Mujrim bhi tha mohsin bhi mera lagta tha
Dast-e-Qaatil bhi mujhe Dast-e-Hina lagta tha
Aray dekhne wale to usay dekhte reh jate thay
Haan woh shaks mohabbat ka khuda lagta tha
Kaanton bhari shakh nazar aata tha kabhi
Phool lagta tha kabhi Baad-e-Saba lagta tha
Ab logon se poochta phirta hai mere ghar ka pata
Main jise saaray zamane se bura lagta tha
Us ki baaten thi rivayat se hat kar MOHSIN
Sab main rehta tha magar sab se juda lagta tha
No comments:
Post a Comment