Pages

Thursday, 24 November 2011

Chalo kuch dair hanstey hain Mohabbat per inayat per,





Chalo kuch dair hanstey hain
Mohabbat per inayat per,
Keh be bunyad baatain hain,
Sabhi rishtay sabhi naatey,
Zarurat ki hain Ejaaden,
Kahin koi nahi marta kisi k wastay jaana,
Keh sub hai phair lafzon ka,
Hai saara khel harfon ka,
Na hai mehbob koi bhi,
Mohabbat na zmaney main,
Pra'ey bhi hain phir apney,
Agr hai kuch khazaney main,
Keh is jazbay pay ab aksar sabhi jumlay say kastay hain,

Chalo kuch dair hanstay hain...

Usi ko yad krtay hain,
Jisay hum zeest kehtey thay,
Keh lena saans bin jis k hamain ek jurm lagta tha,
Keh sung jis k her ek lamha khush-o-khuram lagta tha,
Jisay hum zindgi kehtey,
Jisay thay shayari kehtey,
Ghazal ka Qafiya tha jo,
Nazm ka jo k unwan tha,
Wo lehja jab badalta tha qayamat khez lagta tha,
Waqt say agay chalta tha,
Bla ka tez lagta tha,
Jo saya bun k rehta tha,
Juda ab is k rastay hain....
Chalo kuch dair hanstay hain..
Chalo kuch dair hanstay hain...




No comments:

Post a Comment