Pages

Wednesday, 21 September 2011

Ain us waqt say zara pehlay

Ain us waqt say zara pehlay
Jab qayamat uternay wali thi
Dil ki dharti kay saaray raston par
Aik udasi bikharnay wali thi
Saaray imkan bujh rahay thay jab
Mai nay her cheez us ko lota di
Tund jazbaat mai jo kabhi us nay apni hathailion say
Garam taaza lahu nikaala tha
Aur wo jo khat us nay meri chaahat mai
chooriyon say likhay thay
Aur parveen ki kaii nazmain
Mai nay her cheez us ko lota di
Aur bhi bohat si cheezain theen
Jin mai chund mehaktay huay tissue paper
Ek deewan mirza ghalib ka
Ek chhalla, ghari, qalam, khushboo
Un-silay suit ka naya kapra
Diary jis kay warq saada thay
Aur wo wishing cards jin ki tehreerain
udas kerti theen meray kamray ko
Mai nay her cheez us ko lota di
kitni baichaargi kay aalam may
us nay mujh say poocha keh
day sako gay kia mujh ko
umar-e-rafta kay wo haseen manzar
sab kay hotay huay bhi jo main nay
karb-e-tanhaai mai guzaaray thay
mujh say roothi hui meri sakhiyan
sardiyon ki taveel ter raatain
do bars ki tamaam neendain
beh gaii chashm-e-ghum say ek dua
sab teri bay-rukhi ki nazar hua
mera maazi mera shakista haal
kis terha day sako gay tum mujh ko
meri umar ka saulhawan satarwaan saaal
jumbsh-e-lab say aankh bharnay tak
us kay dil may jis qadr bojh tha
us nay wo bhi meray supurd kia
chooriyon say dehaktay haathon tak
us ki har cheez meray pass rahi
ek arsa guzr gia leikin
dil ka yazdaan ab bhi khaali hai
kesay sadiyon ka bojh halka ho
meri aankhon may khushk saali hai

No comments:

Post a Comment