Pages

Saturday, 27 August 2011

Chandni Ik Shab Ki Mehmaan Thi

shaam-e-gham jab bikhar gayee hoo gi
janay kis kis kay ghar gaee hoo gi


itni larzaan na thee chiraagh ke loo
apnay saye say dar gayee hoo gi


chandini ik shab ki mehmaan thee
subah hotay hee mar gayee hoo gi


dair tuk woh khafa rahay mujh say
door tuk yeah khabar gayee hoo gi


aik darya ka rukh badaltay hee
aik nadee phir utar gayee hoo gi


jiss tarha woh safar pay nikla tha
saree rounaq udhar gayee hoo gi


raat suraj ko dhoondnay kay liay
ta ba hud e sehar gayee hoo gi


meri yadoon ki dhoop chhaon mein
uss ke sourat nikhar gayee hoo gee


yaa taluq na nibh saka uss say
yaa tabiyat hee bhar gayee hoo gee


teri pal bhar ke dosti mohsin
uss ko bad'naam kar gayee hoo gi...

No comments:

Post a Comment