koi mujhko mera bharpoor saraapa ladey
Mere baazoo meri aankhen mera chehra la dey
Aisa dariya jo kisi aur samandar mai girey
Is se behter hai ke mujhko mera sehra la dey
Kuchh nahee chahiye tujh se meri ai umr-e-rawan
Mera bachpan mere jugnoo meri gudia laa dey
Jiski aankhen mujhe ander se bhi parh sakti hon
Koi chehra to mere sheher mai aisa la dey
Kashti-e-jaan to bhanwar mai hai kai barson se
Ai Khuda ab to dubo dey ya kinara la dey

No comments:
Post a Comment