Aaj gum sum hai jo barbaad jazeeron jesi,
Us ki aankhon mein chamak thi kabhi heeron jesi,
Kitney maghroor pahaaron k badan chaak huye,
Taiz kirnon ki jo baarish hui teeron jesi,
Jis ki yaadon sey khayalon k khzaaney daihkey,
Uski soorat bhi lagi aaj faqeeron jesi,
Chaahtain lab pey machalti hui larki ki tarah,
Hasratain aankh mein zindaan k aseeron jesi,
Hum anna parast tang dast bohta hain "Mohsin"
Yeh alag baat keh aadat hai ameeron jesi.
No comments:
Post a Comment