Pages

Monday, 14 November 2011

koi raah, na dildaar, na khushboo koi.




Ab na aansoo hain, na aaina kaheen meray qareeb
Na wo mehfil hai mohabbat ki

Na wo manzar hai kaheen
Dil e betaab ko jo wajah tasalli ban jaye

Saaye ki tarah larazta hai, magar milta nahi
Dil khizan ka hai koi phool keh jo khilta nahi

Ik safar manzil e benaam ki khatir ker kay
Janay kis morr pey hum aaj rukay hain phir sey

Ik safar manzil e benaam ki khatir ker kay
Janay kis morr pey hum aaye keh murr ker dekhain

To koi raah, na dildaar, na khushboo koi.
Aik sannatay ki aawaz musalsal goonjay

Uthti hai dil sey meray lau dhuwain ki tarah
Ik dhundalkay main chupa leti hai manzar saray..


No comments:

Post a Comment