Pages

Wednesday, 28 September 2011

Mohabbat aik katba hay

Mohabat shayari her giz nahi hay

Theek kehtey hain
Mohabbat to kisi bay deep qabrastan ki
Boseeda si ik qaber per woh nassb katba hay
Keh jiss per saaf likha ho
Shaheed-e-raah-e-ulfat
Ashiq-e-nakam ka marqad

Mohabbat aik katba hay

Laga hota hay jo aksar
Kabhi laila kay marqad per
Kabhi majnoo ki hasrat per
Kabhi sohni kay matkay per
Kabhi ranjhay kay teeron per

Mohabbat aik katba hay
Kay jis per saaf likha ho .

Mohabbat maut ki aghoosh may sir rakh kay sona hay
Mohabbat dil pay lahaq roag hay
Taa umer rona hay
Mohabbat raat bhar ka jagna
Aur jaan khona hay

Mohabat arzoo-o- hasrat-o-arman-o-kuwahish ki
Kisi maydaan may rakhee hui aik aysee mayyat hai
Keh jis ko kandha dayney kay liye
Koi nahi aata
Mager phir bhi
Laboon per her kisi insane kay rakha hay ye jumla

MUJHEY TUM SEY MUHABBAT HEY

Koi mujh say ager keh day
Mujhey tum say mohabbat hai
To dar jata hon main bayhad
Yeh dil main wehem aata hay

Keh yeh izhar ka jumla
Mohabat ka yeh ik katba

Phir kisi bay deep qabrastan ki
Boseeda si ik Qaber ki
Zeenat na ban jaey
Mohabbat ka yah katba
Phir naee aafat na ban jaye
Wohee katba
Keh jiss per saaf likha ho

Shaheed-e- raah-e-ulfat
Ashiq-e-nakaam ka marqad

No comments:

Post a Comment