Pages

Friday, 30 September 2011

Main keh thehri hui koi taqdeer tha jub dua chal parri

Main keh thehri hui koi taqdeer tha jub dua chal parri
Dhoop apni bulandi peh aanay ko thi aur ghata chal parri

Ab kahan koi mehfooz reh paye ga aisay aalam main jub
Sheher main doosron ko kuchal dainay ki waba chal parri

Her koi apnay mernay say pehlay hi marg aashna ho gaya
Ya Khuda teri dunya main kesi 
yeh rasm e qaza chal parri

Sheher bhar main tumharay chalay janay say is qadr habs tha
Saans chalti thi apni to lagta tha jesay hawa chal pari

Us nay aanchal fizaon main thora sa lehraya tha aur bas
Phool samjhay thay shayad keh na-waqt baad e saba chal parri

Raat bhi kitni ziddi hai, bilkul kisi dil ruba ki tarah
Main nay kuch dair is ko manaya nahin yeh khafa chal parri

No comments:

Post a Comment