Pages

Wednesday, 5 October 2011

Wohi andaz hain us key... mera shaatir nahi badla

Suna hey shehar walon sey mera tanha nahin badla
Keh wo aankhain nahi badleen keh wo paikar nahin badla

Haseen aankhon ko parhney ka abhi tak shoq hai mujh ko
Mohabbat main ujar kar bhi mera andar nahin badla

Main pathar sey hua heera mujhey aisa tarasha hey
Badal dala mujhey lekin mera Aazaar nahin badlaa

Main pehron sochta hon yeh jo mujhko bhool bethi woh
Sabab najaney kya ho ga , wo kuch keh kar nahin badla

Bhatakti sham sey kehna puraney dar dareechey hain
Akaili raat sey keh do hamara ghar nahin badla

Meri qismat ney jo likha zakhm aakhir nahin badla
Faqat bazoo hi badley hain magar nashtar nahin badla

Usey kehna shikasta zaat honey sey mohabat mar nahi jati
Aaiyney toot janey sey kabhi manzar nahin badla

Tumharey dairon main ik umr sey mehv-e-gardish hoon
Mera markaz nahin badla mera mehver nahin badla

Meri jaan doob key ubhri hey meri saans bhi jesey
Mera maatam nahi badla mera mehshar nahi badla

Suna hey aaj bhi sab log usey hi sajdah kartey hain
Jabeenain hi badlati hain magar wo darr nahi badla

Abhi tak apney lafzon sey wo baazi jeet'ta jata hey
Wohi andaz hain us key... mera shaatir nahi badla

No comments:

Post a Comment