !

December Aaye Jo Ab Ho
To Itna Yaad Rakh Lena
December Aur He Tha Woh
Keh” Jis Ney Mujh Sey Bola Tha
Mujhey Umeedain Bakhshi Thiin
Mujhey Jeena Sikhaya Tha
Buhat Masoom Thay Hum To
Jo Itna Bhi Nahi Samjhay
December To December Hai
Sab He Ko Rulata Hai
Hamesha Dair Karta Hai
Sanam K Taur Rakhta Hai
Sada Aakhir Men Aata Hai !

December Us Sey Keih Dena
Mujhey Jitna Bhi Tarpa Ley
Keh” Tujh Sey Haar Maani Hai

Ab Hum Ney Yeh He Thaani Hai
Yoon Us Sey Door Jana Hai
Kabhi Wapis Na Aana Hai !

Chalo Chhoro Ab Jaanay Do
December Kuchh Bhi Na Kehna
Koi Shikwa Nahi Karna
Keh” Jis Sey Yeh Gumaan Guzray
Usay Hum Yaad Kartay Hain
Usi Ki Raah Taktay Hain
Keh” Apni Zindgani Ka
Es Sari Kahani Ka
Yeh Manzar Akkhri Ho Ga !

DECEMBER AKHRI HO GA
DECEMBER AKHRI HO GA….. !


**********************************



Teri yaade’n December ki shabo’n jaisi,

Jo aati hain to janaa bhool jaati hain..…


**********************************

tumhen yaad hay janaa!
guzashta saal december men
issi tarah ka mosam tha
jab tum ney kaha tha mujh sey
chalo hum naam badalty hein
koi achay sey farzi naam
rakho tum apnay or meray
haan uss waqt tumhari baat
meyn ney un-sunni kar di
mager jab sey lagi thoker
to ab kuch naam zehan men aaye
aaj issi December men
wo farzi naam rakhay hein
mera naam aaj sey "TANHA"
or
tumhara naam "MOSAM" hay
keh TANHA anna prast thehra
or mosam BEWAFA janaa




**********************************
دسمبر اب کے آؤ تو

تم اُ س شہرِ تمنا کی خبر لانا
کہ جس میں جگنوؤں کی کہکشائیں جھلملاتی ہیں
جہاں تتلی کے رنگوں سے فضائیں مسکراتی ہیں
وہاں چاروں طرف خوشبو وفا کی ہے
اور اُس کو جو بھی پوروں سے
نظر سے چھو گیا پل بھر
مہک اُٹھا
دسمبر اب کے آؤ تو
تم اُ س شہرِ تمنا کی خبر لانا
جہاں پر ریت کے ذرے ستارے ہیں
گُل و بلبل ، مہ و انجم ، وفا کے استعارے ہیں
جہاں دل وہ سمندر ہے، کئی جس کے کنارے ہیں
جہاں قسمت کی دیوی مٹھیوں میں جگمگاتی ہے
جہاں دھڑکن کی لے پر بے خودی نغمے سُناتی ہے
دسمبر! ہم سے نہ پوچھو ہمارے شہر کی بابت
یہاں آنکھوں میں گزرے کارواں کی گرد ٹہری ہے
لبوں پر العطش ہے، بطن میں فاقے پنپتے ہیں
محبّت برف جیسی ہے یہاں
اور دھوپ کے کھیتوں میں اُگتی ہے
یہاں جب صبح آتی ہے تو
شب کےسارے سپنے
راکھہ کے اک ڈھیر کی صورت میں ڈھلتے ہیں
یہاں جذبوں کی ٹوٹی کرچیاں آنکھوں میں چُبھتی ہیں


**********************************


قبل اس کے۔ ۔ ۔

دسمبر کی ہواؤں سے رگوں میں خون کی گردش ٹھہر جائے
جسم بے جان ہو جائے
تمہاری منتظر پلکیں جھپک جائیں
بسا جو خواب آنکھوں میں ہے وہ ارمان ہوجائے
...برسوں کی ریاضت سے
جو دل کا گھر بنا ہے پھر سے وہ مکان ہو جائے
تمہارے نام کی تسبیح بھلادیں دھڑکنیں میری
یہ دل نادان ہو جائے
تیری چاہت کی خوشبو سے بسا آنگن جو دل کا ہے
وہ پھر ویران ہوجائے
قریب المرگ ہونے کا کوئی سامان ہوجائے
قبل اس کے۔ ۔ ۔
دسمبر کی یہ ننھی دھوپ کی کرنیں
شراروں کی طرح بن کر، میرا دامن جلا ڈالیں
بہت ممکن ہے
پھر دل بھی برف کی مانند پگھل جائے
ممکن پھر بھی یہ ہے جاناں۔ ۔ ۔
کہ تیری یاد بھی کہیں آہ بن کر نکل جائے
موسمِ دل بدل جائے ۔ ۔ ۔
یا پہلے کی طرح اب پھر دسمبر ہی نہ ڈھل جائے
!قبل اس کے۔ ۔ ۔
دسمبر اور ہم تیری راہوں میں بیٹھے تم کو یہ آواز دیتے ہیں
کہ تم ملنے چلے آؤ
دسمبر میں چلے آؤ
 



*********************************




*********************************




*********************************

مجھے دسمبر سے گلہ نہیں ہے

  مجھے دسمبر کی یخ بستہ راتوں
شب ہجر کے سلگتے جذبوں
صبح کے ہونے تک کٹتے لمحوں
اور جان لیوا ساعتوں سے گلہ نہیں ہے

وہ رت جگوں سے نڈھال آنکھیں
جو تیرے رستے میں یوں جمی تھیں
کہ جیسے تشنہ لبی کو آکر تمہی ہی جاناں قرار دو گے
تمہاری فرصت تو قیمتی ہے
بس کچھ ہی لمحے خیرات دو گے

مجھے دسمبر سے کوئی گلہ نہیں
مجھے تو شکوہ ہے فروری سے

کہ جب خزاں رسیدہ شجر بھی
حیات نو پر مسکرا رہے تھے
بہار پودوں کے زخمی سینوں پر
گلوں کی چادر بچھا رہی تھی
کہ شوخ بلبل ہوا کے جھونکوں پہ
سریلے نغمے سنا رہی تھی

کیا وہ رت تھی عداوتوں کی؟
نہیں مگر فقط چاہتوں کی
زمانوں سے بچھڑے بھی مل رہے تھے
حسین جملوں کا تبادلہ تھا
ہر اک لب پر خوشی سجی تھی
دلوں کا دل سے معاملہ تھا

میں حسب سابق
تمہارے رستے میں اپنی پلکیں
بچھائے کھڑا تھا
ارادے پختہ، عزم اٹل تھا
میں آج سب کچھ ہی بول دونگا
زباں پہ نہ آ سکا جو
تمہارے قدموں میں رول دونگا
بس تمہی کو ہی چاہتا ہوں
تم دیکھ لینا ، میں بول دونگا

مگر تمہاری پہلی جھلک سے
یہ دل کی دھڑکن الجھ گئی تھی
نبض کی رفتار بڑھ گئی تھی
لبوں پہ خشکی سی چھا گئی تھی
میں کچھ بھی نہ کہہ سکا پھر

تمہاری آنکھوں سے ٹپکتے موتی
بتا رہے تھے
میں ایک بار پھر لیٹ ہو چکا تھا
میں اپنے اندر ہی مر چکا تھا

مجھے تو لوٹا ہے فروری نے
مجھے دسمبر سے گلہ نہیں ہے




*********************************


Muhabbat k december men
Achanak jesay tapta june aaya hai
Tumhara khat nahi aaya
Na hi koi phone aaya hai
To kaya tum kho gaee, ajnabi chehron k jungle men?
Hamsafar mil gaya koi, kisi manzil, kisi pal men?
Ya muhabat k sunehrey phool,
Chupkey sey kisi ney baandh daaley aap k aanchal men?
Yaka-yak morr koi aa gaya chahat ki manzil men?
Khayal-e-waada-e-barbad bhi tum ko nahi aaya?
To kaya !
Main yaad bhi tum ko nahi aaya ?

*********************************


Aakhri Lamhay ..

Yeh jaatay baras k aakhri lamhay

Guzarti saa'aton k dhundelkay

Aur
Palkon pey yadon k sitaaray
Pal bhar ko yuun laga jaisay
Unhi yaadon unhi kahaaniyo'n k beech
Waqt tham sa gaya ho jaisay
Woh jo chiraagh jala thaa roshni k liye
Madham ho gaya ho jaisay
Aur jo darya muhabbato'n ka tha
Ab utar gaya ho jaisay
Aakhri shaam ka doobta suraj
Kuch keh raha ho jaisay
Un chaahaton ka suraj bhi
Doob raha ho jaisay
Magar ab dil men yaadon k siwa
Aur aankh men aansu'on k siwa
Aur bacha hi kaya hai
Jo ab aakhri saa'aton k naam karoo'n
Woh sab chaahatai'n aur sab muhabbatai'n
Aur un muhabbato'n ki saari shiddattai'n
Sab kuch to ussi k naam kar diya thaa
Haan, magar ab tak yaad hai
Us wakt bhi suraj yun hi doob raha thaa
Aur... woh bhi
December ki aakhri sard shaam thee
Jab us ney dheeray sey yeh kaha thaa
"Naya Saal Mubarak"... !!


*******************************

No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets