Pages

Friday, 30 September 2011

Kabhi ishq ho to pata chalay

Bisaat e jaan pe azaab utertay hain kis tarah
Shab o roz dil pe ataab utertay hain kis tarah
Kabhi ishq ho to pata chalay
Ye jo log say chupay huay hain pas e dostaan
To yeh kon hain?
Yeh jo rog say hain chupay huay pas e jism o jaan
Tou yeh kis liye?
Yeh jo kaan hain meray aahaton pe lagay huay
Tou yeh kyun bhala?
Yeh jo hont hain saf e dostaan mein silay huay
Tou yeh kis liye?
Yeh jo iztarab racha hua hai wajood mein
Tou yeh kyun bhala?
Yeh jo sang sa koi aa gira hai jamood mein
Tou yeh kis liye?
Yeh jo dil mein dard chhira hua hai lateef sa
To yeh kab say hai?
Yeh jo putlion mein hai aks koi khafeef sa
So yeh kab say hai?
Yeh jo aankh mein koi baraf si jami hui hai
Tou yeh kis liye
Yeh jo doston mein naii naii si kami hui
Tou yeh kyun bhala?
Yeh jo log peechay parray huay hain fazool mein
Inhein kiya pata? Inhein kya khabar?
Kisi raah k kisi mor per jo inhein zara
Kabhi ishq ho to pata chalay

No comments:

Post a Comment