Pages

Thursday, 15 September 2011

Na Samaton Mein Tapash Ghuley Na Nazar ko Waqf e Azaab Kar

Na Samaton Mein Tapash Ghuley Na Nazar ko Waqf e Azaab Kar


jo Sunaaii De Usey Chup Sikha jo Dikhaaii De Usey Khwaab Kar




Abhi muntashi Na ho Ajnabii Na Wisaal rutt Ke Karam jatta


jo Teri Talash Mein gum hoye Kabhi Un Dinon Ka Hisaab Kar






Meray Sabr Par koii Ajr Kya Meri dopehar Pe Ye Abr Kyoun


mujhey orhnay De Aziyatien Meri Aadatien Na Kharaab Kar






Kahien Aablon Ke Bhanwar Bajien Kahien Dhuup Ruup Badan Sajien


Kabhi Dil koThall Ka Mizaaj De Kabhi Chashm e Tar ke Chanaab Kar






Yeh HAjoom e Sitam-GaraaN Na Suney Ga Teri Sada Kabhii


Meri Hasraton ko Sukhn Suna Meri Khwaahishon Se Khataab Kar




Yeh Jaloos e Fasl e Bahaar hai Tahii Dasta Yaar Saja Isey


koii Ashk Phir Se Sharar Bana koii Zakhm Phir Se gulaab Kar

No comments:

Post a Comment