Main kuchh kuchh bhoolta jaata hoon
ab tujhko,
Tera chehra bhi dhundhlaane laga hai
ab takhayuul mein...
Badalne lag gaya hai
Ab woh subah-o-shaam ka mamool,
Jismein tujhse milne ka bhi ek mamool shamil tha...
Tere khat aatay rehtay thay,
toh mujhko yaad rehtay thay
teri aawaaz kay sur bhi,
Teri awaaz ko kaaghaz pay rakh kay main nay
chaaha tha keh pin ker loon,
Woh jaisay titliyon kay per laga leta hai koyi
apni album mein...
Tera "bay" ko daba ker baat karna
"Wau" per honthon ka chhalla gol ho ker ghoom jaata tha !
Buhat din ho gaye dekha nahin...
na khat mila koii...
Buhat din ho gaye...sachhi
Teri awaaz ki bauchhaar mein bheega nahin hoon mein...
Main kuchh kuchh bhoolta jaata hoon
ab tujhko,
Tera chehra bhi dhundhlaane laga hai
ab takhayuul mein...
Badalne lag gaya hai
Ab woh subah-o-shaam ka mamool,
Jismein tujhse milne ka bhi ek mamool shamil tha...
(Gulzar)
No comments:
Post a Comment