Pages

Wednesday, 14 September 2011

Hamare dil main chupe hoye dard ki khabar chasham-e-ter ko ho gi

Meri mohabbat to ik goher hai,teri wafa be-karan samandar
Tu phir bhi mujh se azeem ter hai,kahan goher hai,kahan samandar


Yaqeen hai dhoke main aa k utra hai chaand paani ki saltnat main
Bulandi’on se dikhai deta hai hu-baa-hu aasman samandar


Azal se be-simt justuju ka safar hai derpesh paani’on ko
Kisey khabar kis ko dhoondta hai meri tarha raigaan samandar


Main tishna lab door se jo dekhoon to her taraf sail-e-aab paauun
Qreeb jaaon to rait sholaa,ghubaar sahil,dhuwan samandar


Hamare dil main chupe hoye dard ki khabar chasham-e-ter ko ho gi
Suna hai zer-e-zameen khazanon ka hai faqat raazdan samandar


Main ista’aron ki sarzameen pe uter k dekhoon to bhaid paauun
Bashar musafir,hayat sehra,yaqeen sahil,gumaan samandar


Jahan jahan sham-e-gham ki afsurdagi ka matam bapa howa hai
Ufaq se aa k gale mila hai wahan wahan mehrbaan samandar


Wafa ki basti main rehne waalon se hum ne”Mohsin”ye taur seekha
Labon pe sehra ki tishnagi ho magar dilon main nihan samandar

No comments:

Post a Comment