Pages

Saturday, 17 September 2011

sulag raha hoon mein dheeary dheeray, magar kisi par ayaa’N nahe hay


sulag raha hoon mein dheeary dheeray, magar kisi par ayaa’N nahe hay 
wo aag dil mein lagi hay jis mein, tapish hay lekin dhooa’N nahe hay
tumharay gham nay sikha dia hay, mujhy har ik gham say payar karna 
gham-e-jaha’N bhi, yaqeen jano, mizaaj-e-dil par garaa’N nahe hay
khuda ki basti mein har kadam par, koi hay giryaa’N kisi kay gham par 
yeh dard to dard-e-mushtarak hay, yeh aankh pur namm kaha’N nahe hay
matta-e-umr-e-aziz sari, ganwa chukay, par safar hay jari 
ajeeb souda hay aashqii ka, keh fikr-e-sood-o-ziyaa’N nahe hay
meri khamoshi pay hansnay walo, yeh bhool kar bhi na soch lena 
keh meary pehloo mein dil nahe hay, keh mery munh mein zubaa’N nahe hay
ghazal kaho AITBAAR SAJID, isi tarapti hue navaa mein 
yeh tarz, yeh dil gudaaz lehja, samaa’to’N par garaa’N nahe hay

No comments:

Post a Comment