Pages

Wednesday, 14 June 2017

Nhi jaanti mujhay tum say yeh kesi muhabbat hai






































Kuch khawaab meri aankhon nay palkon say yuun baandh rakhay hain
Palkon ki mundair'on pay ashkon nay jesay thaam rakhay hain
Dekhti hoon tum yaheen ho paas meray
Be'khudi kay saaray mausom sabz baarishon men bheegay meray paas parray hain
Tumhari roshan aankhen muhabbat kay noor say aur jalti jaati hain
Tum apni dhun men jaanay kaya kaya kahay jaatay ho
Saat samandar apni he dhun men bahay jaatay ho
Wohi shab o roz ki tafseel wohi waqt aur kaam ki taaweel
Aur phir meri yaad ki tamseel
Mein hans parrti hoon aur saaray manzar bad'al jaatay hain
Yuun lagta hai tum nhi wahaan koi aur pal hotay hain
Udaas na'muraad si raat aangan men utar aati hai
Her taraf tumhari khushbu si sarsarati hai
Mein khawaab men he apnay weham say bhaagnay lagti hoon
Be'qaraari say tumhen yahaan wahaan dhoondnay lagti hoon
Shukar khawaab tha keh kar khud ko behlaanay lagti hoon
Phir
Waqt kay maathay par umeed e visaal ka aik pal thehar jaata hai
Dasht e khawaab men lamha jesay pyaas ka thehar jaata hai
Shaakh e hijr phir kaanpnay lagti hai
Na'umeedi kaantay honay lagti hai
Neendon men aaj tumhara kaheen nishaan na tha
Daak men bhi tumhara kaheen ata pata na tha
Kaash yeh khawaab men he hua ho
Aur mujhay ab aankhen kholna ho
Phir saaray manzaron nay badal'na ho
Manzar bad'al gaye jaanaan
Mein nay yeh kaya suna keh meri aankhen hairat kada hain
Sun kay aawaaz tumhari meri samaat'en maatam kada hain
Is bars bhi tum na aa sako gay
Acha. . koi baat nhi. . . kehtay huye meri aawaaz dhundla jaati hai
Aglay bars to aa sako gay. . kehtay huye meri umeed sabz ho jaati hai
Shaayad. . . dekho. . suntay he intezaar ki aik fasal ugnay lagti hai
Meray pallu say bandhay sab khawaab girnay lagtay hain
Palkon ki mundair'on pay rakhay ashk tootnay lagtay hain
Nhi jaanti mujhay tum say yeh kesi muhabbat hai
Is rishtay ka naam kaya hai?
Isay kab tak nibaah sakuun gi
Tumhen kab tak chaah sakuun gi