Pages

Friday, 21 October 2011

aaj baad muddat kay


aaj baad muddat kay


mein nay usko dekha hai


woh zara nhi badli!


ab bhi apni aankhon men


soo soo sawal rakhti hai


choti choti baaton pay 


ab bhi khul kay hansti hai


ab bhi us kay lehjay men


whi khankhanaahat hai


ab bhi uski palkon kay


saaey geelay rehtay hain


ab bhi uski sochon men


mera naam rehta hai


ab bhi meri khatir woh


us terha he pagal hai


aaj baad muddat kay


mein nay usko dekha hai


to mujhay bhi lagta hai


mein bhi uski chahat men


us terha he pagal hoon


baad itni muddat kay


aur kuch nhi badla


juz hamaray raston kay


aur kuch nhi badla

No comments:

Post a Comment