Tumharay aur humaray ishq ki bunyaad December
Humay acha nahi lagta tumharay baad December
Koi apna zaroor uss ka khizan ki rutt mai bichra tha
Wo jis ki aakhri hichki mai thi faryaad December
Kabhi yeh dard k ansoo jo palkoN per hi jam jaayen
Tu dil mai siskiyaan leta hai ik barbaad December
Yeh day ga barf ki poshaak urryaa'n ker k pairro'n ko
Misaal e hijar karta hai sitam eejaad December
Bichar ker surkh phoolo'n ki ruttain weeran ker gaya
Wo jis k damm say hota tha kabhi aabaad December
Nahi mumkin keh tum ko yaad na aaye yeh bheegi sham
Tumhain barson rulaaye ga humaray baad December
Nahi maloom kya tum ko keh jab tum muskuraati ho
Tau janaan muskura deta ha yeh na'shaad December
Tamanna hai isi barfaab rutt mai dafan ho jaaun
Zamana bhool bhi jaaye karay ga yaad December
Gira kay berg pairro'n sey karay wah wah Faris jee
Merey shairo'n pey deta ha kuch aisay daad December ....
No comments:
Post a Comment