Short Poems









Bichharnay ki aziyat


Bicharnay ki aziyat ko ager tum janana chaho......
To kuch pal ko,
Zara apni yeh saans rok ker dekho,
Tumhen mehsoos yeh ho ga keh,
Bicharrna........
Moat jesa hai...!!!




~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~


Rishta...


Tera mera rishta kesa
Is ko suljhaatey suljhaatey
Apnay dil ki deewarein zakhmi ker betha huun
Rishta shayed sulajh na paaye
Lekin is ko suljhaanay ki dhun mein
Janaa'n...!!!
Saaray khawab bhula betha huun.....
Apna aap ganwa betha huun...!!!




~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~




Talaash ...


Mujhay raayigaaN na talaash kar
MaiN safar maiN tha
MaiN safar maiN hooN
Kabhii noor-e-harf ki raah maiN
Meray khush'shanaas main aaooN ga
Mujhay doosroN sey talab na kar
Mujhay khud sey maaNg key dekhna
Main be'rang aks-e-gohar'numaa
Kaff-e-iltamaas maiN aaooN ga
Mujhay ab tu shaoq sey bhool ja
Yahi naaz kam to nahii keh maiN
Terii chaahaton ki kitaab kay
Kisi Iqtabaas maiN aaooN ga




~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~


Wo shakhs......


aik jumlay men kahoon?
woh shakhs meray liye kaya hai!
dua hai!!
wo shakhs...
meray liye woh dua hai
keh jis kay heelay say main ney
sab kuch mangna seekha hai!!!




~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~




milan ki dua....


Dua kay liye haath jab bhi uthaaye
tamana'on ki bheer mein sab sey aagey
wo hi aik chehra
nigaahon men aata hai
main bhool jata hoon
kaya maangna tha
bicharnay kay dukh mein kami ya
milan ki dua....




~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~




Mohabat ka Taqaza


Jo ho skay to Bhula dena
Ranjashen Dil ki


Keh Mohabat ka Taqaza hai
Dar-Guzar karna


Teray Tarz-e-Taghaful sey kya Gila
Hamain hee nahi aata Dilon men
Ghar karna...!!!






~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~


YEHI ZINDAGI HAY APNI......


Kabhi Un ka Naam Lena
Kabhi Un Ki Baat Kerna
Mera Zauq Un Ki Chahat
Mera Shauq Un Pey Marna
Kabhi Chaltey Chaltey Thamna
Aur Tham k Beth Jana
Kabhi Larkhara k Girna
Aur Gir K Phir Sambhalna
Kabhi Raat Raat Rona
Kabhi Din Charhey Sisakna
Kabhi Darya Darya Rehna
Kabhi Boondh Ko Tarasna
Hamesha Koi Wasta Hay Apna
YEHI ZINDAGI HAY APNI
YEHI RASTA HAY APNA ...!!!






~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~




Tumhari khushboo...!


khawab aur khushbo
dono he azad ro hain
dono qaid nahi ho saktey
Merey khawab
Tumhari khushbo...!






~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~






Teri Yaad...


Raat ka pichla pehar hai
maatmi mabloos oarrhay
dard ki in wadiyon sey
washaton kay raastey sey
lurkharati
dagmagati
baal kholay
bain karti
chandni ko sath ley kar
meri janib chal pari hai
aa rahi hai
Teri Yaad...






~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~




Mujhey Khushboo say dar lagnay laga hai


Dua karna
Meray haq men Dua karna
Bichartey waqt us nay aik hi fiqra kaha tha
Par uss ko kaya maloom
Meray harf say taseer kab ki uth chuki hai
Dua ka Phool meray lab pay khiltey hi
Achanak Toot jata hai..
Mein kis khushboo ko uss kay haath par baandhoon
Mujhey Khushboo say dar lagnay laga hai.






~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~






TUM

Tum Say
Kaya Ehad Ustawaar Karen
Tum Hawa Ka Mizaj Rakhtay Ho
Aur Hawa
Kis Kay Haath Aaee Hai...






~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~






Dua-e-neem shab...


Sada-e-aarzu
Wisaal-e-yaar kay
Khayal-o-Khwab main
Jo ho gayi magan
To lafz kho gaye
Dua-e-neem shab
Adhoori reh gayi
Jo baat thi buhat
Zaroori, reh gayi








~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~




aaghaz-e-judai hai keh andaz-e-mohabbat 






Tumhen jo besabab mujh say khafa honay ki aadat hai,


Yeh aaghaz-e-judai hai keh andaz-e-mohabbat hai,


Wafa kay rung mai dekho jafa achhi nahi hoti,


Kisi say pyar mai itni ana achi nahi hoti,


Faqt kehnay ki baatein hain,




nibhata kon hai kisko?


Chalo ab daikh letay hain,


Manata kon hai kis ko?






~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~


kisi waaday ki Aahat


Dehleez-e-sama’aT pey kisi waaday ki Aahat
Utray keh na Utray
Aey Ranj bharii Shaam
dukhtay huey diL paR
koi Aahista say Aa kaR
ik Harf-e-TassaLi to rakhay phooL ki Maanind…!


~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~




Abi Na Jao Chorr Ker...


Abi Na Jaao Chhor Ker,
Keh Dil Abhi Bhara Nahi,
Abhi Abhi To Aaye Ho,
Bahaar Ban K Chhaye Ho,
Hawa Zara Mehak To Ley,
Nazar Zara Sambhal To Ley,
Main Thori Dair ji To Loon,
Nashay K Gh0ont Pi To Loon,
Abi To Kuch Kaha Nahi,
Abhi To Kuch Suna Nahi,


~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~


Kabhee tum mujhko bhula na daina


rafaqaton ki haseen rut man,
muhabbaton k gulab saray
wafa ki dori say bandh rakhna ,
keh raston men bikher na jayen
keh aik rastay k do musafir,
khayal rakhna bicher na jayen
yeh jhilmilatay say chand taray,
yeh muskuratay say phool saray
Neelgoun say yeh rang.e.fitrat,
shafaq ki lali subha ka aanchal
gulabi moasam yeh urtay badal,
gawah hen meri muhabbaton k
faqat hay itna hee tum say kehna,
mujhay wafa ki saza na daina
k yad rakhna hamesha mujh ko,
kabhee tum mujhko bhula na daina




~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~


Agar wo pyar kar leta...


Mera daman pakar leta
To
Jeevan men faqat us sey
Muhabbat farz ho jati..
Muhabbat qarz ho jati..
Magar
Acha kiya usney
Mujhey samjha k chal nikla
Mujhey thukra k chal nikla
Bht nadan sa hai wo
Abhi anjan sa hai wo
Kahan maloom hai usko
Muhabbat zindagi men
faqt ik bar milti hai




~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~




Man-Gharrt Kahani...


uss man gharrat kahani ka ik baab bohat hi achha tha,
kahani thi ya afsana tha par unwaan bohat hi achha tha,
her ik lafz ko parha main ney barey hi armanon sey,
khoon-e-dil ki sayyahi sey likhha pyaar ka
wo iqraar bohot hi achha tha,
janey wala chala gya mera dil ussi k saath gya,
par jatey howey uss ka wo aakhri salam bohat hi achha tha,
laal gulabi chehrey par achha sa ik chashma tha,
main her ik sey kehta hoon mera dildaar bohot hi achha tha,
main pagal dewana hoon pagal hai naam mera,
uss k liyey mera yeh naam bohat hi achha tha


~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~




Abhi wo dard baqi hai ...


Abhi wo dard baqi hai
Agarchay waqt marham hai
Magar kuch waqt lagta hai
Kisi ko bhool janay main
Dobara dil laganay main
Abhi kuch waqt lagna hai
Abhi wo dard Baqi hai
Main kaisay naii Ulfat main
Apni Zaat gum kar doon
Keh mayray jism-o-wajdaa.n main
Abhi wo fard baqi hai
Abhi uss shakhs ki mujh pay
Nigah-e-sard baqi hai
Abhi to ishq kay rasto.n ki
Mujh pay gard baqi hai
Abhi wo dard baqi hai ...


~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~




Wohi Aap Hi k Qissay






Kabhi Raat Bhar K Jhagray,
Kabhi Chahaton Ki Baaten,
Wohi Aap Hi k Qissay,
Wohi Aap Hi Ki Baten,
…Woh Mila Hay Mujh Ko Aksr Sar-e-Raah Chalty Chalty,
Wohi Ajnabi Nigahen,
Wohi Berukhi Ki Baaten,
Na Smajh Ska Jahan Men,
Koi Mera Dard Yaaro,
Meray Gham Ko Log Samjhay,
Meri Shayari Ki Baaten,
Koi Hum Ko Yeh Bataaey Yeh Junoon Nhi To Kia Hay?
Miley Jab Bhi Hum kisi Say Karen Aap Hi Ki Baaten,
Meray Haal Par Wo Yunhi Kuch Aisay Muskraye,
Hum Suna Rahay Hon Jesy Kisi Ajnabi Ki Baaten.




~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~




Suno....

Suno...!
Hamain likh ker kisi lamhay
Kahin mehfooz ker lo TUM
Tumhari yaad sey dekho
Nikaltay ja rahay hain HUM...!!!




~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~


namaaz-e-hijar




Khuda karay..
yeh saaniha kabhi na ho..
keh main namaaz-e-hijar parh sakun..
aur aankh ba'a wazoo na ho..


~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~


muhabbat ab nahi hogi


Sitaarey jo damakatey hain
kisi ki chashm-e-hairaan main
mulaqaten jo hoti hain
jamal-e-abr-o-baran main


yeh na abad waqton main
dil-e-nashad main hogi
muhabbat ab nahi hogi
yeh kuch din baad main hogi


guzar jayenge jab yeh din
yeh un ki yad main hogi. . . !!!




~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~




Ehal-E-wAfA


kUch aisey ghaao bhi hotey hain
jinhen zakhmi aap nahi dhotey
bin roye huye aansuon ki tarah
seenay main chupa k rakhtey hain
aur sari umr nahi rotey


niinden bhi muhaiya hoti hain
sapney bhi duur nahi hotey
kyun phir bhi jagtey rehtay hain
kyun sari rat nahi sotay


ab kis sey kahen ay jan-e-wafa
yeh Ehal-e-wafa kis aag main jaltey rehtay hain
kyun bujh k raakh nahi hotey. . . !!!




~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~




shaaeyba 


Bahut taakheer say lekin
Khula yeh bhaid khud par bhi
Keh main ab tak
Mohabbat jan kar jis
Jazba-e-dereena ko apney lahoo say seenchti aayi
Wo jis ki saat-e-sad meherbaan hi zindagi ki shart thehri thi
Faqt aik shaaiba hi tha mohabbat ka
Yunhi aadat thi har rastey pay us k saath chalney ki
Wagarna tarq-e-khawahish par
Yeh dil thora sa to dukhta
Zara si aankh nam hoti


~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~




Pyar...


Abr-e-bahaar ney
phuul kaa chehra


apaney banafshi haath men lay kar..
aisey chuumaa


phuul k saarey dukh..
Khushbuu ban kar beh nikaley hain....


~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~






Umar k uljhay huwey raston par...


Umar k uljhAy huweY raston par
Raat kali thi bohot
Hum teray dhayan main gum they
Aur phir har taraf phali hui
Bekhayali thi bohot
Aik sehmi hui umeed humari janib
Terey baarey main sawali thi bohot
Hum ney bhi apni tamana ek ek
Teri janib hi uchali thi bohat
Aur jab louti to khali thi bohat
Umar k uljhay huwey raston par
Raat kali thi bohot




~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~




itna Hi yaad Rakh Mujhey...


itna Hi yaad Rakh Mujhey
Jaisey kisi kitaab Men
Beetey Dinon k Dost ka
Khat ik Parraa Huwa Miley


Lafz Mitey Mitey sey Hon
Rang Urraa Urraa sahi
Lekin wo Ajnabi na Ho
Uth kar Terey Galey lagey
Bhooley Huwey Tamaam Dukh
Guzrey Huwey Tamaam Sukh
Beetey Dinon ki kathaa
Tujh sey kahay Aur Ro Parrey


itna Hi yaad Rakh Mujhey
Beetey Dinon k Dost ka
Jaisey koi khat Hoon main
Rakha Huwa kitaab mein...


~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~


Ishq


Tairi khushbu mjh main aisay
jaisay til main tail
mjh sy lipti koi to daikhay
tairay ishq ki bail...!!




~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~




Khirki Chand Kitaab Or Main


Khirki Chand Kitaab Or Main
Muddat Sey Ik Baab Or Main
Shab Bhar Khelain Aapas Main
Do Aankhen, Ik Khawab Or Main
Mauj Or Kashti Sahil Per
Darya Main Gardaab Or Main
Sham, Udaasi, Khamoshi
Kuch Kankar Talaab Or Main
Har Shab Pakrey Jaatey Hain
Gehri Neend, Khawab Or Main




~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~




Tum Ney Dekha Hai Mujhey....?


Tum Ney Murjhaaye Huey Phool Kabhi Dekhey Hain
Dil Ki Qabron Pey Parrey......
Hijr Ki Laash Ki Aankhon Pey Dharey
Tum Ney Uktaaye Huey Khuwab Kabhi Dekhey Hain
Dard Ki Palkon Sey Liptey Huey
Ghabraaye Huey
Tum Ney Be-Chain Duaayen Kabhi Dekhi Hain
Mohabbat K Kinaaron Pey Bhatakti Phirtin
Tum Ney Dekha Hai Mujhey
Kaya Kabhi Dekha Hai Mujhey


~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~




Kasak...


Mujh Sey Wo Aksar Kehti Thi
Meri Bas Itni Khawahish Hai
Kuch Aesay Pehchani Jaaun
Aap K Naam Sey Jani Jaaun!


~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~




Pagal Larki...


Pehlay Meray Khat Kay Us Ney
Ik Anjaaney Khauf Sey Dar Kar
Tukray Tukray Kar Daaley
Ab
Ek Haseen Ahsaas Kay Taabay
Jis Ka Koi Naam Nahi
Pichlay Kitnay Hi Ghanton Sey
Darwaazey Ki Oatt Mai Chup Kar
Tukrey Jorr Rahi Hai…………Pagal


~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~


Kaya Kaya Dukh Dil Ney Paaye....


Kaya Kaya Dukh Dil Ney Paaye
Nanhi Si Khushi Kay Badlay
Haan Kon Say Zakhm Na Khaaye
Thori Si Hansi Kay Badlay
Zakhmon Ka Kon Shumaar Karay
Yaadon Ka Kaisey Hisaar Karay
Aur Jeena Phir Sey Azaab Karay
Us Waqt Ka Kon Hisaab Karay
Wo Waqt Jo Tujh Bin Beet Gaya!


~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~


Waahma...


Tumhara Kehna Hai
Tum Mujhey Be-Panah Shiddat Sey Chahtey Ho
Tumhari Chahat
Wisaal Ki Akhri Hadon Tak
Merey Faqt Merey Naam Hogi
Mujhey Yaqeen Hai
Mujhey Yaqeen Hai
Magar Qasm Khaney Waley Larkey!
Tumhari Aankhon Mai Ek Til Hai!


~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~




Agar...


Agar tu moj hai to phir
Main teray saath behta hoon
Agar tu chaand hai to phir
Main teray saath rehta hoon
Agar tu paas hai to phir
Main dil ki baat kehta hoon
Agar tu door hai to phir
Main tera hijr sehta hoon




~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~

Adhoora pyar......





Chalo tum sath mat dena
Mujhay beshak bhula dena
Naye sapnay saja lena
Naye rishtay bana lena
Bhula dena sabhi waaday...
Sabhi yadien sabhi naatay
Tumhein janaan ijazat hay


Jo dil chahay wo sab karna
Magar ab tum kisi say bhi
Adhoora pyar mat karna




~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~


 Rainbow!


Meray ZARD aangan mein
SURKH phool ki khushboo 
NAQRAI kiran ban kar 
KAASNI dino ki yaad 
SABZ karti jati hai



~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~


hamen kuch tum say kehna hay
magar kehnay say dartay hain
Ana kehti hay lab c lo
unhain kuch bhi nahi bolo
magar ham nay yeh
socha hay..
Ana ko maar dalain gay
ham un say ja k
keh dain gay..
hamen tum say mohbat hay
hamen tum say mohbat hay..



~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~

Toheen!


Palkon Ki
Had Ko
Tor Kar
Daaman Pey
Aa Gira


Aik Aansu
Meray Sabar Ki
Toheen Kar
Gaya...

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~

Youn Bhi hum Dour Dour Rehtey They...

Youn Bhi Seenon Mein Ik kadoorat Thi...

Tum Ney rasman Bhula Diya Warna...

Is Takalluf
 Ki Kaya Zaroorat Thi...??





~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~


Aaj halki halki barish thi
aaj sard hawa ka raqs bhi tha
Aaj phool bhi nikhray nikhray thay
aaj un main tera aks bhi tha
Aaj badal bhi kaalay gehray thay
aaj chaand pay laakhon pehray thay
Tazkiray teri yadon kay
bari dair say dil main thehray thay
Jo kehna tha wo keh na sakay
jo sun'na tha wo sun na sakay
Youn lagta hai aaj dil main meray
tum he tum samaye ho..
Aaj yaad buhat tum aaye ho...!!




~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~


Muhabbat rooth jaey to
usey baahon men ley laina..

Bohat hi paas kar laina
usey janey nahi daina..

Wo daaman bhi churaaey to usey tum qasm dey daina..

Dilon k muaamlon men to khatayen ho he jati hain...

Suno tum in khataaon ko bahana mat bana laina...

Suno ! muhabbat rooth jaey to usay jaldi mana laina.



~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~


"TUM"


Darya men Qatrey Ki Soorat..

"Gum" Ho Jaaun....!

"Apney Aap" Sey Bahir Nikloon...

"TUM" Ho Jaaun.....!



~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~


" Mujhey Muhabbat Hai"






Tamaam Shehar Ko apney khilaaf Kar letay...

Ham us K Jurm ka Bhi Etraaf Kar Letay....

Woh Aik Baar To kehti" Mujhey Muhabbat Hai"

Riwayaton Sey Bhi ham Inharaaf Kr Letay...



~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~



woh aksar bhool jati hai kabhi khawabon k jungle mein
kabhi yadon ki daldal mein
kisi din tez barish mein
kabhi darya k dhaaray par 
woh mera naam likhti hai
kabhi likh kar mitati hai 
kabhi likhnay say pehlay hi
mita kr hansnay lagti hai
kisi din shaam say pehlay
mitana bhool jati hai
to saari raat roti hai

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~


ye hum tasleem kartay hain
tumhein fursat nhi milti
hamaray wastay tum ko
koi saa't nhi milti
hamari soch k mehwar

kabhi ik pal to socho tum
tumhein hum yaad yaad kartay hain
or itna yaad kartay hain
keh khud ko bhoool jatay hain





~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~





Tumhen dil sey bhulanay ki

sha'oori koshishen kar k

Tumhen na yad karney ki

Zaroori koshishen kar k

Main khud he thak gaya hun ab

Adhoori koshishen kar k………………

 ~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*


kisi roz shaam k waqtsuraj k araam k waqt
mil jaye jo sath tera
haath mein lay k haath tera
door kisi tanhai men
duniya say judai men
apnay sung bahaaun tujhay
dil ka haal sunaaun tujhay

teray haath ki lakeeron men
talash apna naam karun

kisi roz shaam k waqt 
suraj k araam k waqt
main yeh kaam karun
apni zindagi teray naam karun





~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~


wo hijar thehra wisaal thehra
kaya aadmi tha kamaal thehra
afsurdagi k har ik nager mein

wo qehqahon ki misaal thehra
wo kis ki khatir guzar gaya hai

sab ki khatir sawaal thehra
haan us k lehjay ki tazgi say
jo khawab tha wo khayal thehra

kahan say layen rafeeq tujh sa
muhabbaton mein zawaal thehra
tu nay hum ko yeh dukh diya hai
keh ab to jeena muhaal thehra



~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*



Pehlay Chaand Taarey 
Baadal Phool 
Hawa or Khushboo 
achey lagtey they
ab sirf
~Tum~ 



~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*




Ab to mera dil
kisi bat sey bhi nahi darta
be shak aazma lo
keh main bohat bahadur ho gaya hoon.
Agar tum kaho to
main lamha bhar men
sab kuch chorr doon
zindagi sey naata torr doon
khwahishon k khiloney torr doon
keh main tumharey liye
sab kuch kar sakta hoon
lakin sathi!
ek bat soch kar
mera dil dar jata hai
kahin tum yeh na keh do
keh
Main tumhain chorr doon.......



~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~* 


Badaltee ruton main
Woh bichraa musafir
Phir yaad aaney laga hay
Mujh ko sataney laga hay
Ho sard mosam
To dhoop kee hidat
Jaisey badan ko
Daitee hay rahat
Kuch waisey hee
Tairee yadon kaa mosam
Dil ko jalaney laga hay
Man main meray
Ek meetha sa dard
Phir say jaganey laga hay



~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*



Apney sard kamrey men
main udaas baithi huun
Neem wa darichon sey
num hawayen aati hain
merey jism ko choo ker
aag-si lagati hain
tera naam ley-ley ker
mujh ko gud'gudati hain
kaash, main hawa hoti
tujh ko choo k laut aati
main nahin mager kuch bhi
sang dil rivajon k
aahni hisaaron men
umr-qaid ki mulzim
                   sirf ek lerki huin. 


~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~


Kaya Tum Bhi 
Aansoo Roknay Ki Koshish Men 
Palkain Taiz Taiz Jhapaktay Ho 
Aur 
Kisi Sandesey Ki Aas Men Baar Baar 
Darwazy Ki Janib Lapaktay Ho 
Kaya Tum Bhi 
Phool Pey Girti Barish Ki Aawaz Sey 
Aur 
Door Kahin Bajny Walay Almiya 
Saaz Ki Aawaz Sey 
Aafsurda Ho Jatay Ho



~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~


Chahta Hoon Keh Bhool Jaaun Tumhain
Or yeh Sab Dareecha Haye Khayaal
Jo Tumhari Hi Simt Khultey Hain
Band Ker Doon Kuch Is Tarah Keh Yahan
Yaad Ki Ik Kiran Bhi Na Aa Sakey
Chahta Hoon Keh Bhool Jaaun Tumhain
Or Khud Bhi Na Yaad Aaoon Tumhain
Jaisey Tum Sirf Aik Kahani Theen

Jaisey Main Sirf Aik Afsana Tha



~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~


Aaj Bhi Shehar men Pagal DiL kO
Teri DeEd ki Aas Rahi..
MudDat ki Gum sUm tanHayi
aAj Bhi meray Saath RAhi
Or....
aaj Bhi shaam Udaas rahi


~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~


Tumhen maloom hai

janaan!!

tum bhi

ek...

qaatil ho,...

meray ander ka ek

hansta hua insaan

Tum ney maar daala hai....!!



~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*



Tera Aks dil K Qareebtar,Teri Yaad Jan Sey Aziztar

Tera Dard Sab Sey Hai Moatbar

Kabhi Loat Aao Jo Ho Sakay

Tere Bin Hai Soona Mera nagar


~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*



khizan men khushk pattay jab hawa say kharkharaty hain

kisi sunsaan waadi say parinday jab guzarty hain

kabhi jab pyar say koi kisi say baat karta hay

shab-e-tareek men jab dil buhat veeran hota hay

to janay q hamein in sari awaazon k manzar men

bazahir tu nahi

laikin

teri awaz aati hay...!!!



~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*



Gum Sum Aankhain,
Sooni Saansain,
Toot'ti jurti Umeedain,


Darta Hoon Yun Kaisay Katay Gi,
Umr Hai, Koi Raat Nahi




~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*


Wo kehta tha
Suno
Muhabaton men dooriyan
Muhabaton ko aur mazboot bana deti hain
lekinUsay shayed yeh khabar nahi hai
Keh faaslay
Dilon per banay naqsh bhi to dhundla detay hain


~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*



Aaaj
Aiinaa
Dekh kar voh larki
Apni hee yaad men roii
Bohat
Dairr talak!


~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*


Khuda
Ratt bhar
Yeh sochtee rahee
Aur
Soch soch ker
Rootee rahi
Mera aur dushmanon ka
Khuda aik hay


~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*


 Yeh Hijar Kaya hai 

 Wisaal Kaya hai 

Yeh Gardish_e_Maah_o_Saal Kaya hai 

 Yeh jumla Rasmi Sahi Magar 

 Tum Meri Jaan 

 Kabhi to Poocho 

 Keh Haal Kaya Hai


~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Mujhey Teri Judai Ney

Yeh Meraaj Bakhshi Hai

Keh Main Jo Lafz Likhti HuuN

Woh Saaray Lafz Rotey Hai'N

Main Jo Hurf Bunti HuuN

Woh Saaray Baatai'N Kartey Hai'N

Meray Sang Is Judai MeN

Merey Alfaaz Martay Hai'N



~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~* 



yaad hai janaa 
tum ney pichli baar kaha tha
mujh ko bhool k khush rehna hai
tum ko tau main bhool na paya
lekin janaa
chupkey chupkey dukh sehta hoon 
abb main aksar khush rehta hoon...!!!


~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
 


Ehsaas 

Kaya kabhi too ney
yeh bi socha hai
Keh........
raat k aakhari pehar men
koi.........
namm aankhon sey
laraztey honton sey
apney haath phailaaye
tujh ko 
"Khuda" sey maang raha ho ga ............!! 



~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*


Kaha uss nay
Tab waqaee mujhey tum sey muhabbat thi
Kaha main nay
Main tu ab bhi tum sey muhabbat kerta hoon
Woh tab kii baat kerti hai
Main ab ki baat kerta hoon
Magar iss ab aur tab k darmiyaan jo faasla hai
Woh hum donno sey

 mil ker bhi samaita jaa nahi sakta
Woh ab tak aa nahi saki
Main tab ko paa nahi sakta  



~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~* 

meri ek baat maano..

mera ek kaam ker do..

Ek be-naam si Mohabbat meray Naam ker do...

Meri zaat pey faqat itna Ehsaaan ker do...

kisi subha ko milo aur shaaam ker do....!!!


~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~* 


Tum jo chaaho
to ham
Aaj bhi apni saanso ka her sur
Tumen sonp den
Sirf beeti hui chahaton k Evaz
haan
Aaj bhi..!! 


~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Us 
akeli chitaan ney
samandar k hamrah
Tanhai ka itna zehar piya hi
keh 
Us ka sunehri badan Neela parney laga hai...!!!




~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~* 

Dhoop mai baarish hotay daikh kay 
hairat kernay walay! 
Shayad tu nay meri hansi ko 
chhu ker 
kabhi nahin daikha!



~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*  

Bohat khud per jabar ker k
muhabat ka safar ker k..
mita ker her khushi apni..
usay panay ki chahat men..
muhabat ki musafat men.
Bas itna jaan paya hai....
"MUHABAT MAAR DETI HAI"  



~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*


mera waada yeh hai tum sey
tumhen itna main chaahoon ga
keh duniya men kaheen par bhi!
mohabbat k hawaley sey
kabhi jo baat nikley gi
hamara naam aaye ga


~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*


Jaltay Diye k saamnay
Jhonka Hawa ka Dekh ker
Tum kyun Udaas ho gaye
Mosam khizaa'n ka Dekh ker
Tum, Dukho'n k soz ka
Mosamo'n k Rog ka
Dard mat saha kro
Udaas mat raha kro
Ye Dard hen Hayyat k
Kuch Rang kaainaat k
Kuch Dukh ki tez barshe'n
Kuch phool hen Nishaat k
Tum Phool bas chuna karo

"Udaas mat raha karo...!!!"  


~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~* 


Ay baadal!
Barsat men tu
Kis sey bicharta hai
Jo is qadar tarapta hai
Aur be'tarah barasta hai 


~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*  

Maayoosi

Us k Haath men
Apney Naam ki Lakeer
Main ney Dhoond to lee
magar....
Adhoori..... aur..... tooti hui....!!! 
 



~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*   

Teray aanay sey pehlay he

Dil k ander tak

Utar jata hai

Teray wapis janay ka Gham


~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*


Jitni Duaa'en aati theen....
Sab maang li hum nay..!!
Jitnay Wazeefay yaad thay saaray....
Kar baithay hain........
Kayii Tarha say Jii Dekha Hay...!!
Kayii Tarha Marr Baitey Hein ..!!
Lekin jaannnaa...........!!!
Kisi Surat Bhi....!!

TUM MEREY HO KAR NAHI DETAY


~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*


aakhir!!!!
ik din
us nay mujh sey
keh hi daala
mujh per bhi ik nzam
likho tum
jis men !!!
mera nam na aaye
"main" khud aauun

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

khizaan aa kar
dariichon men thehar jaaye
to dewaron pey calendar badalney sey
bahaaren to nahin aatin!!!


~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Teri khushbu
Mujh men aesay
Jesay Til myn Tail......
Mujh say lipti...
Koi to dekhy...
Teray Ishq Ki Bail....


~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*


No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets