Pages

Monday, 29 August 2011

Yeh pichlay ishq ki baatein hein

Yeh pichlay ishq ki baatein hein
jab aankh mein khwaab damaktay thay
jab dil mein daagh chamaktay thay
jab palkein sheher ke raston main
ashkon ka noor lutatee thein
jab saansein ujlay chehron k
tan-man mein phool sajati thein
sochon mein bhanvar par jaatay thay
jab aik talatum rehta tha

apnay be-ant khayalon mein
har ehad nibhaanay ki qasmain
khat khoon se likhnay ki rasmain
jab aam thein hum dil walon mein
ab apni ujree aankhon mein
jitni roshan si raatein hein
us umer ki sab soughaatein hein
jis umer ke khwaab khayaal huye
woh pichlii umer thi beet gaii
woh umer beetay saal huye

ab apni deed ke rastay mein
kuch rang hai guzray lamhon ka
kuch ashk ki baraatein hein
kuch bhoolay bisray chehray hein
kuch yaadon ki barsaatein hein
yeh sab pichlay ishq ki baatein hein

No comments:

Post a Comment