Pages

Wednesday, 18 March 2015

Hosla Mujh Mein Bhi Balaa Ka Tha


Hosla Mujh Mein Bhi Balaa Ka Tha,

Raasta Ghalban Wafa Ka Tha,

Jal Bujhi Titlian Mohabbat Ki,

Dasht Biphra Howa Anaa Ka Tha,

Kal Jise Umar Bhar Ko Chor Dia,

Pyar Bhi Us Se Intha Ka Tha,

Har Dua Di Judai Par Us Ne,

Lekin Andaz Bad Dua Ka Tha,

Saans Roke Khara tha Malkal Mout,

Samna Deep Ko Hawa Ka Tha,

Bhoolne Wala Lout To Aaya,

Waqt Maghrib Ya Ishaa Ka Tha,

Ruk Gia Main Saza Se Kuch Pehle,

Us Ko Ehsas Khud Khata Ka Tha,

Butt Kadde Mein Maraa To Phir Kia Hai,?

Maanne Wala To Khuda Ka Tha,

Sab Khazane Manga Liye Rab Ne,

Faisla Ishq Ki Jaza Ka Tha,

Qais Tha Lajawab Laila Bhi,

Jab Sawaal Aik Ki Baqa Ka Tha...