Pages

Thursday, 31 March 2016

Mausom e gham



Sab ruttain aa kay chali jaati hain
Mausom e gham bhi to hijrat karta

Suno



Suno!
Mein mar gaya tau
Kaya tumhen mein yaad aauun ga?


Sunday, 20 March 2016

Muhabbat hum ne tum ne aik waqti cheez samjhi thi|


javani zindagani hai na tum samjhe na ham samjhe

ye ik aisi kahani hai na tum samjhe na ham samjhe

hamare aur tumhare vaste men ik naya-pan tha

magar duniya purani hai na tum samjhe na ham samjhe

ayaan kar di har ik par ham ne apni dastan-e-dil

ye kis kis se chhupani hai na tum samjhe na ham samjhe

jahan do dil mile duniya ne kaaTe bo diye aksar

yahu apni kahani hai na tum samjhe na ham samjhe

mohabbat ham ne tum ne ek vaqti chiiz samjhi thu

mohabbat javedani hai na tum samjhe na ham samjhe

guzari hai javani ruThne men aur manane men

ghaḌi-bhar ki javani hai na tum samjhe na ham samjhe

mata-e-husn-o-ulfat par yaqin kitna tha donon ko

yahan har chiiz faani hai na tum samjhe na ham samjhe

ada-e-kam-nigahi ne kiya rusva mohabbat ko

ye kis ki mehrbani hai na tum samjhe na ham samjhe

Ik safar acha laga, ik hamsafar acha laga



Manzilon ki baat chhoro kis nay paayeen manzilen
Ik safar acha laga, ik hamsafar acha laga

Friday, 11 March 2016

Haasil e umr hai jo aik kasak, baqi hai




Haasil e umr hai jo aik kasak, baqi hai
Meri saanson men abhi teri mehak baqi hai

Teray firaaq kay lamhay




Teray firaaq kay lamhay shumaar kartay huye

Bikhar gaye hain tera intezar kartay huye

Mausom ki pehli barish men



Mausom ki pehli barish men
Tann pani men, Mann yaadon men
Kab kitna bheega yaad nhi
Yaad hai tau bas itna
Keh!
Is say pichhli barish men
Hum dono'n sang sang bheegay thay