Pages

Wednesday, 31 August 2011

ye to nahiN keh gham nahiN

ye to nahiN keh gham nahiN
haaN meri aaNkh num nahiN


tum bhi to tum nahiN ho aaj
hum bhi to aaj hum nahiN


ab na khushi kee hai khushi
gham ka bhi ab to gham nahiN


maut agarchay maut hai
maut se zeest kam nahiN

aaj ham bichharay hain to kitanay rangiilay ho gaye

aaj ham bichharay hain to kitanay rangiilay ho gaye
merii aaNkhen surKh teray haath peelay ho gaye


kab kii patthar ho chukii thiin muntazir aaNkhen magar
chhuu k dekhaa to meray haath giilay ho gaye


jaanay kyaa ehasaas saaz-e-husn k taaron men hai
jin ko chhuutay hii mere naGhmay  rasiilay ho gaye


ab ko_ii ummiid hai "Shahid" na ko_ii aarazuu
aasare TuuTay to jeenay k vasiilay ho gaye

jab naam tera pyar se likhti hain ungaliyan

 jab naam tera pyar se likhti hain ungaliyan
merii taraf zamaane kii uthti hain ungaliyan

daaman sanam kaa haath mein aayaa thaa ek pal
din raat us ek pal se mehakti hain ungaliyan

jis din se duur ho gaye us din se hi sanam
bas din tumhare aanay k ginti hain ungliyan


Dil ke deewar-o-darr pe kya dekha

Dil k deewar-o-darr pe kya dekha
bus tera naam he likha dekha


Teri aankhon mein humne kya dekha
kabhi qatil, kabhi khuda dekha


Apni soorat lagi paraayi see
jabh kabhi humne aaina dekha


Haey andaaz tere rukne kaa
waqt ko bhi ruka ruka dekha


Tere jaane mein aur aaney mein
Humne sadiyon ka faasla dekha


Phir na aaya khayal jannat ka
jabh tere ghar ka raasta dekha

Tamannaaon k behlaavey men aksar



Tamannaaon k behlaavey men aksar aa he jaatey hain
kabhi hum chot khaatey hain, kabhi hum muskuratey hain


Hum aksar doston ki be-wafaayi seh to letey hain
magar hum jaantey hain, dil humaarey toot jaatey hain


Kissi k saath jabh beetey huey lamhon ki yaad aayi
thakki aankhon men ashkon k sitaarey jhilmilatey hain


Yeh kaisa ishtiyaq-e-deed hai, aur kaisi majboori
kissi ki bazm tak ja ja k, hum kyun laut aatey hain

GIRHAIN

 mujhko bhi tarkeeb sikhaa koi yaar julaahe !


aksar tujhko dekha hai ke taanaa bunte
jab koi taagaa toot gaya ya khatm hua
phir se baaNdh ke
aur siraa koi joR ke usmeiN
aage bunne lagate ho
tere is taane meiN lekin
ik bhi gaNth gireh buntar ki
dekh nahiN sakta hai koi


maineN to ik baar buna tha ek hi rishta
lekin uski saari girheN
saaf nazar aati haiN mere yaar julaahey !

baat karanii mujhe mushkil kabhii aisii to na thii

baat karanii mujhe mushkil kabhii aisii to na thii
jaisii ab hai terii mahafil kabhii aisii to na thii

lay gayaa chhiin ke kaun aaj teraa sabr-o-qarar
be-qaraarii tujhe ae dil kabhii aisii to na thii


chashm-e-qaatil merii dushman thii hameshaa lekin
jaise ab ho gaii qaatil kabhii aisii to na thii


unakii aaNkhon ne Khudaa jaane kiyaa kyaa jaaduu
ke tabiiyat merii maa_yel kabhii aisii to na thii


aks-e-ruKh-e-yaar ne kis kay hai tujhe chamakaayaa
taab tujh men mah-e-kaamil kabhii aisii to na thii


kyaa sabab tuu jo bigartaa hai 'Zafar' se har baar
Khuu terii huur-e-shamaa_yel kabhii aisii to na thii

Agar hum kahen aur woh muskra dain

Agar hum kahen aur woh muskra dain,
Hum unkay liyey zindgaani luta dain,


Har ik morr par hum ghamon ko saza dain,
Chalo zindagi ko mohabbat bana dain!


Agar khud ko bhoolay, to kuch bhi na bhoolay,
Keh chaahat mein unki khuda ko bhula dain!


Kabhi gham ki aandhi jinay choo na payey,
Wafaon kay hum woh nash-e-man bana dain !




Qayaamat kay deewanay kehtay hain humsay,
Chalo unkay chehray say parda hata dain !




Saza dey sila dey, bana dey mita dey,
Magar woh koi faisla to suna dey !

EID CARD (yeh kis taraf ishara hai)

rishta torr kay janay walay


mujh ko chhor kay janay walay


ab ki eid par


mujh ko jitnay card milay


un card'on men


sub say pyara


sub say acha


pehla card tumhara hai


mujh ko chor kay janay walay


zara kaho to,


yeh kis taraf ishara hai....?

EID

aaj kay din


meri bhi aik khwahish thi keh


mein bhi sub ki tarah


khushiyon men ghira rahoon par


tum ko apnay pasa na pa kar


meri aik aur khwahish nay


dum torr diya


yun.......aaj ka din bhi yadgaar raha


khushiyon ka din bhi sogwaar raha
hai whi aasman zameen whi


maah o anjum usi tarah roshan


kehakashan ab bhi muskarati hai


phool kaliyan mehak rahi hain yunhi


baad muddat kay saray pardesi


apnay apnay gharon ko aaey hain


her taraf rang o boo ka maila hai


aur tanha mein apnay kamray men


kab say bethi hoon aur sochti hoon


janay kaya baat hai keh ghar men meray


jo gazashta baras thi ronaq, ab


wo kahin bhi nazar nhi aati


hai fizaa men ajeeb sannata


haan faqt aik teray janay say


aisa mehsoos ho raha hai mujhay


rut khushi ki to her taraf aaii


sirf chhotay say meray aangan men


eid ab kay baras nhi aaii

MUJHAY APNA SITARA DHOONDNA HAI



sitara dhoondna hai


sitaron say bharay is aasman ki vusaton men


mujhay apna sitara dhoondna hai


falak par kehakashan dar kehakashan ik bay karaani hai


na us ka naam hai maloom, na koi nishani hai


bus itna yaad hai mujh ko


azal ki subha jab saray sitaray


alwidai guftagu kartay huay raston pay niklay thay


to us ki aankh men ik aur taara jhilmilaya tha


usi taaray ki surat ka


meri bheegi hui aankhon men bhi ik khvab rehta hai


mein apnay aansuon men apnay khvabon ko sajata hoon


aur uski raah takta hoon


suna hai gumshuda cheezen


jahan pay khoi jati hain


wahin say mil bhi jati hain


MUJHAY APNA SITARA DHOONDNA HAI


Aaj Phir Yaad Bohat Aaya Woh

Ab Kay Yoon Dil Ko Saza Di Hum Nay


Us Ki Her Baat Bhula Di Hum Nay


Eik , Eik Phool Bohat Yaad Aaya


Shakh-E-Gul Jab Woh Jala Di Hum Nay


Aaj Tak Jis Pay Woh Shermaatay Hain


Baat Woh Kab Ki Bhula Di Hum Nay


Sheher-E-Jahan Rakh Say Abad Hua


Aag Jab Dil Ki Bujha Di Hum Nay


Aaj Phir Yaad Bohat Aaya Woh


Aaj Phir Us Ko Dua Di Hum Nay


Koi To Baat Hia Us Main Faiz


Her Khushi Jis Pay Luta Di Hum Nay!!

ye vo maiy hai jise rakhate hain naazuk aab_giinon men

jinhen main DhuuNDataa thaa aasmaanon me.zamiinon men
vo nikale mere zulmat-e-Khaanaa-e-dil k makiinon men


mahiine vasl kI gha.RRiyon kii suurat uRRtey jaate hain
magar ghaRRiyaaN judaa_ii kii guzaratii hain mahinon men


mujhe rokegaa tuu ai naaKhudaa kyaa gharq hone se
keh jin ko Duubnaa hai Duub jaate hain safiinon men


jalaa sakatii hai sham-e-kushtaa ko mauj-e-nafas un kii
ilaahii kyaa chhupaa hotaa hai ahal-e-dil ke siinon men


tamannaa dard-e-dil kii ho to kar Khidamat faqiiron kii
nahiin milataa ye gauhar baadashaahon k Khaziinon men


muhabbat k liye dil Dhuu.NDh ko_ii TuuTanevaalaa
ye vo maiy hai jise rakhate hain naazuk aab_giinon men


buraa samajhuuN unhen mujh se to aisaa ho nahii.n sakataa
ki main Khud bhii to huuN "Iqbal" apane nuktaachiinon men

Tuesday, 30 August 2011

SHAB E FIRAQ

Terey Khayal Se Lau Day Uth'ti Hai Tanhai;
Shab-e-Firaq Hai Ya Teri Jalwa Aarai;


Tu Kis Khayal Mein Hai Manzilon Ke Shedai;
Unhein Bhi Dekh Jihein Raaste Mein Neend Aayi;


Pukaar Aey Jaras-e-Karwaan-e-Subh-e-Tarab;
Bhattak Rahi Hai Andheron Mein Terey Sodaayi;


Rah-e-Hayat Mein Kuch Marhaley To Dekh Liye;
Ye Aur Baat Teri Aarzoo Na Raas Aayi;


Ye Saniha Bhi Muhabbat Mein Baar'ha Guzra;
Ke us Ne Haal Bhi Poocha To Aankh Bhar Aayi;


Phir Os Ki Yaad Mein Dil Beqaraar Hai Nasir;
Bicchar Ke Jis Se Hui Shehar Shehar Ruswai;

Akelay TUm nahi kEhtay..

Akelay TUm nahi kEhtay..


TumHare IshQ meIn JaaNa


MerAy sAb DosT GhAr WalaY


MuJhE AawaRa kEhtAy HaiN


MeRi mAnZil kaHan hO tUm?


SaFar Ab kItNa BaQi hAi?


MerAy PaAon kay Ye ChHalEy


MuJHe AaWaRa kEhtAy HaIn


TumHari YaaD SE fUrSat ho


ToU iNki Bhi SuNon bAteIn


MeRay kAmRey kay YeH jAlAy


MuJhE AaWaRa kehTaY hAiN


TeRay NaiNo kI MaSti MeIN


MAin ApNa aAp khO bEtHa


ShaRabOn kay BhaRaY pIyALe


"MujHe AaWaRa KehTay HaiN"

ZARA SI BAAT

zindgi kay mailay main,kawishoon kay railay main

tum say kaya kahain janaan!

is qadar jhamailay main

waqt ki rawani hai,bakht ki geraani hai

sakht bay zameeni hai,sakht la makaani hai

hijr kay samandar main

takht aur takhtay ki ek hi khani hai

Tum ko jo sunani hai

Baat go zara si hai

Baat umar bhar ki hai

Umar bhar ki baatain kab do gharri main hoti hain?

dard kay samandar main

un ginat jaziray hain,bay shumar moti hain

aankh kay dareechay par tum nay jo sajaya tha

Baat us diay ki hai,baat us gilay ki hai

jo lahoo ki khilwat main chor ban kay aata hai

lafz ki faseloon par toot toot jata hai

zindgi say lambi hai,baat ratjagay ki hai

rastay main ho kaisay?baat takhliay ki hai

takhliay ki batoon main guftagu izafi hai

PYAAR KARNAY WALON KO EK NIGAH KAFI HAI

ho sakay to sun jaao ek din akailay main

Tum say kaya kahain janaan!is qadar jhamailay main!!!

Monday, 29 August 2011

Huwii hai shaam to aankhoon mein bus gaya phir tu

Huwii hai shaam to aankhoon mein bus gaya phir tu


Kahan Gaya hai meray shehr ke musafir tu


Mein jaan ta hoon keh dunya tujhe badl de gi


Mein maan ta hoon keh aisa naheen bazahir tu


Bicharna hai tau hansi khushi se bichar ja


Yeh kya sochta hai hur muqaam peh aakhir tu


Faraz tu ne oose mushkiloon mein daal dya


Zamana sahib-e zar aur sirf shayar tu

Tu mujhe hijr ke tufaan me sitaara dena

Kabhi shaam kabhi aanchal ka kinara dena,


Main agar doob ke ubhroon to sahara dena.


Teri ulfat me mukammal hoon har pehlu se,


Mujhe dard bhi dena to saara dena.


Main tujhe ghum ke samandar me kinara doonga,


Tu mujhe hijr ke tufaan me sitaara dena.


Main teri yaad ke sehra me kahin rehta hoon,


Kabhi aana to halka sa ishaara dena.

Dil se wisaal e yaar ka armaan bhi gya

Dil se wisaal e yaar ka armaan bhi gya
Dekha jo ghr udhas to mehmaan bhi gya


Ker li hai usny phir gham e jana se dosti
Lo apny hath se dil e nadaan bhi gya


Mushkil tha apni raah pe lana usy magr
Tha baat mai khuloos to wo maan bhi gya


Dikhlaye kya bahaar ney josh e junoon k rang
Daaman bacha rahy thy Girebaan bhi gya


Uski wafa Mohsin na haasil hui mujhy
Mai us k dar pe le k dil o jaan bhi gya....!

Ek khwab ajab sa dekha tha

Ek khwab ajab sa dekha tha,
Hum us Din se bezaar Piya!


Ab nend bhi Hum se rooth gai,
Phir kaise ho Didaar Piya!


Ab keh dalo to behtar hai,
Jo krna hai Iqrar Piya!


Dil Ghum se hi phatt jae ga,
Kr dena na Inkar Piya!


In ashkon ko in Ankhon ki,
Na rok sake Diwaar Piya!


Agr raste seedhe sadhe hen,
To chalna kyun Dushwar Piya!


Haan Jism to apna laut aya,
Pr bhatke Rooh us paar Piya!!!

Teri yaad mein jeete jeete aik zamana beet gaya

Teri yaad mein jeete jeete aik zamana beet gaya
Hum ko apne aap se bichre aik zamana beet gaya


Paani ke parde par tum ne naam wafa ka likha tha
Paani ki lehron ko takte aik zamana beet gaya


Ankhon mein kuch khwab basa kar hum ne jeena chaha tha
Ankhon mein khwabon ko sulagte aik zamana beet gaya


Jate jate phir milne ki aas na dete acha tha
Phir milne ki aas mein jalte aik zamana beet gaya


Kon sune faryaad kisi ki, kon kisi ka dard sahe
Apne aap se baten karte aik zamana beet gaya

Kal Shab Tera Khayaal Barri Dair Tak Raha

Kal Shab Tera Khayaal Barri Dair Tak Raha


Dil Dard Se Nidhaal Barri Dair Tak Raha


Paane Ki Jo Khushi Thi Wo To Aarzi Rahi


Khone Ka Ye Malaal Barri Dair Tak Raha


Jaage To Saamne Thay Tere Hijr Ki Khawab


Haan Khawab Main Wisaal Bari Dair Tak Raha


Honton Se Ek Lafz_E_Mohobbat Adaa Huya


Gull Rang Us Ka Gaal Barri Dair Tak Raha


Mere ILaawa Rakhta Tha Kis Kis Se Raabte


Aankhon Main Ye Sawal Barri Dair Tak Raha

Sitam sikhlaye ga rasm-e-wafa, aisa nahi hota

Sitam sikhlaye ga rasm-e-wafa, aisa nahi hota
Sanam dikhlayen gay raah-e-Khuda, aisa nahi hota


Gino sab hasratain, khoon huin jo tan k maqtal main
Mere qaatil hisaab-e-khoon-baha, aisa nahi hota


Jahaan-e-dil main kaam aati hain, taabeerainn na taazeerainn
Yahan pemana-e-taslem-o-raza, aisa nahi hota


Har shab her gharri guzray qayamat, aisa to hota hay
Har subha ho roz-e-jaza, aisa nahi hota..!!

Ye jo shafaf sa ik aks uss jheel mein tha

Ye jo shafaf sa ik aks uss jheel mein tha
Koi chehra tha magar chand ki tamseel mein tha


Yaad karta hon kahan bhool ke aaya hon ussay
Aisa hi aks meri soch ki zambeel mein tha


Baat kya thi ye mujhe achi tarha yaad nahin
Haan tera zikr bhi tha aur bari tafseel mein tha


Koi pegham tha ankhon mein so ankhon mein raha
Masla asal to pegham ki tarseel mein tha


Is naye nuskhay mein tehreef hui hai warna
Zikar mera bhi kahin pyar ki INJEEL mein tha

Aaney Ka Kisi Shakhs Ke Abhi Imkaan Baaqi Hai

Doob Rahi Hain Saansein Magar Ye Ghumaan Baaqi Hai
Aaney Ka Kisi Shakhs Ke Abhi Imkaan Baaqi Hai


Mudat Hui Ek Shakhs Ko Bichrey Lekin
Aaj Tak Maire Dil Pe Ek Nishaan Baaqi Hai


Woh Sayibaan Chin Gaya To Koi Gham Nahin
Abhi To Maire Sar Pe Ye Aasmaan Baaqi Hai


Kashti Zara Kinarey Ke Kareeb Hi Rakhna
Biphri Hui Lehron Mein Abhi Toofaan Baaqi Hai


Ghamon Say Keh Do Ke Abhi Na Rakht-e-Safar Baandhein
Ke Abhi To Maire Jism Mein Kuch Aur Jaan Baaqi Hai


Jaa Chuke Gain Sab Log Khamosh Pari Hai Basti
Magar Kisi Aas Pe Ek Makeen-e-Makaan Baaqi Hai

Chaahhat Ka Rung Tha Na Wafa Ki Lakeer Thii

 Chaahhat Ka Rung Tha Na Wafa Ki Lakeer Thii
Qaatil Ke Haath Main To Hina Ki Lakeer thii


Khush Hoon Ke Waqt-e-Qatal Mera rung Surkh Tha
Merey Labon Pe To Harf-e-Dua Ki Lakeer Thii


Main Karwaan Ki Rah Samajhta Raha Jisse
Sehra Ki Reit Pe Woh Hawa Ki Lakeer Thii


Sooraj Ko Jis Ne Shab Ke Andheiron Main Gum Kia
Mouj-e-Shafaq Na Thii Woh Qaza Ki Lakeer Thii


Guzra Hai Shab Ko Dasht Se Shaid Woh Pardah Daar
Her Naqsh-e-Pa Ke Saath Rida Ki Lakeer Thii


Kal Uss Ka Khat Mila Keh Saheefa Wafa Ka Tha
Mohsin Her Ek Satar Haya Ki Lakeer Thii

Uska chehra roo baroo hai aaj kal

Uska chehra roo baroo hai aaj kal
Aaankh har pal ba wuzoo ha aaj kal


Ik taraf laahaq ghame dunya mujhey
Uspey teri justajoo hai aaj kal


Rang bikhrain hain merey charo'n taraf
Mai hee mai hoo'n tu hee tu hai aaj kal


Qatra qatra girr raha hai jiss mai tu
Aankh meri aab joo hai aaj kal


tu hee mozoo e sukhan hai harr taraf
Bass tumhari guftagu hai aaj kal


Karr raha hoo'n kyu'n usey ARSHAD talash
Wo jo merey char soo hai aaj kal....

Pani Aankh Mein Bhar Kar Laya Ja Sakta hai

Pani Aankh Mein Bhar Kar Laya Ja Sakta hai,
Ab Bhi Jalta Shehr Bachaya Ja Sakta Hai,


Aik Muhabbat Aur Woh Bhi Na Kaam Muhabbat,
Laikin Isay Kaam Chalaya Ja Sakta Hai,


Dil Par Pani Peenay Aati Hain Umeedein,
Is Chashmay Mein Zehr Milaya Ja Sakta Hai,


Mujh Gumaan Se Puchtay Hain Farhaad-o-Majnun,
Ishq Mein Kitna Naam Kamaya Ja Sakta Hai,


Yeh Mehtaab Yeh Raat Ki Peshani Ka Ghao,
Aisa Zakham Toh Dil Pe Khaya Ja Sakta Hai,


Phata Purana Khuwab Hai Mera Phir Bhi "Tabish",
Is Mein Apna Aap Chupaya Ja Saqta Hai.....!!!!

Kehnay ko us say mera koi waasta nahi

Kehnay ko us say mera koi waasta nahi
Amjad magar woh shakhs mujhay bhoolta nahi


Darta hoon aankh kholoon to manzar badal naa jayey
Main jaag to raha hoon magar jaagta nahi


Aashuftagi say uski usay bay wafa naa jaan
Aadat ki baat aur hay dil ka bura nahi


Tanha udaas chaand ko samjho naa bay khabar
Har baat sun raha hay magar bolta nahi


Khamosh ratjagoun ka dhuwaan tha chahar soo
Nikla kub aaftaab mujhay to pata nahi


Amjad woh aankhain jheel see gehri to hain magar
Un main koi bhi aks meray naam ka nahi...

Kaafi arsa beet gaya Jaane ab wo kesa ho ga

Kaafi arsa beet gaya
Jaane ab wo kesa ho ga


Wqt ki saari karwi baatein
Khamoshi se sehta ho ga


Ab bhi bheegi baarish mein
wo Bin chatri k chalta ho ga


Mujh se bichre arsa beeta
Ab wo kis se larta ho ga


Acha tha jo saath hi rehte
Baad mein us ne socha ho ga


Apne dil ki saari baatein
Khud se khud hi kehta ho ga

BAAD MUDAT K MUJHY USKA KHAYAL AYA HAI

BAAD MUDAT K MUJHY USKA KHAYAL AYA HAI.
GOYA MERI SOCHON ME SURAJ UTAR AYA HAI


MEIN WO MANZAR HON JO TERI AANKH MEN BASA RAHTA HON
TU WO MOSAM JO MERE DIL MEIN BAADAL SA CHAYA HAI

MEIN WO AHSAS E TALAB HON JO TUJHY RAAS NAHI
TU WO GHAM HAI JO MERE ZINDGI KA SARMAYA HAI

KOSAR MERI DUNIA MEIN ANDHERON K SIWA KUCH NAHI
AIK TO HI MERY ANGAN MEIN DIA SA BAN K AYA HAI

Kal to Kal tha, Btao Aaj kaisa hai

Kaam-Kaj aur Mizaaj kaisa hai
Kal to Kal tha, Btao Aaj kaisa hai


Hamarey Shehr mein hen Mohabat ke Dushman
Tumaharey Shehr mein Btao Rivaaj kaisa hai


Us ki Awaz sun loon to hai Sakoon-e-Dil
Meray Gham ka Dekho, Elaaj Kaisa hai


Us ki Baten Bhool sakta nhi Kabhi
"Khaawar" teri Awaz ka Mohtaaj Kaisa hai

Mairay Khawaboon ke gulshan main khezaaeyn raqs kerti hain

Mairay Khawaboon ke gulshan main khezaaeyn raqs kerti hain
Mairay honton ki larzish main wafaeyn Raqs kerti hain


Mujhe wo lakh tarpaye mager us shakhs ki khatir
Mairay dil ke andheron main duayen raqs kerti hain


use kehna ke lout aye sulagti sham se pehlay
kisi ki khushk ankhon main sadayen raqs kerti hain


niklta hai pari chehra kabhi jo raat ko yaroo
andheray toot jatay hain ziayien raqs kerti hain


uterta hoon kabhi jub bhi kitabon ke sumander main
kisi khawabeeda chehray ki adayen raqs kerti hain


Khuda jannay "Saad" kaisi kashish hai teri yadoon main
Main tera ziker keroon to hawayen raqs kerti hain....

Kab mera nasheman ahl-e-chaman Gulshan main gawara kertay hain

 Kab mera nasheman ahl-e-chaman
Gulshan main gawara kertay hain,
Ghunchay apni awaazon main
Bijli ko pukara kartay hain,




Pooncho na araq rukhsaaron say
Rangeeni-e-husn ko barhnay do,
Suntay hain kay shabnam kay Qatray
Phoolon ko nikhaara kartay hain,




Ab nazah ka aalam hai mujh par
Tum apni muhabbat wapis lo,
Jab kashti doobnay lagti hai
Toh bojh utaara kartay hain,




Jaati hoi maiyat daikh kay bhi
Lillah tum uth kar aa na sakay,
Do chaar qadam toh dushman bhi
Taqleef gawarah kartay hain,




Taaron ki bahaaron main bhi
Qamar tum afsurdah say rehtay ho,
Phoolon ko toh daikho kaanto'n main
Hans hans kay guzara kartay hain....

log tujhako meraa mahaboob samajhate honge

Wo Ghazal waalon kaa usluub samajhate hon gay
chaand kahate hain kise Khuub samajhate hon gay


itnii miltii hai merii Ghazalon se suurat terii
log tujhako meraa mahaboob samajhate honge


main samajhataa thaa muhabbat kii zabaan Khushbuu hai
phool se log ise Khuub samajhate honge


bhool kar apanaa zamaanaa ye zamaaney waale
aaj k pyaar ko Maayuub samajhate hon gay.............! !

Dil-e-nadaan ajab justuju mein hai

Dil-e-nadaan ajab justuju mein hai
Tujhse shouq-e-guftugo mein hai


Mainey chaha hai bohat tujhko
Tu meri har ek aarzoo mein hai


Tu meray saath hai to lagta hai aisey
Ek ujaala sa meri rooh mein hai


Juda khud se karon to kaisey karon
Teri chahat to gardish-e-lahoo mein hai......

Ay Mohabbat teri qismat keh tujhey muft miley



Ay Mohabbat teri qismat keh tujhey muft miley


Hum sey daa'na jo kamalaat kia kartey they


Khushk matti ko bhi emaraat kia kartey they


Ay Mohabbat ! yeh tera bakht k bin mol miley


Hum sey anmol jo heeron men tulaa kartey they


Hum sey munh zor jo bhonchaal utha rakhtey they


Ay Mohabbat ! Hum terey mujrim thehrey


Hum jo logon sey sawalaat kia kartey they


Hum jo so baat ki ek baat kia kartey they


Teri tehveel men aaney sey zara pehley


Hum bhi is shehar men izzat sey raha kartey they


Hum bigartey to kaii kaam bana kartey they


Aur ab teri sakhawat k ghaney saaye men


Khalqat-e-shehr ko hum zinda tamasha thehrey


Jitney ilzaam they, maqsoom hamara thehrey


Ay Mohabbat ! zara andaaz badl ley apna


Tujh ko aainda bhi ushaaq ka khoon peena hai


Hum to marr jayen gey, Tujh ko mager jeena hai......


!اے محبت 

تیری قسمت


کہ تجھے مفت ملے ہم سے دانا


جو کمالات کیا کرتے تھے


خشک مٹی کو امارات کیا کرتے تھے


......اے محبت


یہ تیرا بخت


کہ بن مول ملے ہم سے انمول


جو ہیروں میں تُلا کرتے تھے


ہم سے منہ زور


جو بھونچال اُٹھا رکھتے تھے


اے محبت میری


,ہم تیرے مجرم ٹھہرے


ہم جیسے جو لوگوں سے سوالات کیا کرتے تھے


ہم جو سو باتوں کی ایک بات کیا کرتے تھے


تیری تحویل میں آنے سے ذرا پہلے تک


ہم بھی اس شہر میں عزت سے رہا کرتے تھے


ہم بگڑتے تو کئی کام بنا کرتے تھے


!اور 


اب تیری سخاوت کے گھنےسائے میں


خلقتِ شہر کو ہم زندہ تماشا ٹھہرے


جتنے الزام تھے


مقسوم ہمارا ٹھہرے


!اے محبت 


ذرا انداز بدل لے اپنا


تجھہ کو آئندہ بھی عاشقوں کا خون پینا ہے


ہم تو مر جائیں گے ، تجھ کو مگر جینا ہے
اے محبت 


تیری قسمت


کہ تجھے مفت ملے ہم سے انمول


ہم سے دانا۔۔۔۔۔


اے محبت


Teri kohshish teri tadbeer hona chahta Hun

Teri kohshish teri tadbeer hona chahta Hun
Mae tere haath ki tahreer hona chahta Hun




TU mere paas aaye aur palat kar phir na jaaye
Mae tere paaon ki zanjeer hona chahta huun




Mujhe zarurat nahi AB dusron ke mashwaron ki
Mae khud bhi sahib-e-taqdeer hona chahta Hun




Azal se khwab ban kar teri aankhon mein raha Hun
Mae AB shurminda-e- tabeer hona chahta Hun




Mae shayad is liye mismaar khud ko kar raha Hun
Ke tere haath se tameer hona chahta Hun

Azaab-e-deed men aankhen lahoo lahoo kar kay



Azaab-e-deed men aankhen lahoo lahoo kar kay
Main sharm'saar huwa teri justujoo kar kay

Khandar ki teh say bareeda badan saron kay siwa
Mila na kuch bhi khazanon ki aarzu kar kay


Suna hai shehar men zakhmi dilon ka mela hay
Chalen gey hum bhi magar perahan rafoo kar kay


Musafat-e-shab-e-hijraan kay baad bhaid khula
Hawa dukhi hay chiraaghon ko be'aabroo kar kay

Zameen ki pyas usi kay lahu ko chaat gaee
Woh khush huwa tha samandar ko aab'ju kar kay


Yeh kis ney hum sey lahoo ka khiraaj phir maanga?
Abhi to soye thay maqtal ko surkhuroo kar kay

Jaloos ehal e wafa kis kay dar pay pohancha hai
Nishaan tauq e wafa zeenat e galoo kar kay

Koi to habs e hawa say yeh poochta Mohsin
Mila hai kaya usay kaliyon ko be'namu kar kay


Ujaarr rut ko gulaabi banaaye rakhti hay
Hamaari aankh teri deed sey wuzoo kar kay


عذاب دید میں آنکھیں لہو لہو کر کے
میں شرمسار ہوا تیری جستجو کر کے

کھنڈر کی تہ سے بریدہ بدن سروں کے سوا
ملا نہ کچھ بھی خزانوں کی آرزو کر کے

سنا ھے شہر میں زخمی دلوں کا میلہ ھے
چلیں ہم بھی مگر پیرہن رفو کر کے

مسافت شب ہجراں کے بعد بھید کھلا
ہوا دکھی ھے چراغوں کو بے آبرو کر کے

زمیں کی پیاس اسی کے لہو کو چاٹ گئی
وہ خوش ہوا تھا سمندر کو آب جو کر کے

یہ کس نے ہم سے لہو کا خراج پھر مانگا
ابھی تو سوئے تھے مقتل کو سرخرو کر کے

جلوس اہل وفا کس کے در پہ پہنچا ھے
نشان طوق وفا زینت گلو کر کے

اجاڑ رت کو گلابی بنائے رکھتی ھے
ہماری آنکھ تیری دید سے وضو کر کے

کوئی تو حبس ہوا سے یہ پوچھتا"محسن"
ملا ہے کیا اسے کلیوں کو بے نمو کر کے