Kabhi Aansu Kabhi Khushbu Kabhi Naghma Ban kar
Hum Se Har Shaam Mili Hai Tera Chehra Ban kar
Chand Nikla Hai Teri Aankh Kay Ansoo Ki Tarah
Phool Mehkay Hain Teri Zulf Ka Saya Ban kar
Meri Jaagi Hui Raaton Ko Usi Ki Hai Talash
So Raha Hai Meri Ankhon Main Jo Sapna Ban kar
Dil K Kaghaz Par Utarta Hai To Shairon Ki Tarah
Mere Honton Pay Machalta Hai To Naghma Ban kar
Raat Bhi Aaye To Bujhti Nahin Chehray Ki Chamak
Ruuh Main Phail Gaya Hai Woh Ujala Ban kar
Mera Kaya Haal Hai Yeh Aa Kay Kabhi Dekh To Lay
Jee Raha Hoon Tera Bhoola Hua Vaada Ban kar
Dhup Men Kho Gaya Vo Haath Chhurra Kar Kahin
Ghar Say Jo Saath Chala Tha Mera Saya Ban kar ... ... ...
No comments:
Post a Comment