Pages

Wednesday, 21 September 2011

Shehar-e-Dil Ki Galiyoon main..........!!!



Shehr-e-Dil ki Galiyon mai
Shaam say bhataktay hain
Chand kay Taman-na-ee
Baiqarar Saudaii
Dil Gudaaz Tarikii
Jaan Gudaaz Tanhai
Rooh-o-Jaan ko Dasti haii
Rooh-o-Jaan main Basti hai
Shehr-e-Dil ki Galiyoon maain


Taak-e-Shab ki bailon per
Shabnami Sarshakon ki
Beqarar Logon nay
Beshumaar Logon nay
yadgaar chorhi hay
Itni Baat Thori Hai ?


Sud-Hazaar batain thin
Hela-e-Shakebaee
Sooraton ki Zebai
Qaamaton ki ranaii
In siyah raton main
Aik bhi na yaad aai
Ja bja bhataktay hain
Kis ki raah taktay hain
Chand kay taman’naaee


Ye Nagar Kabhi Pehlay
Is Qadar Na Veeran Tha
Kehnay walay kahtay hain
Qarya-e-Nigaraan Tha
Khai apnay Jeenay Ka
Yeh bhi aik samaan tha


Aaj Dil main Veerani
Abr ban kay Ghir aaii
Aaj Dil ko kya Kahiay
Ba-Wafa Na Haarjai
Phir Bhi Log Diwanay
Aa gaey hain samjhanay
Apni wehshat-e-dil kay
Bun liyay hain afsanay
Khush khayal dunya nay


Garmiaan to Jaati hain
Woh rutain bhi aati hain
Jab Maluul raaton may
Doston ki baton may
Ji na chain paaey ga
Aur oob jaaey ga
Aahaton say Goonjay gi
Shehar-e-Dil ki Pinhaee
Aur chaand raaton main
Chandni kay Shedaii
Har bahanay niklain gay
Aarzoo ki Gairaii
Dhoondnay ko Ruswaii
Sard Sard Raaton ko
Zard Chaand Bakhshay ga
Bay-Hisaab Tanhaii
Bay-Hijaab Tanhaii
Shehar-e-Dil Ki Galiyoon main..........!!!

No comments:

Post a Comment