Pages

Monday, 12 September 2011

Kya Dhoka denay Aaoo gi ?

Hum banjaray, Dil walay hein
Aur Penth mein Dairay daaley hein
Tum Dhooka Denay wali ho!
Hum Dhooka Khaney walay hein.
Is mein to nahee sharmaoo gee ?
Kya Dhooka denay Aaoo ge ?


Sub maal Nikalo, Lay Aaoo
Aey basti walo, Lay Aaoo
Yeh Tun ka jhoota jadoo bhe
Yeh man ki Jhooti Khushboo Bhe
Yeh Taal banatey Aansoo bhe
Yeh jaal Bichatay gaisoo bhe


Yeh larzish doltey seenay kee
Par sach nahee boltey seenay kee
Yeh Hoont bhe, Hum se kya choree
Kia Sach much Jhootey hein Goree ?




In ramzoon mein in ghaaton mein
In waadon mein in Baaton mein
Kuch Khot Haqeeqat ka to Nahee ?
Kuch mail Sadaqat ka to Nahee ?


Yeh saray Dhokay lay Aao
Kuch Pyarey Dhookay Ley Aao
Kyun Rakhoo Khud sey door hamein
Jo Naam Kaho Manzoor hamein


In kanch key matkon key badlay
Han bolo gorri kya lo gi ?
Tum Eik jahan kee Ashrafeeyan ?
Ya Dil aur jaan kee Ashrafeeyan ?

No comments:

Post a Comment