Pages

Monday, 17 October 2011

Jis Qadar Weham Hain Sab Us Kay Atta Karda Hain

Shehar Ka Shehar Agar Aaye Bhii Samjhaney Ko
Is Say Kaya Farq Parray Ga Teray Dewaney Ko

Jis Qadar Weham Hain Sab Us Kay Atta Karda Hain
Liye Phirta Hoon Kisi Aur Kay Butt-Khaney Ko

Yeh Hunar Wo Hai Jo Dil Say Kabhi Seekha Na Gaya
Tu Nay To Jorr Liya Torr Kay Paimaney Ko

Kaya Koii Khail Hai Be-Naam O Nishan Ho Jana
Waisey Shama Bhii Tyaar Hai Jal Janey Ko

Wo Ajab Shakhs Tha Kal Jis Say Mulaqaat Huii
Main Milla Hoon Kisi Jaaney Huay Anjanay Ko

Aaj Kay Dukh Bhi Kisi Say Nahi Jhailay Jatey
Yaad Mat Kar Kisi Bhooley Huay Afsaanay Ko

Door Tak Raat Kii Aankhon Mein Kaheen Neend Nahien
Itna Sannata Hai Keh Aaye Koii Tarpaanay Ko

Zindgii Bhar Mein Koii Shay To Mukamil Kar Lien
Aao Labraiz Karen Sabr Kay Paimanay Ko

Yeh Alag Baat Keh Eik Boond Muqadar Mein Na Thi
Sar Pay So Baar Ghata Chaaii Rahii Chhaaney Ko

Shaam Honey Ko Hai Jalnay Ko Hai Shamm E Mehfil
Saans Lainey Ko Bhi Fursat Nahien Parwaney Ko

No comments:

Post a Comment