silsila jurrat e izhaar tak, aa pohncha hai
ab mera shauq e safar, daar tak aa pohncha hai
sham ab iskay siwa aur bhala kya ho gi
ab to saya meri deevar tak aa pohncha hai
usko taabeer Khuda janay milay gi k nahee'n
khaab to deeda e baidaar tak aa pohncha hai
aur barh jayegi arzaani e baazar keh abb
biknay wala hii kharidar tak aa pohncha hai
tu bata day keh ab tera irada kaya hai?
ishq mera teray maiyyaar tak aa pohncha hai
ab beher taur koi faisla karna ho ga
mass'ala abb meray pindar tak aa pohncha hai
sar jhukana teri aadat bhi nahee'n hai AKHTAR
aur hath uska bhi talwaar tak aa pohncha hai
No comments:
Post a Comment